kya kisi ko judge karna sahi hai ? aap apni rai jaruri btana, lekin meri rai mei kisi ko judge karna thik nahi hai or kisi ka kisi ke saath comparison karna bhi uchit nahi hai …..
kyuki jab aap bahar kisi dusre vyakti ke bheetar sahi ya galat dekhne lag jaate ho to aap swayam ka core bhul jaate ho , aapko fer khud ka nahi maalum padta , bas aap duniay ke acche or bure mein ulajh mein jaate ho yahi baat comparison ki drishti hai jab kaun behtar hai kaun nahi, isliye in vivado ke chakkar mein fanse ho to fir aap kaise kisi ko apna dost bna paoge.
Kuch log aapko bahut baariki se dekhte hai ki aap koi galti kare or wo us galti par aapka mazak bnaye ya fir aapke jitne bhi negative point hai un par dusre logo se aapke baare mein baate kare , ye insaani fitrat hai……
Hame unh logo se dur rehna chahiye jo aapke saath kaarno se judte hai, in logo ka koi matlab hota hai aapke saath judne ka or inki hamesha koshish yahi rehti hai ki apna matlab poora kar ye log aapko chhod dete hai isliye is tarah ke logo se bache , saavdhan rahe
Aapko unki galtiyo ko bas najarandaaz karna hai , khamiya nahi dhundhni , bas wo kya aapko sikhaa raha hai , unki kaunsi baate hai jo aap apne jivan mein utaar sakte hai …. aapko sirf unhi baato par gaur karna hai.
Jivan ki jyadatar pareshaniya tabhi hoti hai jab ham khud se jyada dusro ke baare mein sochte hai , isliye khud par vichar jyada kare or dusro par kam.