61. dekha jo tujhko khil khila ke hanste hue..
dil ka har soya khwab jaag utha hai…
is pyari si hansi ke suron ko sunkar yun…
mere dil ke jal tarang ka har taar baz utha hai…
jo bikhere hai khushiyon ke geet tu fijaon main…
feeka sargam ka har ek sur hua lagta hai…
62. use janna chahta hoon jo hummain nahin janta…
use pyar karta hoon jo pyar karna hi nahin janta…
ab ismain meri kya khata jo ek bewafa se dil laga baitha…
kaash usnain wo dekha hota jo pyar reh gaya andekha…
63. hum aye hain unke ghar is umeed main ki wo ankhe bichaye baithe honge..
itna sochte hue jo unke darwaze par dastak di….
darwaja khulte hi unhone poocha… aap kaun hain???
hum hi laut aye ye soch kar ki hum hi galat ghar main agaye honge…
64. barish ki choti choti boondon main tera hi massoon chehra nazar ata hai…
fir is barsaat main ankhe khole khada hoon shayad ek boond in ankho main sama jaye…
par sochta hoon mere gum-e-ansuon ke sang wo boond na beh jaye…
wo ankhon main basa chehra hi bas teri akhri yaad hai…
yahi sochkar bas ab hansta rehata hoon… kahin ek ansun na beh jaye…
65.hum diya jalaye baithe the ki wo ayenge hum se milne
diya bhi jal raha hai wo milne bhi aye hain…
bas ab humare ghar nahin humari mazar par aye hain…
66.khud to mar chuke hain doosron ke liye jeete hain…
ab khud ke gum or dard se nasha nahin hota hai…
khud ke liye nahin ab doosron ka gum galak karne ke liye peete hain…
67. wo door ek ummid ka dia jal raha hai…
wo ek halki si roshni se mere dil ka andhera chant raha hai…
lo himmat karke diye tak haath to badha dia hai…
par jaane kiski nazar lagayi hai in khushiyon ko…
ki us ummed ke deye se bhi haath jal raha hai…
fir bhi thame hue hun is diye ko jalte hue haathon main..
shayad yahi likha hoga meri haathon ki lakeeron main…
yahi soch kar in lakeeron ko mitane ke liye haath bhi jala raha hoon..
fir nayi lakeeren banegi fir is ummed main jal raha hoon main…
68. us roshni main badhti hui tanhaiyon se bhag kar…
is andhere ke kaale sayon se dosti ki hai…
par us roshni ki tanhaiyon main bhi apnapan tha…
in andheron main to meri parchayi ne bhi saath chor diya hai…
69.jise humne chaha wo mujhe na mil saka…
koi humain chahata aise mai na ban saka…
ab ismain meri kya khata main un jaisa na ho saka…
kisi ke dil main pyar to kya nafrat bhi na jaga saka….
70. tujhse itna pyar karte hain ki..
is ehsaas ki inteha hum nahin jante…
bas maut se bhi lad jayenge par tujhe na jane denge…
maut na mani to uske sath hum bhi holenge…
is duniya se us jahan tak har kadam tere saath chalenge…
71. jo bhul jayen wo yaden nahin…
jo yaad na aye wo pyar bhari baten nahin…
tere mere dil ka haal ek jaisa hai…
bas tune keh diya aur main to keh bhi pata nahin…
72.shayri ki ye adat to sharab ki adat se bhi hai buri…
sharab pi kar to sab bhool jata hun…shayri main to yaden sanjota hun…
sharab peekar badbadat hun to diljala samajhte hain…
shayri sunkar to wah wah kiya karte hain…
73.jaane chor aye the unko kiske sahare…
wo khafa to hai ki kyun chor aye the beech rah main…
wo na samjhe ek bhi majboori meri…
ye bhi na socha ki hum jeete hain kiske sahare…
ye bhatakti kashti si jindagi ka sawaar main jaane kiske hun sahare…
ye dukh ka maha sagar aur nahin ek bhi sukh ke kinare…
kehne ko bahot hai yahan sahanubhuti ka khara paani…
par pyas to tabhi bhujegi jab mile kisi ke pyar sa meetha pani…
par pyas nahin bhujti; jabtak na ho; pyar ke meethe neere…
(Jane wo chor gaye hume kis ke sahare…
Chora bhi to tab jab door the kinare…
Ye bhi na socha ke is dukho bhare jeewan k sagar me hum lehro se lad rahe the kiske sahare…
Is toti purani kasthi se jeewan ka sawar main jaane lade jaraha hoo kis ke sahare…
Ye dukho ke sagar ke shayad nahi hai kinare…
Kehne ko bohot hai yahan Suhanubhuti ka khara paani…
par na jane kab paunchagi sahil pe meri kahani…
Dar ta hoo sahil ke intzaar me he khatam na ho jai meri zindagani…)
74. dekho wo mujhse rooth kar kaisi sajaayen deta hai…
kabhi lagta hai shayad bhool gaya hoga mujhe…
par wo zalim to itna sukoon bhi nahin deta hai…
wo door betha hua bhi khamosh sadaayen deta hai…
75. ye tumhari ankhen pyari pyari…
in ankhon main sundar kwabon ka ek samandar…
is samandar main meethi boonden yadon ki…
kahin mera dil pyar ke jazeeron main doob na jaye…
kahin mujhe tujhse pyar na ho jaye…
kahin ye jaan kar tu mujhse rooth na jaye..
kahin mera dost kahin chhoot na jaye…
76.jab unke dar-o-sheher se nikla tha…
wo mujhe alvida kehne door tak aya tha…
jaane kyun main ye dekh kar khush tha…
ki uski ankhon main ek chota sa ansun tha..
77.maine use chaha jo mujhe chah na saka…
usnain jise chaha wo use chah na saka
ab ye meri ya uska naseeb kehlo…
na hi main khush raha na hi wo khush reh saka…
78.dil le liya hai tune seene se nikal kar…
us khali jagah ko bhar diya hai tune judai ka gum daal kar…
ab jiyenge kaise yun tere bin jindagi bhar…
ki reh nahin pate ek pal bhi tujhse door hokar…
79. Is bheed main kuch to mai bhi shamil ho jaun…
kuch to duniya ke jaisa bhi ban hi jaun…
abhi kuch to khud ko janta hun pehchanta hun…
us bheeh bhad main kahin khud ko na bhool jaun…
80. aaj kisi ko dekha tha bhatakte hue raston par…
kuch jana pehchana sa koi apna sa laga…
kuch dhundh ka sama tha…
fir bhi use dhundhne nikla…
is umeed main ki ab mera bhi koi sathi hoga…
par jo kohre ka ghana badal chanta…
saamne aina tha or usmain mera aks tha..
fir main aur mera saya un raston par bhatakne lage…
wo door ek saya sa nazar ata hai…
is dhundh main kuch dhundhla sa nazar ata hai…
chalo koi to apna sa nazar ata hai…
pass jakar dekha to ek aina sa nazar ata hai…
us aine main mera hi aks nazar ata hai…