Dil main armaan

dil main armaan bahot hain bas jaatne ka mauka nahi mera dil ye nadan hai is par mera jor bhi nahi chalta kya karu or kya nahi is baat ko samjhne ki koshish karne karta hoon teri yaado se niklne ka mauka hi nhai milta. dil ke armaan dil mein hi reh jaate kahi dabe dabe or kabhi ubhar bahar aate hai mere dil ke armaan

  1. Dil main armaan bahot hain… jatane ka mauka hi nahin milta…
    parwana hoon main…. par shama main jalne ka mauka hi nahin milta…
    jane kaise dil ka haal bayan karoon unse…
    ke dil ka dard to milta hain… par dildaar nahin milta…

2. Jo bhi gum hain jamane main.. unka kuch hissa hume milla hai kuch tumhe…
bas farak hai to itna sa…. dard alag alag hain hamare tumhare…
aur is dard ki dava bhi na hume mili na tunhe…

3.har kisi ko aisa dildar nahin milta…. jo chaho wahi har baar nahin milta…
ye to humara dil hai jo…. tere seene main dhadakta hai… par ghar kisi aur ka hai…
ye to hum hain… jise apne hi dil main aashna nahin milta…

4.kisi ne sach kaha hai… mohobbat bekar bana deti hai…
itni bhi kya bekaar hai… ki sbko apna shikaar bana leti hai…
ye wo khel hai jis main… shikari hi shikaar ho jata hai…
ki mar mit jane par bhi… shikaar hi jeet jata hai…

5.jab wafa ki baten hoti hai…. to chand aur uski chandni ka naam ata hai..
main to us sooraj ka kaayal hoon… jo khud jalta hai apni kiran ko jindagi deta hai…
suraj ke pyar ki law hai jisse chand ka noor hai…. jiska chandni ko bhi ghamand hota hai….

6.kya sunaun is dil ki dastan…ke haal-e-bayan ke liye alfaaj hi nahin…
tum na samajh paoge ise…. ke ishq har kisi ke bas ka rog nahin….

7.tumse kya shikwa karen… ki kyun tu hamain janti nahin ….
ab to ye alam hai… ki aina bhi humain pehchanta nahin…

8.mat naam lo majnu ka mere saamne …. ki humari mohabbat bhi kam nahin ….
fark itna sa hai ki majnu ko duniya yaad karti hai… humain to humari janeman bhi nahin …

9.kahin suna tha ki hamesha ant main… burai ka bhi ant hota hai….
ya to mere dukh achche hain… ya mere ant ka intezaar ho raha hai…

10. ke bahut tuta hoon.. har paththar se thokar khakar…
par mujhe sahare ki arjoo bhi nahin…
ke abhi bhi thodi jaan hai baki meri jaan-e-jaan ke liye…
aur kuch nahin bas itni umeed hai baaki …
aajayegi bhagti hui nange paon mere paas .. main behaal hun ye jaan kar…

11.tere milne se pehle bhi akela tha… tere jaane ke baad bhi akela hoon…
pehle akela hi kisi bheed ki tarah tha…. ab bheed main bhi tanha hoon…..
tujhse kya gila kya shikwa karoon… meri tanhaiyon ne bhi mujhe tanha hi chor diya…
ke tere jaane se pehle bhi jeeta tha… tere jaane ke baad bhi jinda hoon…

12.tere husn ki kya tareef karoon ki… kya taj mahal ko bhi kisi tareef ki jaroorat hai?…
use to mohabbat ne banaya tha… tumse mohabbat janam leti hai…
taj mahal main to fir bhi mohabbat karne waale dafn hain …
tujhmain to mohabbat bhi aashiyana dhondti hai…

13. kal tak hum jinke dil main baste the… wo aaj har baat dil pe lete hain…
jinke ghar main humara basera tha… ab wahan dastak dene se bhi darte hain…
unhe humari har baat main sachchai nazar ati thi… to har raaj bataya karte the…
ab raaj to kya… dukh dard to kya… pegaam-e-salam dene se bhi darte hain…
shayad ye kasoor unka bhi nahin humaari dooriyon ka hai…
bas yahi soch soch kar is dil ko jaam-e-dilasa diya karte hain…

14. aye jindagi itna na dard de… ki dard main maza ane lage…
ke ye dard ek jaam ki tara hai… pehle to bada kadwa lage…
fir adat jo iski pad jaye… har waqt iska hi khayal ane lage…
kabhi to khushi bhi de… kabhi khushi ka maza bhi ane lage…

15. kuch baten kahi nahin jati… par mehsus kari jati hai…
kuch baaten tum samajh jaya karo… har baat samjhayai nahin jati hai…
ab tumse kya kehta …. tumse kitna pyar hai…
tum haan kehti to meri jaan nikal jati… jo na kehti to main jee nahin pata…

16. har tadap se tera khayal hi sukoon dilata tha…
ab tere naam se tadap jata hoon…
ab pani main bhi aag lagjati hai
so apne hi ansuon se jal jata hoon…

17.kyun mujhse poochte ho… kyun itni peeta hoon…
jab chor gaye the mujhe… mud ke dekha tha kaise jeeta hoon…
ek yahi to hai jo gum ko door aur kushi ko badha deti hai…
ek sachcha dost aur mera sathi hai…
jo umeed tum se ki thi wo saath ye nibhati hai…
kyun mujhse poochte ho… kyun itni peeta hoon..
ye hi wo dor hai jiske sahare main jeeta hoon…

18. har pal hai intezaar jinka in ankhon ko …
wo bas ankhen band hone par hi nazar ate hain..
kahin ye intezzar in aakhon ke band hone ka to nahin..
agar aisa hai to chahta hoon main..
hamesha ke liye band kardon in ankhon ko….

19. kaun kehta hai is dil ki soni banzar jameen par…
ek pyar ka phool bhi nahin khila hai…
hazaron ansunaun se seencha hai…
tab jake ye ishq ka gulistan mehka hai…

20. kaun jane is dil ki gehrayiyon main gum ka samandar bhara pada hai…
aur unhe lagta hai ki ye khushiyon ki barsat ka pani hai…. /

Vaibhav Aggarwal

Leave A Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *