Ghazhab Hota

kuch behtreen sher o shayri jo dil ko chhu jaaye , jo pyar mei the ya hai unka dil bhi aaj pighal jaaye , ise tute hue dil ko jod jaaye , kuch rula bhi jaaye aesa hi kuch likhte hai Vaibhav agarwal jinki yeh series
Ghazhab hotaMere likhe hue sher bhaag-9″ 

161.
Usnain kaha pyar main na rukta hai koi na jhukta hai koi…
hum nain kaha pyar to ek wo mandir hai koi..
rukta hai wahan gujarne wala har koi…
sir jhukata hai wahan ki pooja ho jaise chal rahi koi…

162.
pyar nahin kiya tha unse pooch kar …
ab wo nahin hain to ismain unki kya khata hai…
main bhi kar baitha beinteha pyar to ab bhool nahin pata ek pal bhi unhe…
aye malik bata ismain meri kya khata hai…

163.
ab na tootenge kisi paththar se thokar khakar…
ek baar to ankhon main patti si bandh gayi thi…
ab na lagaunga dil na naina kisii se…
ab rehjaunga bhale hi andha hokar…

164.
jab pehali baar dekha to dekhta reh gaya..
Bahot deedaar hua par thoda reh gaya…
wo chale gaye jane kahan aur main wahin khada reh gaya…
unhe har gali dhoondha par dhoondhta reh gaya…
pyar to bahot kiya hai par thoda reh gaya…

165.
Parindo ki udaan parinde hi jaane…
mere khwabon ki udaan meri dil hi jaane..
bas ek pal ka vichaar yun kehna tha…
kahin hawa main udne ke chakkar main pairon tale jameen na chali jaaye…

166.
Aajadi
aajaad khayalon ki, aajaadi khayalon ko jeene ki
ajad khwab dhekhne ki , ajaadi khwabon ko poora karne ki
Ajaad pyar ki, ajaadi pyar karne aur jatane  ki
ajad khushi ki, ajaadi khushi bantne ki
ajad sachchayi ki , aajaadi sach kehni ki
ajad rahon ki, ajaadi se un rahon par sir utha ke chalne ki
hum ajaad hain, is ajaadi par garv karne ki
hum kush hain, Khushi hai ek ajaad bhartiya hone ki

167.
Bada dard hota hai jab ujaalon ko dekhkar apne andhere yaad ate hain…
hadd to tab ho jati hai jab apne ujaalon ke din yaad ate hain…
badal to baras ke chale jaate hain…
Mere hi suraj par kali ghatayen reh jati hain…
aur bheege hue se hum sookhne ke intezaar main khade reh jaate hain…

168.
thoda sa muskuraye to khushi bantne aagaye..
tum ne ek bhi ansun bahaya to hum dukh bantne aagaye…
jab humain dukh banten ki jaroorat padi…
to tum kisi aur ki khushi main shareek ho gaye…


169.
hawayen samandar ki thandi si hain aur nam bhi…
halat mere dil si, ke lehren to yadon ki mere dil main bhi kam nahin…
kyun aksar tu mere khayalon main ata hai…
har mausam ekdum se barfeela ho jata hai..
har raah main guzre se mod yaad ate hain…
tere sang bitaye wo pal yaad ate hain…
palon ko bhulana bhi asan hai lekin…
dil main ek makaam banaya hai tune…
us kone ko mitane ki koshish main hum nakaam reh jaate hain…

170.
khud ko kahin chupa kar…nayi jindagi jeene ki chahat hai meri…
kal,kal tha mera chala gaya…ab aaj main jeene ki chahat hai meri…

171.
pyar wahi jo mil jaye to khuda hai…na mile to saza hai…
main to wo deewana hun jo khuda ki chahat main saza kaat raha hai…
khuda ka deedaar hota hai bas khwabon main hi…
bas iska hakikat main dhalne ka intezar hi meri saza hai…

koi to khuda se deedaar kara de mujhhe…
bas yahi intezaar hi shayad meri saza hai..

172.
Kisse kahun ki tu mera kya hai..
kise batlaun tu mera kya tha…
baat hai is deewanepan aur zunoon ki…
iske siwa tu mere pyar aur kya hai…

173.
tu to khada hai mana ek dorahe par…
phir bhi ek rasta to hai manjil ka…
kahi mud to jaoge kisi manzil ki umeed par…
jab se chooti hai teri gali…
meri to rahen hi kho gayi hai…
ulajh gayi hai jindgi ek gol chakkar par

174.
humne ki mohabbat to gunah ho gaya…
pyar wo kiya jo kahin fanna ho gaya…
tujhe apna banane ki chahat thi dil ki bas…
mera janebahar to nahin par dil main ek dard reh gaya…

aise koshishon main hamesha nakanayab reh gaya…

175.
ek pal ko lagta hai sab kuch hai yahan..
ek pal ko lagta hai kho gaya main jane kahan…
main to rehta hun isi gali isi sheher main…
mera dil jaane rehta hai kahan…

176.
Pehle bhi tujhe chahata tha…
ab bhi tujhe dilojaan chahata hun…
pehle tujhe paane ki koshish poore dil se karta tha…
ab tujhe dil se bhulane ki poori koshish karta hun…

177.
to Ghazhab hota…
tumne kaha main bahot achcha hun.. agar ye khud bhi maan lete to Ghazhab hota…
ek achayi sau buraiyon pe bhari hai… humari to ek burai mauf kar dete to Ghazhab hota…
Doosron se khushi baantna napasand kiya… us khushi ka karan jaante to Ghazhab hota…
ped ke patton sa khush gawar dekha… jadon main faila dard dekhte to Ghazhab hota…
upper se roothna saha tumne mera… dil main chupe pyar ki gehrayi ko dekhte to Ghazhab hota…
Kinare par khade nav ka intezaar hai… pyar ke saagar main doobte to Ghazhab hota…
Pyar Main nazraane kai maange tumne…pyar ko nazrana shamajhte to Ghazhab hota…
Pyar hai mera sachcha khuda ki kasam… yahi samajh jaate to Ghazhab hota…

178.
Jab saamne the to deedar ke sahare hi din nikal jata tha…
tere jaane par main us dil sa ban gaya hun…
jis dil ko dhadakna to ata hai…
par jo ek baar dhadakne ko bhi taras jata hai…

(Jo saamne hoti to deedar ke sahare hi din nikal jata…
tere samne na hone par main us dil sa ban gaya hun…
jis dil ko dhadakna to ata hai…
par jo ek baar dhadakne ko bhi taras jata hai…)

179.
Marna chahate the par maut na mili…
jeena chahate the magar tu hi na mili…
rona chahate the to hazaar aansun mil gaye…
hansna jo chaha to, tere khayaal agaye…
(hansna jo chaha to, tere saath ki khushi hi na mili…)

180.
lo chala carwan mere sapno ka…
manjil nahin sathi Raston Ka…
kuch paraye kuch apno ka…
milna bichadna fir sath yadon ka…

Vaibhav Agarwal

you may read this also Mere likhe hue sher

Leave A Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *