Posts tagged beautiful shayri

Pta nahi main

Pata nahi main kaise ye shyari karne laga hoon… Khud par hi ab shaq sa karne laga hoon… Shayad… main bhi pyaar karne laga hoon…

1.dil main armaan bahot hain… jatane ka mauka hi nahin milta…

parwana hoon main…. par shama main jalne ka mauka hi nahin milta…

jane kaise dil ka haal bayan karoon unse…

ke dil ka dard to milta hain… par dildaar nahin milta…

2.jo bhi gum hain jamane main.. unka kuch hissa hume milla hai kuch tumhe…

bas farak hai to itna sa…. dard alag alag hain hamare tumhare…

aur is dard ki dava bhi na hume mili na tunhe…

3.har kisi ko aisa dildar nahin milta…. jo chaho wahi har baar nahin milta…

ye to humara dil hai jo…. tere seene main dhadakta hai… par ghar kisi aur ka hai…

ye to hum hain… jise apne hi dil main aashna nahin milta… 

4.kisi ne sach kaha hai… mohobbat bekar bana deti hai…

itni bhi kya bekaar hai… ki sbko apna shikaar bana leti hai…

ye wo khel hai jis main… shikari hi shikaar ho jata hai…

ki mar mit jane par bhi… shikaar hi jeet jata hai…

5.jab wafa ki baten hoti hai…. to chand aur uski chandni ka naam ata hai..

main to us sooraj ka kaayal hoon… jo khud jalta hai apni kiran ko jindagi deta hai…

suraj ke pyar ki law hai jisse chand ka noor hai…. jiska chandni ko bhi ghamand hota hai….   

6.kya sunaun is dil ki dastan…ke haal-e-bayan ke liye alfaaj hi nahin…

tum na samajh paoge ise…. ke ishq har kisi ke bas ka rog nahin….

7.tumse kya shikwa karen… ki kyun tu hamain janti nahin ….

ab to ye alam hai… ki aina bhi humain pehchanta nahin…

8.mat naam lo majnu ka mere saamne …. ki humari mohabbat bhi kam nahin ….

fark itna sa hai ki majnu ko duniya yaad karti hai… humain to humari janeman bhi nahin …

9.kahin suna tha ki hamesha ant main… burai ka bhi ant hota hai….

ya to mere dukh achche hain… ya mere ant ka intezaar ho raha hai… 

10.ke bahut tuta hoon.. har paththar se thokar khakar…

par mujhe sahare ki arjoo bhi nahin…

ke abhi bhi thodi jaan hai baki meri jaan-e-jaan ke liye…

aur kuch nahin bas itni umeed hai baaki …

aajayegi  bhagti hui nange paon mere paas .. main behaal hun ye jaan kar…

11.tere milne se pehle bhi akela tha… tere jaane ke baad bhi akela hoon…

pehle akela hi kisi bheed ki tarah tha…. ab bheed main bhi tanha hoon…..

tujhse kya gila kya shikwa karoon… meri tanhaiyon ne bhi mujhe tanha hi chor diya…

ke tere jaane se pehle bhi jeeta tha… tere jaane ke baad bhi jinda hoon…

12.tere husn ki kya tareef karoon ki… kya taj mahal ko bhi kisi tareef ki jaroorat hai?…

use to mohabbat ne banaya tha… tumse mohabbat janam leti hai…

taj mahal main to fir bhi mohabbat karne waale dafn hain …

tujhmain to mohabbat bhi  aashiyana dhondti hai…

13.kal tak hum jinke dil main baste the… wo aaj har baat dil pe lete hain…

jinke ghar main humara basera tha… ab wahan dastak dene se bhi darte hain…

unhe humari har baat main sachchai nazar ati thi… to har raaj bataya karte the…

ab raaj to kya… dukh dard to kya… pegaam-e-salam  dene se bhi darte hain…

shayad ye kasoor unka bhi nahin humaari dooriyon ka hai…

bas yahi soch soch kar is dil ko jaam-e-dilasa diya karte hain… 

14.aye jindagi itna na dard de… ki dard main maza ane lage…

ke ye dard ek jaam ki tara hai… pehle to bada kadwa lage…

fir adat jo iski pad jaye… har waqt iska hi khayal  ane lage…

kabhi to khushi bhi de… kabhi khushi ka maza bhi ane lage…

15.kuch baten kahi nahin jati… par mehsus kari jati hai…

kuch baaten tum samajh jaya karo… har baat samjhayai nahin jati hai…

ab tumse kya kehta …. tumse kitna pyar hai…

tum haan kehti to meri jaan nikal jati… jo na kehti to main jee nahin pata…

16.har tadap se tera khayal hi sukoon dilata tha… 

ab tere naam se tadap jata hoon…

ab pani main bhi aag lagjati hai

so apne hi ansuon se jal jata hoon…

17.kyun mujhse poochte ho… kyun itni peeta hoon…

jab chor gaye the mujhe…  mud ke dekha tha kaise jeeta hoon… 

ek yahi to hai jo gum ko door aur kushi ko badha deti hai…

ek sachcha dost aur mera sathi hai…

jo umeed tum se ki thi wo saath ye nibhati hai…

kyun mujhse poochte ho… kyun itni peeta hoon..

ye hi wo dor hai jiske sahare main jeeta hoon…

18. har pal hai intezaar jinka in ankhon ko … 

wo bas ankhen band hone par hi nazar ate hain..

kahin ye intezzar in aakhon ke band hone ka to nahin..

agar aisa hai to chahta hoon main..

hamesha ke liye band kardon in ankhon ko….

19. kaun kehta hai is dil ki soni banzar jameen par…

ek pyar ka phool bhi nahin khila hai…

hazaron ansunaun se seencha hai…

tab jake ye ishq ka gulistan mehka hai…

20.kaun jane is dil ki gehrayiyon main gum ka samandar bhara pada hai…

aur unhe lagta hai ki ye khushiyon ki barsat ka pani hai….

21.har dost ab mujhpar shaq karne laga hai..

pata nahin mujhe kyun galat samajhne laga hai…

tujhse dosti karne ki saza hai…

par is saza main bhi ata ek alag hi maza hai…

22KYUN…

ye sabd muhe har waqt satata hai kyun…

har baat ke ant main bach jata hai kyun…

iska jawab nahin dhoondh pata main kyun..

khud-b-khud jawaab nahin mil jata hai kyun…

jiska jawaab nahin uska sawaal hai kyun…

kisi sawaal ka jawaab bhi hai kyun…

khud sawaal ban gaya hoon main kyun…

ye har sitam mujhe hi ata hai kyun…

sabse bada dukh mera hi lagta hai kyun..

doosron ko bhi dard hai kyun…

dard bhi jaroori hai kyun…

dard ke baad hi dawa hai kyun…

har dard mere liye hi hai kyun…

har dard ko chupata hoon main kyun…

har gum main hansta hoon main kyun…

jane kis kis se darta hoon main kyun..

ye darr sa hai kyun…

ye andhera hai hai kyun…

koi roshni nazar ati nahin hai kyun…

is roshni ka intezaar hai kyun…

intezaar ke khatam hone ka intezaar hai kyun…

jo mil nahin sakta uski ichcha hai kyun…

jo mil jata hai uski, nahin hai kadr kyun..

tere liye kuch chaoon main kyun..

apna banana chahoon main kyun…

tujhe har baar, har raaj bata na chahoon main kyun…

tu meri nahin hai kyun..

mujhe chahti nahin hai kyun…

nahin theherta hai waqt kabhi mere liye kyun..

nahin kar pata har kaam waqt par main kyun…

tune mujhe thukraya hai kyun …

tujhe samajh nahin paya main kyun…

koi mere liye bhi hai is duniya main, ye sooch ta hoon kyun…

jeene ki tammna nahin hai kyun…

marna main chahata hoon kyun…

jeene ki mazboori hai kyun…

jeena main chahat hoon sukh se kyun…

dard main jeena mushkil hai kyun….

23. jo milta hai tera hi pata pooch ta hai..

ab apna pata bhi yaad nahin.. jane wo kya pooch ta hai…

par fir bhi tera pata bata deta hoon …

jaane  wo yaad kaise rehta hai…

24.tere jane ke baad teri yadoon ke galiyare main gumm sa ho gaya hoon…

jane kyun jindagi ki seedhi sadak par bhool bhulayya sa bhatak gaya hoon…

registaan si jindagi main pani ka miraaz sa hota hai… har jagah ruk kar tere pyar ki boond dhoondhta hoon…

mujhe to har rah main tere hone ka miraz hota hai… har waqt tere jaisa pyar karne waala dhoondhta hoon…

25.shama main aag to hoti hai par… parwane ke milne ke baad… parwane ki wo aakhri raat hoti hai

jane kis gum main shama jalti hai ke us aag main parwana bhi jal uthta hai..

26. muskurahat bane aisi kismat nahin.. ashk bankar bahe aisi hesiyat nahin…

tum jaisa dost mil gaya .. ab aur koi chahat bhi nahin…

27.teri pyar ke kabil hoon ye to pata nahin…par teri nafrat ka haqdaar to main nahin…

tu mera pyar kabul kare ya na kare par… main tujhse pyar karna chor dun… kabhi nahin…

28.mat rok mere dost mujhe rone se…

ke meri yadoon ke jungle ka har patta mere aansuon ki nadi ke kinare jinda hai…

mat soch meri aankhon ke baare main ki…

inke band hone par hi unka deedar hota hai…

29. bahot din hue roya nahin hoon…

kuch dino se kuch khoya nahin…

ye bhi tera hi suroor lagta hai…

ki jaam to hai par kai dino se piya hi nahin hoon…

30. sawan sa tera pyar…

garmiyon si teri takraar…

patjhad si teri judai…

basant si teri saadgi…

sardiyoun sa tera saath…

hai aisa kaunsa mausan…

jo na dilaye teri yaad…

hain sabhi mausam teri hi yaden…

31.kabhi soochta hoon shayad…

jab akela tha tab khush tha shayad…

par tere ane ke baad… wo sabse achcha waqt tha shayad…

ab tu nahin hai…par jee lunga shayad…

32.har dard  se sambhal jata hoon jab tu ati hai..

har gum se ubar jata hoon jab tu nazar ati hai…

par tere jane ke baad…

issi gum or dard se bhari tanhaiyan reh jati hai…

jo fir se tere ane ke intezaar main lag jati hain…

33.tere jehen main ate hue khayal main jiska saya hai…

us saye main bhi mera aks dhoondhta hoon…

jane kyun itni si ummeeden hai…

ki us kali parchayi main hi apne pyar ke rang dhoondhta hoon…

34.is bhagti daudti bheed mai main bhi duadta hoon…

fir kahin bhi ruk kar… kabhi kabhi sochta hoon…

kya ye sadak meri manjil ki aur jati hai…

har kisi ki manjil par ruk kar apni manjil ka pata poochta hoon…

har kisi ki manjil dekha kar.. apne ashiyane ko ek naya roop deta hoon…

fir kisi mod pe jake fir kuch naya sochta hoon…

35.har saans main teri khushbu ho… har dhakan main teri aawaaj…

har soch main tera khayal hai… har ant teri judai… har milan tera aagaaj…

36.khudi ki julfon ke saaye se usnaim humko yun dekha…

ki dil ki har hasrat poori ho gai…

bas ek hasrat unka chehra dekhne ki….

in aankhon ki manzil ban kar reh gayi…

37.bahot kosa duniya ne… par ek apno ka sahara tha…

ab kisko sahara samjun… jab apno ne hi nakara samjha…

38.har kisi ko pyar miljata to pyar hi kadr nahin hoti…

jinhe pyar ki kadr hai unki tanhaiyan bhi tanha nahi  hoti…

ke milne ka maza bhi tab hi hai jab beech main ek lambi judai hogi…

39.bada nakara tha tere milne se pehle…

tujhse mila to to ek kaam milgaya…

kaise sukriya karon tera…

ki tune mujhme ek shayar jaga diya…

tere jaane ke baad bhi khali nahin hoon…

tune jate jate mai khane ka rasta dikha diya…

40.kal tak besabri se us ek pal ka intezaar tha…

jis pal,  kuch akhri lamhon main tere saath rahunga…

par aaj ye darr hai ki wo lamha ek din aur kareeb hoga…

itni choti mulakat ke baad unse mulakaton ka ant hoga…

abhi intezar ke sahare to jee raha hoon…

un lamho ke guzar jaane par ye aasra bhi nahin hoga…

41. meri khushiyon ne bahot kiya mere gummo ke janaze ka intezaar…

aaj to mera hi janaza he doston…

shayad ye intezaar khatam ho jaye jindagi ke us paar…

42. har burai ko chorne ki koshish karta hoon ..

main bura insaan nahin hoon… bas burai chor nahin sakta hoon…

har khushi ne mujhe chor diya hai… ab gumo ko chor nahin sakta hoon…

khushiyon ne to dhoka diya… dard ko khafa chor nahin sakta hoon…

43. bas aaj ye ehsaas hai kaun mera kaun paraya hai…

jo dekh le nigah bharke wo apna lagta hai…

jo ankhe churaye  wo begana…

kabhi nahin mushkil thi log pehchanne main…

ab to dhoka khata hoon rojana…

44. salon se sukhe banzar is dil ko bas ek khushiyon ki barish ka intezaar hai…

han dil nam to hua hai or hara bhara bhi…

bas nami gummo ke samandar ki hawaon se hai…

jo mere dil ke nasooron ko hara bhara rakhti hai…

45. Main aine ke rubaru…

ye aks mujhse hairaan hai kyun…

46. tujhse bichadne ka dukh nahin.. tere milne ke intezaar de darr lagta hai…

ki us ummeed ki lau se mere dil ke har dard ka diya jalta hai…

47.har dard se ubarna chahata hoon…

in tanhayion se nikalna chahata hoon…

shayad tere pyar main hui nakamayabi ka asar hai…

ab kabhi pyar ke us masoom chehre ko padhna nahin chahata hoon…

48.maza to bahot aata hai dastane mohabbat sunane main…

par yun achcha nahin lagta kisika berukhi ke sath sunna…

thak k ek thikana bach jata hai dard e dil sunane ko…

bura hai jaiasa bhi hai par ye kabakht saki hi sunta hai maikhane main…

49.DOST + I = DOSTI…

‘I’ will alwaz b there for ‘DOST’…

b my ‘DOST’ forever to complete ‘DOSTI’…

50.DUSHMAN+ I=DUSHMANI…

‘I’ will alwaz b there for ‘DUSHMAN’…

b my ‘DUSHMAN’ forever to complete ‘DUSHMANI’…

51. raat bahot ho chuki hai…

par ankhon main need nahin hai…

bahar sukha hai par akhon main nami hai…

Registaan sa banzarapan ab is dil main baki hai..

52 shabdon ke jaal bunna hi shayar ki shayari nahin…

wo shayar hi kya jo apne gummo ke jaal main uljha nahin…

wo shayar hi kya jo apni shayari jiya hai nahin..

wo shayri hi kya jo sachchi kahani hi nahin…

wo shayar hi kya jo apni jindagi ke ehsason ke jaal main uljha nahin…

53. jab maut ne gale laga liya to jindagi ki kise fiqr hai…

jab gummo main bhi hansna seekh liya to khushi ki kise fiqr hai…

54. sab log apna samajhte hain par abhi bhi apno ki kami si hai…

tu dil ke paas hai par fir bhi teri kami si hai…

wo kehte hain main bhoola nahin hoon fir bhi mujhe hitchkiyon ki kami si hai…

aur to kuch jyada nahin bas tere jane ke baad dil main dhadkano ki kami si hai…

sab kuch samajhta hoon mujhe samajhne walon ki kami si hai…

har kisi ko samjhata hoon mujhe samajhane walon ki kami si hai…

ya to wo mujhe bhool gaya hai…

ya meri pukaron main kami si hai…

bahot khuch kehna hai par shabdon ki kami si hai…

bahot kuch sunna hai par aawajon ki kami si hai…

dost to bahot mile par nibhane wallon ki kami si hai…

pyar to bahot kiya par humse pyar karne walon ki kami si hai…

ji raha hoon par jindagi ki kami si hai…

hans raha hoon par khushiyon ki kami si hai…

jindagi bahot jeeli hai ab to maut ki kami si hai…

(Yun to bahut kuch hai mere pass phir bhi kuch kami si hai

Ghira hun charon taraf muskurate chehron se

phir bhi zindagi me ujale bharne wali us muskrahat ki kami si hai

Dikh rahi hai pahchan apni or udte har nazar me

phir bhi dil ko chu lene wali us nigaah ki kami si ha

gunjata hai har din naye kisson , kohlahal aur dhahakon se

phir bhi kaanon me gungunaati us khamoshi ki kami si hai

bad rahe hai kadam mere pane ko nayi manjeel

phir bhi in haathon me chut chuke un naram haathon ki kami se hai…………….)

55.uski yadon main yun gumm sa ho gaya hoon…

usse dhoondhne nikla par kahin main hi kho gaya hoon…

jo kabhi mil jao kahin raaste main tum humse…

ye na kehna bhool ke bhi kabhi tumhe bhool gaya hoon…

56. hum tere shahar main aye the musafir ki tarah…( this line by Ghulaam ali)

kya kiya tune is dil-e-nadaan ke saath…

ki chala ja raha hoon tere sheher se kaafiroon ki tarah…

57. jate hue main un rasto ke purane darakhton par…

jo ek nigah bharkar sochta hoon…

to khayal ata hai ki unpe pade samay ki dhaaraon ke nishaan…

shayad  yaad dilate hain mujhe…

aine main nazar ate mere aks ki…

58. wo lete hain wahin abhi bhi chadar odhe hue…

jane kyun , wo nahin hai ab, hum ye bhi bhool gaye…

bas itna saa kehna hai…

wo soye itna ki uthna hi bhool gaye…

hum jaage itna ki sona hi bhool gaye…

saath jeene ka wada tha par saath marne ki kasam wo bhool gaye…

jane kahan chale gaye ki humare ghar ka rasta wo bhol gaye…

59. jab nikalta hoon main kisi raste par..

har raston pe mod mil jate hain..

jo mudta hoon har mod par…

to har mod ke baad  dorahe nazar ate hain…

chunta to hoon unmain se ek rasta par…

fir milte to wahi mod aur dorahe hain…

60.kyun jalaye rakkha hai gum e dil ka diya yun

ki ansuon ko behne ka mauka mil gaya hai..

in ansuon se jalta hai ye gum e dil…

jo band kardo ek baar yun ansun bahana…

nahi padega kabhi fir dard e dil sehna…

61.dekha jo tujhko khil khila ke hanste hue..

dil ka har soya khwab jaag utha hai…

is pyari si hansi ke suron ko sunkar yun…

mere dil ke jal tarang ka har taar baz utha hai…

jo bikhere hai khushiyon ke geet tu fijaon main…

feeka sargam ka har ek sur  hua lagta hai…

62. use janna chahta hoon jo hummain nahin janta…

use pyar karta hoon jo pyar karna hi nahin janta…

ab ismain meri kya khata jo ek bewafa se dil laga baitha…

kaash usnain wo dekha hota jo pyar reh gaya andekha…

63.hum aye hain unke ghar is umeed main ki wo ankhe bichaye baithe honge..

itna sochte hue jo unke darwaze par dastak di….

darwaja khulte hi unhone poocha… aap kaun hain???

hum hi laut aye ye soch kar ki hum hi  galat ghar main agaye honge…

64. barish ki choti choti boondon main tera hi massoon chehra nazar ata hai…

fir is barsaat main ankhe khole khada hoon shayad ek boond in ankho main sama jaye…

par sochta hoon mere gum-e-ansuon ke sang wo boond na beh jaye…

wo ankhon main basa chehra hi bas teri akhri yaad hai…

yahi sochkar bas ab hansta rehata hoon… kahin ek ansun na beh jaye…

65.hum diya jalaye baithe the ki wo ayenge hum se milne

diya bhi jal raha hai wo milne bhi aye hain…

bas ab humare ghar nahin  humari mazar par aye hain…

66.khud to mar chuke hain doosron ke liye jeete hain…

ab khud ke gum or dard se nasha nahin hota hai…

khud ke liye nahin ab doosron ka gum galak karne ke liye peete hain…

67. wo door ek ummid ka dia jal raha hai…

wo ek halki si roshni se mere dil ka andhera chant raha hai…

lo himmat karke diye tak haath to badha dia hai…

par jaane kiski nazar lagayi hai in khushiyon ko…

ki us ummed ke deye se bhi haath jal raha hai…

fir bhi thame hue hun is diye ko jalte hue haathon main..

shayad yahi likha hoga meri haathon ki lakeeron main…

yahi soch kar in lakeeron ko mitane ke liye haath bhi jala raha hoon..

fir nayi lakeeren banegi  fir is ummed main jal raha hoon main…

68.us roshni main badhti hui tanhaiyon se bhag kar…

is andhere ke kaale sayon se dosti  ki hai…

par us roshni ki tanhaiyon main bhi apnapan tha…

in andheron main to meri parchayi ne bhi saath chor diya hai…

69.jise humne chaha wo mujhe na mil saka…

koi humain chahata aise mai na ban saka…

ab ismain meri kya khata main un jaisa na ho saka…

kisi ke dil main pyar to kya nafrat bhi na jaga saka….

70. tujhse itna pyar karte hain ki..

 is ehsaas ki inteha hum nahin jante…

bas maut se bhi lad jayenge par tujhe na jane denge…

maut na mani to uske sath hum bhi holenge…

is duniya se us jahan tak har kadam tere saath chalenge…

71.jo bhul jayen wo yaden nahin…

jo yaad na aye wo pyar bhari baten nahin…

tere mere dil ka haal ek jaisa hai…

bas tune keh diya aur main to keh bhi pata nahin…

72.shayri ki ye adat to sharab ki adat se bhi hai buri…

sharab pi kar to sab bhool jata hun…shayri main to yaden sanjota hun…

sharab peekar badbadat hun to diljala samajhte hain…

shayri sunkar to wah wah kiya karte hain…

73.jaane chor aye the unko kiske sahare…

wo khafa to hai ki kyun chor aye the beech rah main…

wo na samjhe ek bhi majboori meri…

ye bhi na socha ki hum jeete hain kiske sahare…

ye bhatakti kashti si jindagi ka sawaar main jaane kiske hun sahare…

ye dukh ka maha sagar aur nahin ek bhi sukh ke kinare…

kehne ko bahot hai yahan sahanubhuti ka khara paani…

par pyas to tabhi bhujegi jab mile kisi ke pyar sa meetha pani…

par pyas nahin bhujti; jabtak na ho; pyar ke meethe neere…

(Jane wo chor gaye hume kis ke sahare…

Chora bhi to tab jab door the kinare…

Ye bhi na socha ke is dukho bhare jeewan k sagar me hum lehro se lad rahe the kiske sahare…

Is toti purani kasthi se jeewan ka sawar main jaane lade jaraha hoo kis ke sahare…

Ye dukho ke sagar ke shayad nahi hai kinare…

Kehne ko bohot hai yahan Suhanubhuti ka khara paani…

par na jane kab paunchagi sahil pe meri kahani…

Dar ta hoo sahil ke intzaar me he khatam na ho jai meri zindagani…)

74.dekho wo mujhse rooth kar kaisi sajaayen deta hai…

kabhi lagta hai shayad bhool gaya hoga mujhe…

par wo zalim to itna sukoon bhi nahin deta hai…

wo door betha hua bhi khamosh sadaayen deta hai…

75. ye tumhari ankhen pyari pyari…

in ankhon main sundar kwabon ka ek samandar…

is samandar main meethi boonden yadon ki…

kahin mera dil pyar ke jazeeron main doob na jaye…

kahin mujhe tujhse pyar na ho jaye…

kahin ye jaan kar tu mujhse rooth na jaye..

kahin mera dost kahin chhoot na jaye…

76.jab unke dar-o-sheher se nikla tha…

wo mujhe alvida kehne door tak aya tha…

jaane kyun main ye dekh kar khush tha…

ki uski ankhon main ek chota sa ansun tha..

77.maine use chaha jo mujhe chah na saka…

usnain jise chaha wo use chah na saka

ab ye meri ya uska naseeb kehlo…

na hi main khush raha na hi wo khush reh saka…

78.dil le liya hai tune seene se nikal kar…

us khali jagah ko bhar diya hai tune judai ka gum daal kar…

ab jiyenge kaise yun tere bin jindagi bhar…

ki reh nahin pate ek pal bhi tujhse door hokar…

79.is bheed main kuch to mai bhi shamil ho jaun…

kuch to duniya ke jaisa bhi ban hi jaun…

abhi kuch to khud ko janta hun pehchanta hun…

us bheeh bhad main kahin khud ko na bhool jaun…

80.aaj kisi ko dekha tha bhatakte hue raston par…

kuch jana pehchana sa koi apna sa laga…

kuch dhundh ka sama tha…

fir bhi use dhundhne nikla…

is umeed main ki ab mera bhi koi sathi hoga…

par jo kohre ka ghana badal chanta…

saamne aina tha or usmain mera aks tha..

fir main aur mera saya un raston par bhatakne lage…

wo door ek saya sa nazar ata hai…

is dhundh main kuch dhundhla sa nazar ata hai…

chalo koi to apna sa nazar ata hai…

pass jakar dekha to ek aina sa nazar ata hai…

us aine main mera hi aks nazar ata hai…

81.koi unko jake ye bataye…

ki humari halat kya hai…

wo to humain thukra ke age badh gaye…

magar hum band ghadi ki suiyon ki tarah wahin reh gaye…

samay to apni raftaar se age nikal chuka hai…

par mera waqt us akhri mulakaat par tham sa gaya hai…

82.yun waqt ke saath chalne ki chahat main…

har apne ko peeche chor chala hun…

ek khud ka to bharosa tha…

ab har pal khud ko bhi dhoka deta hun…

jaane kiski chahat hai mujhe..

jo mere dil ki aawaaj ko bhi ansuna karta hun…

83.aaj fir kisi apne ki ankhon main ansun dekha hai…

par jaane kyun mera mann bhi udas hua hai…

mera dil uska dukh bantna to chahata hai..

par use ye kehte hue bhi darta hai….

84.aaj main khush hun…

ki mera janaza jo nikal raha hai…  

jindagi main koi saath na tha…

maut ke baad julus sa nazara hai…

mere saath to koi na roya…

par ab koi mere liye ansun baha raha hai…

aaj main khush hun…ki mera janaza jo nikal raha hai…

85.ye logon ki bheed ye sawaalon ke tufaan…

thak gaya hun main inke jawaab dede kar…

ab to thodi shanti mil jaye jindagi main kahin…

thak gaya hun dil ka sukoon dhundh dhundh kar…

86.ye wo akhri raat hai jab main roya hun…

shayad akhri raat jab main khoya hun…

bas yahi samajh liya hai ab maine…

ab yahi soch kar har raat sota hun…

87.tujhme itna kho gaya hun ki khud se jyada tujhe samajhne laga hun…

ab tu kuch kahe na kahe teri khamosh jabaan bhi samajhne kaga hun…

tu bol ke apni dastan-e-dil bayan kare na kare…

ab to teri dhadkano ko sun kar tere khayal samajhne laga hun… 

88.har arju khatam, har khwaish ko mil gaya anjaam…

tu jo khush hua hai, nahin meri duaaon ko bhi kuch kaam…

89.jindagi nahin chalti ek din bhi tujhse door hokar…

jaane kaise rahunga tujhse alvida kehkar…

naajaane tu samajh payega ki nahin…

koi mil gaya tha apna sa tujhse milkar…

90.suna hai apni taqdeer apne haathon se baadalti hai..

yahan to jis gali se nikalte hain, wahan se to maut bhi apna rasta badalti hai…

91 wo karte hain waar anjaam-e-manzil ke aane par..

ke mud kar bhi nahin ja sakte…

sahi chodda hai jeevan ki majhdhaar par..

92.tu mera na ho saka iska gum nahin…

tune mujhe thukra diya iska bhi gum nahin…

gum to bas is baat ka hai ki… 

tujhe meri mohabbat ki inteha ka andaja hi nahin…

kher ismain teri bhi koi khata nahin…

is pyar ki hadd ka to ab tak mujhe bhi pata nahin…

93.na jaane kyun tere jaane ka gum hai..

na jaane kyun fir na milne ka darr hai…

tu na bhoolne ka waada to kar gaya..

par tera ye waada bhul jaane ka darr hai…

94.Haar tabhi maan jab haarne ko kuch baaki na bache…

jeet tabhi hai jab jeetne ko kuch baaki na bache…

patthar hote hain sabki rahon main…

har patthar ko chunkar bharle apne daaman main..

jab tak rahon main ek bhi patthar baaki na bache…

hum tere saath hain har haal main har raah main…

chahe tera koi aur saathi baki na bache…

एक कदम तुम चलो हमारी  तरफ, एक कदम हम चले तुम्हारी तरफ

यूँ ही चलते रहे जब तक कोई फैसला बाकि न रहे

95.har koi hans leta hai haal sunkar mera…

fir dil kuchal deta hai,jab wah kehta hai sher sunkar mera…

use to meri shayari main dar-e-dil sunai padta hai…

har gum ko sehta to bechara dil mera….

96.aaj fir tera haal poochne hi himmat ki hai…

fir se us dosti ko jodne ki koshish ki hai…

bas ye dostana fir purane jaisa ho jaye …

aaj fir is aitbaar main ye umeed ki hai…

97.Rooh-e-jindagi meri yun ghayal si ho gayi hai…

jane kis dukh main dukhi hokar gafil hi ho chuki hai…

ab aur na saha jata hai na jiya jata hai ek pal bhi..

jindagi meri khushgawar si nahin ek bojh main badal gayi hai….

98. jaane wo kis sapne se darr lagta hai..

ki ab ratoon ko sona bhi  nahin chahata hun…

jo sapna jagti ankhon se dekha tha…

ab use toot te hue nahin dekhna chahata hun…

jo mujhse ek dill ka rishta banaya hai tune..

koi naam dekhar use badnaam nahin karna chahata hun…

har baat tujhse shuru ho jindagi ki…

aur tujhpar hi khatam bhi karna chahata hun…

99.Seedhe chalte raston par bhatak jata hun…

sirf tere khayal se kahin kho jata hun…

tu ek nigah bhar ke dekh le kabhi yun hi…

bas teri taraf is khayal se dekhta jata hun…

kahin is baar tu aaya hoga shayad..

yahi soch kar darwaje par nigahen lagaye baith jata hun…

har aahat pe lagta hai tu aaya hai shayad…

halki si aawaaj se adhi raat ko bhi jaag jaata hun…

shayad tu sapno main hi aajaye…

yahi sochkar fir sone ki  koshish main lag jaata hun…

100.nigahen baar baar unhe dhundhti hain jo kabhi humse milte hi nahin…

wo rehte hain pass pass hamesha par kabhi apne se hue hi nahin…

101.tere har ashk par mujhe bhi rona aya…

jab tujhe gussa aya jane mujhe bhi kyun gussa aya…

har waqt teri khushi ka hi khayal aya…

in jajbaton ko tu kabhi samajh nahin paya…

tujhe bhi mujh par pyar aye…

bas yahi khwab har raat sone par aya…

ab tujhe bhulane ka waqt hai aya…

der se hi sahi par ye khayal bhi mujhe abhi aya…

102.tera haath thaam kar in ishq ki galiyon main kadam rakh liya hai…

beech rah main jaane kyun tune apna daaman chura liya hai…

hum to abhi bhi inhi galiyon main bhatak rahe hai…

shayad tujhe apni manjil ka thikana mil gaya hai…

103.har lamha teri yadon main guzaara hai…

har intezaar teri yadon se sajaya hai…

har yaad par tujhko hi pukara hai…

har pukaar ke baad fir intezaar hi sahara hai…

104. dhadhakte armano se dil to mera hi jalta hai…

har armaan par ek ansun to mera hi chalakta hai…

duniya ke liye to atishbazi ka sa tamasha hai…

ghar to yaron phir bhi mera hi jalta hai…

105.neend ye kambhakt kyun ati nahin…

jaan ye kambhakt kyun jati nahin…

roro ke dil mera kyun bharta nahin…

hansne ki baari bhi kambhakt ati nahin…

106.chooti jo unki gali…

veerano main bhatak raha hun..

choota jo unka saath to…

tanhaiyon main jee raha hun…

choota jo uska nazaara…

jindagi ki door dheeli kar raha hun…

talash to jari hai…

choota hua dhoondh raha hun…

107.jindagi khatam nahin hoti ek patthar se thokar khakar… 

fir khade ho gaye hain rahon main tera saath paakar…

108. suraj to roj nikalta hai bas mera hi savera nahin hota…

main hamesha se tera hi tha tu hi ek pal ke liye mera nahin hota…

109. rooth ke wo mujhse baitha hai… shayad meri hi khata hai…

ab berukhi hi sehna hai mujhe… shayad yahi meri saja hai…

110.ab dil tut bhi jaye to kya, ab mera nahin hai…

wo chhoot bhi jaye to kya, ab mera nahin hai…

har lamha wo mera tha… tha, ab mera nahin hai…

waise bhi kya fark pad jayega, jab mera hi nahin hai…

111. jaane kya hua sab mere dukh main dukhi se nazar ate hain…

ab to hawa mai udte patte bhi chatpatate nazar ate hain…

112. rah ke patthar ko thokar na maar…

shayad ye unka dil bhi ho sakta hai…

un pattharon ko yun hata na rahon se…

ki banana hai ghar inhi pattharon se isi rah par…

113. humain to dhokon ki adat si ho gayi hai…

kabhi jindagi to kabhi maut bhi dhoka de jati hai…

jao ab na jindagi ki jaroorat hai na marna chahata hun…

bas ab ye kashmakash na ho ye khwaish hai dil main…

114. chal mere dil apne arman kahi dafn kar chal…

jab bhi nikla hai ek arman kisi nain kuchla hai har pal…

bas bahot hua ab na rona hai aur ek pal…

tu hi tera sahara hai tu hi khud sambhal…

115. Sabkuch manga tha par kuch na mila…

kuch na lutane ka socha tha par sabkuch lut gaya…

baki mujhme kuch na raha sabkuch to mera usnain chura liya…

ab to bas kuch gum hain kuch yaden hain jise apna sabkuch bana liya…

116. unki yadon ke aane ka kya kahe kuch hisaab hi nahi…

kabhi puchega to kya jawaab dunga…khud mere paas hi jawaab nahin…

kya jindagi main sason aur dil main dhdkan ko ginne ka bhi tareeka hai kahin…

117. kaun kehta hai main tanha nahin rehna chahata…

main to teri yadon mai…

tere khayalon mai…

tere dil ki gehrayion mai…

tere din mai…

teri raaton mai…

tere khwabon mai…

tere baton mai…

teri nazaron mai..

teri pasand mai… 

teri khwaishon mai…

teri ankhon ke samandar mai…

teri bahon mai…

tu jise chahe un naamo mai…

kuch khon ke darr mai…

teri khushiyon mai…

teri kamyabiyon mai…

tere junoon mai…

teri pagal pan mai…

teri masti mai… 

tere dukh bantane walon mai…

tere nakhre uthane walon mai…

tere sang jindagi bitane walon mai…

tere saath jeene mai…

tere saath marne mai…

tujhse judi har cheeze mai har waqt, har lamha, har pal main tanha rehna chahta hun mai…

118. yun dhalte din ko dekh kar.. yun dhalte suraj ko dekh kar…

mera bhi dil bhuja bhuja sa hai…

par fir dil main ek ummeed bhi hai…

naye chadte din ur ugte suraj ko dekh kar…

119. Gum ke sahare ki talash thi tujhse takra gaya…

Mohabbat ki talash thi tujhse takra gaya…

Khud se bhagta raha jindagi bhar yu hi…

jab apno ki talash main nikla to tujhse takra gaya…

jab Jindagi ki talash main nikla to tujhse takra gaya…

(bahot tadpa hun dardon ke ghere main…

Gum ke sahare ki talash nikla to tujhse takra gaya…

rote rote ankhon ke ansun bhi peegaya main…

Jab khushi ki talash main nikla to tujhse takra gaya…

nafraton ki barish main bheegta raha main… 

Mohabbat ki talash nikla to tujhse takra gaya…

Khud ke saye se bhi bhagta raha main…

jab apno ki talash main nikla to tujhse takra gaya…

kya jeena mera, bas jinda tha main…

jab Jindagi ki talash main nikla to tujhse takra gaya…)

120. 

dil kehta hai unka pegam jaroor ayega…

par unhe apne pegam padhne se fursat hi kahan…

 intezaar hai unke ek khat ka par…

shayad ye khat likhne ka waqt bhi unke pass kahan…

shayad ye khat bhi mere naseeb main kahan…

121. sab se milta hun…bahot hansta bhi hun…

par jab bhi tujhse milta hun…

aankh main ek ansun hota hai…jise tujhse hi chupata hun…

jise jindagi samajhta hun… usse hi jhooth bolta hun…

jaane in aansuon ko kiska intezaar hai… par uske saamne nahin ro sakta hun…

kabhi to samajh jao mere armano ko… waise to main bhi inhe samjhaata hun…

122. pyar to kar liya yun hi maine…

na socha na samjjha ek pal bhi maine…

ab samajh aya hai pyar sirf kiya tha maine…

kiya bhi to kisse kiya pyar maine…

bewafa hi hoti to samjhaleta khud ko…

yahan to wafa main bhi dhoka khaya hai maine…

par abhi bhi umeed nahin chori hai maine…

shayad galti hi koi ki hogi maine…

123. baton ka silsila to abhi shuru hi hua tha…

wo fir chale gaye baat adhoori chor kar…

abhi to mujhe apna haale dil bayan karna tha…

bas chor gaye tadapte hue mujhe apne haal par…

124. chalo ek aur raat gujri.. lo fir naya savera hai…

chalo ek aur ansun bahaya hai maine.. lo fir mera dil muskuraya hai…

chalo ek aur baar thukraya hai tune.. lo fir maine tujhe apnaya hai…

chalo ek baar fir mera saath diya tune.. lo fir ada kiya shukriya hai…

125.lo mujhe koi apna sa mil gaya…

mera har sapna sa khil gaya…

ab fir se jaagna nahin chahata…

maut main bhi jindagi ka ehsaas sa mil gaya…

126.intezaar unko bhi hai meri dhadkano se nikalte unke naam ko sunne ka…

betab wo bhi hai mere khayalon main unke ehsaas ko janne ka…

bas dikhate nahin hain kabhi apne chehre pe…

par intezaar unko bhi hamare paigamo main chupa unke like hamare pyar ko jaan ne ka…

127.sunkar teri meethi meethi baten, kano main mishri si ghul rahi hai…

pyar main teri saare jahan ki khusiyan bhi mil rahi hai..

bas yunhi jindagi bhar saath dene ka wada karo…

bas yahi soch kar mere dil ki har kali khil rahi hai…

128.chah kar bhi wo raat nahin bhool pata…

wo haathon main haath, tera saath nahin bhool pata…

saansen lena bhale hi bhool jaun…

par teri sanson ki khusboo nahin bhool pata…

129.bahot pyar dekar bhi dekha…

bahot saath dekar bhi dekha…

duniya se tere liye ladkar bhi dekha…

tere sath sabke liye bura bankar bhi dekha…

bas na dekha to teri ankhon ek pyar ka lamha nahin dekha…

teri ankhon main pyar ka ek sapna bhi dekha….

bas us sapne main kahin mera saya bhi nahin dekha…

130.chal chor diya tujhe bhi apne haal par..

chal choot gaya main bhi apne hi haal par…

ab is haal main bhi behaal sa hun…

par fir bhi hansta hun har haal par…

131.jaane kis hosh main tha main jo madhosh ho baitha…

jaane tu kis madhoshi main tha jo apne hosh kho baitha…

ab na chahata hun ki hosh main aun, na ane dun…

bas ab har pal rahun beshosh sa baitha…

132.har pal chaha hai tujhe, har pal chaunga main tujhe…

har pal na chahun, to koi bahana nahin hai…

har pal hi chahun tujhe, itni deewangi nahin hai…

khud bhi uljhan main hun…har pal chahun na chahun tujhe…

133.jo kat gaya wo majil ka rasta nahin tha…

jo mil gayi wo manjil ka thikana nahin tha…

nikle the jiski ki talash hum akele in rahon main…

wo to kya milna tha uska saya bhi nahin tha…

134.begano main itna kho gaya hun…ki apno ko bhool gaya hun…

begano ki nafrat kahakar bhi unke saath hun…apno ka to pyaar bhi bhool gaya hun…

135.karte hain ansuna par sunna bhi mazboori hai…

sunte hain jo na suna par sunna bhi jaroori hai…

ab chahata hun wo sunna jo reh gaya ansuna…

ab chahata hun kehna jo reh gaya ansuna…

136.wohi karte hain jo unko hai pasand bhale hi galat kyun na ho…

wohi soch lete hain jo unki soch hai bhale hi galat kyun na ho…

har koi galat samajhta tha to seh gaye tera naam lekar bhale hi galat kyun na ho…

aaj tune hi galat keh diya humko, bhale hi har karam tera hi kyun na ho…

137.tere ane par dukhi rehta hun…

tere jaane par khush rehata hun…

tere ane par bichadne ka dukh hota hai…

tujhse bichad kar ek bar fir milna hai ye soch kar khush rehta hun…

138.ek baar fir suna kuch bura..

wo ek baar fir bhool gaye hum…

fir ek baar jo suna bura to…

na fir bol paoge bura tum…

139.Kabhi ankhon dekha bhi sach nahin hota…

kabhi andekha bhi sachcha hota hai…

Jo ankhon se nahin ankhon main dikhe…

wahi pyar sachcha hota hai….

140.Vichaar – Pyar aur Pani

pyar aur pani ka ek hi haal hota hai…

na pani aakaar hai aur Pyar bhi nirakaar hota hai…

ek jeene ke liye jaroori hai to ek jindagi ke liye…

dono ka na rang hai na roop par.. ek jaroorat hai..

dono ki pyas hai… ek baar bhuj bhi jaye to kya fir agle din jaroori hai…

suddha ho to vardaan hai milavat ho to jeher bhi hai…

jis tarah dhalo dhal jate hain rakhne waale ka aakar lelete hain…

141.kat rahi hai jindagi kaat raha hun…

kuch apne kuch paraye rishte apne kandhon par dho raha hun…

koi sochta hai kuch achcha bhi mera ..

to uski kya galti jo bura hi hota hai mera…

nikal lunga yun hi  hanste hue main jindagi ka safar…

jindagi ka pata nahin maut ko to bana lunga humsafar mera…

142. Mera dil todkar tune kuch bura toi nahin kiya…

ab har tukda ek seene main dhatakta hai…

143.mujhse na poocho unki nazron main jaake dekho ..

aj mere saath nahin par mujhe dhoondhti to hai…

haal mera nahin unka bhi dekho…

wo mere nahin hai.. par mera dil to unka hi hai…

144.Mat pooch mere dost meri maut ke nazaare hain hazaar…

Ek choti si maut se mera kya hoga…

145.Pyar

ek haseen lamha ya lamho ki kadi…

lamhon ki kadi ya janzeer…

mazboot janzeer ya kamzor kadiyan…

kamjor kadi ya dil ki lagi…

ye dil ki lagi ya dillagi…

dillagi hi  main dil kho gaya…

dil kho gaya ki mila naya thikana…

dil ka theekana mera ya uska bhi hai…

wo mera paraya hai aur main uska hi hai…

146.bas dhundhli si yaad hai baaki…

bas unka ek ehsaas hai baki…

Berukhi ka shikaar hua hun…

Bas shikaar ki maut hai baaki…

147.Is Tofano se bhari jindagi ke saagar main wo mera sathi tha…

wo mera majhi tha par humsafar nahin tha…

meri jindagi ki nav ko kinaare lagake use chor ke jaana hi tha…

wo chor gaya beech majhdaar main hi toofano main akela…

majhi main humsafar dhoondha to ye to hona hi tha…

chalo ab tairna bhi aagaya pehle to bas doobna hi ata tha…

148.humain bhi pata hai wo sahi nahin hai

unhe bhi pata hai ki hum galat nahin hain..

yuhi ek pal main chor diya unko…

dil tod diya mera ki sheesha nahin hain…

149.chalna to chahat hun par paon hi nahin hai…

udna main chahata hun par pankh hi nahin hai…

rona main chahata hun par ankhon main ansun hi nahin hai…

chal to lun bina paon ke bhi par koi sahara hi nahin hai…

ud to lun sapno main hi par ab koi sapna bhi nahin hai..

ro to lun kisi aur ke dukh par… na jaane kyun mere siwa koi ab dukhi bhi nahin hai…

150.Ye kaisa pyar hai ki jata nahin

Nafrat hai tumse ki pyar nahin…

Ladai bhi tumse baat bhi tumse

Bas ab teri yaad hai tera saath nahin…

151.Hogaya ab wahi jo hona nahin chahiye tha…

khogaya ab wohi jo khona nahin chahiye tha…

karna hai ab wahi jo karna nahin chahiye tha…

bas milta hi nahin jo mujhe chahiye tha…

152. tu bewafa hai ye to main nahin janta…

main galat tha ya tu galat ye bhi main nahin janta..

janta hun to bas itna ki tujhe bhoolna nahin janta…

meri jindagi tere bina ek pal bhi bitana nahin janta…

153.paas hi baithe hain par kitni dooriyan hai…

dekhte hain mujhko par nazren kahin aur hain…

pehle nazroon ka dayra bhi chota na tha…

ab to dil ke dayre main bhi koi aur hai…

154.hum to dhoondhte hain bahane mehkhane bhi jana tha…

kabhi khushi to kabhi gum bhi bahana tha…

kabhi main to kabhi koi aur bhi bahana tha…

bas peena tha mujhe tu to bas ek bahana tha…

155.Mujhe tu kya poochta hai pyar ke maane…

main to khud dhoondh raha hun mohabbat ke paimaane…

is saagar main na utarna tairne ke bahaane…

yahan to kood ke aana hai sirf doobjaane…

156.chaho agar koi pyara sa insaan,

chaho agar ek pyari si muskaan,

chaho agar ek pyara sa dil,

jis dil main ho tumhari pehchaan,

to sahi chuna hai tune mujhe,

Parchayi nazar ayegi usiki jo dekho meri ankhon main.

157.pyar karna bhi aasaan nahin tumse…

chor dena to mumkin hi nahin ek bar jo mil liya tumse…

lo Pyar to kar liya hai beshumar tumse…

par chorne ki choti si koshish bhi nahin ho pati humse…

158.Ek andaaj ye bhi hai humara….

kuch dard hai unka kuch saath hai humara…

159.

Maine kya khoya maine kya paya…

sochne biatha to bas itna paya…

ki sochta raha kya hai khona pana…

to kahin aisa na ho jaye…

wo bhi khodun jo badi mushkil se hai paya…

160.

Jo bhoolne layak tha…

wo to kisi layak hi nahin tha…

use bhooljana hi behtar hai…

161.

Usnain kaha pyar main na rukta hai koi na jhukta hai koi…

hum nain kaha pyar to ek wo mandir hai koi..

rukta hai wahan gujarne wala har koi…

sir jhukata hai wahan ki pooja ho jaise chal rahi koi…

162.

pyar nahin kiya tha unse pooch kar …

ab wo nahin hain to ismain unki kya khata hai…

main bhi kar baitha beinteha pyar to ab bhool nahin pata ek pal bhi unhe…

 aye malik bata ismain meri kya khata hai…

163.

ab na tootenge kisi paththar se thokar khakar…

ek baar to ankhon main patti si bandh gayi thi…

ab na lagaunga dil na naina kisii se…

ab rehjaunga bhale hi andha hokar…

164.

jab pehali baar dekha to dekhta reh gaya..

Bahot deedaar hua par thoda reh gaya…

wo chale gaye jane kahan aur main wahin khada reh gaya…

unhe har gali dhoondha par dhoondhta reh gaya…

pyar to bahot kiya hai par thoda reh gaya…

165.

Parindo ki udaan parinde hi jaane…

mere khwabon ki udaan meri dil hi jaane..

bas ek pal ka vichaar yun kehna tha…

kahin hawa main udne ke chakkar main pairon tale jameen na chali jaaye…

166.

Aajadi

aajaad khayalon ki, aajaadi khayalon ko jeene ki

ajad khwab dhekhne ki , ajaadi khwabon ko poora karne ki

Ajaad pyar ki, ajaadi pyar karne aur jatane  ki

ajad khushi ki, ajaadi khushi bantne ki

ajad sachchayi ki , aajaadi sach kehni ki

ajad rahon ki, ajaadi se un rahon par sir utha ke chalne ki

hum ajaad hain, is ajaadi par garv karne ki

hum kush hain, Khushi hai ek ajaad bhartiya hone ki

167.

Bada dard hota hai jab ujaalon ko dekhkar apne andhere yaad ate hain…

hadd to tab ho jati hai jab apne ujaalon ke din yaad ate hain…

badal to baras ke chale jaate hain…

Mere hi suraj par kali ghatayen reh jati hain…

aur bheege hue se hum sookhne ke intezaar main khade reh jaate hain…

168.

thoda sa muskuraye to khushi bantne aagaye..

tum ne ek bhi ansun bahaya to hum dukh bantne aagaye…

jab humain dukh banten ki jaroorat padi…

to tum kisi aur ki khushi main shareek ho gaye…

169.

hawayen samandar ki thandi si hain aur nam bhi…

halat mere dil si, ke lehren to yadon ki mere dil main bhi kam nahin…

kyun aksar tu mere khayalon main ata hai…

har mausam ekdum se barfeela ho jata hai..

har raah main guzre se mod yaad ate hain…

tere sang bitaye wo pal yaad ate hain…

palon ko bhulana bhi asan hai lekin…

dil main ek makaam banaya hai tune…

us kone ko mitane ki koshish main hum nakaam reh jaate hain…

170.

khud ko kahin chupa kar…nayi jindagi jeene ki chahat hai meri…

kal,kal tha mera chala gaya…ab aaj main jeene ki chahat hai meri…

171.

pyar wahi jo mil jaye to khuda hai…na mile to saza hai…

main to wo deewana hun jo khuda ki chahat main saza kaat raha hai…

khuda ka deedaar hota hai bas khwabon main hi…

bas iska hakikat main dhalne ka intezar hi meri saza hai…

koi to khuda se deedaar kara de mujhhe…

bas yahi intezaar hi shayad meri saza hai..

172.

Kisse kahun ki tu mera kya hai..

kise batlaun tu mera kya tha…

baat hai is deewanepan aur zunoon ki…

iske siwa tu mere pyar aur kya hai…

173.

tu to khada hai mana ek dorahe par…

phir bhi ek rasta to hai manjil ka…

kahi mud to jaoge kisi manzil ki umeed par…

jab se chooti hai teri gali…

 meri to rahen hi kho gayi hai…

ulajh gayi hai jindgi ek gol chakkar par

174.

humne ki mohabbat to gunah ho gaya…

pyar wo kiya jo kahin fanna ho gaya…

tujhe apna banane ki chahat thi dil ki bas…

mera janebahar to nahin par dil main ek dard reh gaya…

aise koshishon main hamesha nakanayab reh gaya…

175.

ek pal ko lagta hai sab kuch hai yahan..

ek pal ko lagta hai kho gaya main jane kahan…

main to rehta hun isi gali isi sheher main…

mera dil jaane rehta hai kahan…

176.

Pehle bhi tujhe chahata tha…

ab bhi tujhe dilojaan chahata hun…

pehle tujhe paane ki koshish poore dil se karta tha…

ab tujhe dil se bhulane ki poori koshish karta hun…

177.

to Ghazhab hota…

tumne kaha main bahot achcha hun.. agar ye khud bhi maan lete to Ghazhab hota…

ek achayi sau buraiyon pe bhari hai… humari to ek burai mauf kar dete to Ghazhab hota…

Doosron se khushi baantna napasand kiya… us khushi ka karan jaante to Ghazhab hota…

ped ke patton sa khush gawar dekha… jadon main faila dard dekhte to Ghazhab hota…

upper se roothna saha tumne mera… dil main chupe pyar ki gehrayi ko dekhte to Ghazhab hota…

Kinare par khade nav ka intezaar hai… pyar ke saagar main doobte to Ghazhab hota…

Pyar Main nazraane kai maange tumne…pyar ko nazrana shamajhte to Ghazhab hota…

Pyar hai mera sachcha khuda ki kasam… yahi samajh jaate to Ghazhab hota…

178.

Jab saamne the to deedar ke sahare hi din nikal jata tha…

tere jaane par main us dil sa ban gaya hun…

jis dil ko dhadakna to ata hai…

par jo ek baar dhadakne ko bhi taras jata hai…

(Jo saamne hoti to deedar ke sahare hi din nikal jata…

tere samne na hone par main us dil sa ban gaya hun…

jis dil ko dhadakna to ata hai…

par jo ek baar dhadakne ko bhi taras jata hai…)

179.

Marna chahate the par maut na mili…

jeena chahate the magar tu hi na mili…

rona chahate the to hazaar aansun mil gaye…

hansna jo chaha to, tere khayaal agaye…

(hansna jo chaha to, tere saath ki khushi hi na mili…)

180.

lo chala carwan mere sapno ka…

manjil nahin sathi Raston Ka…

kuch paraye kuch apno ka…

milna bichadna fir sath yadon ka…

181.

Ek ajnabi aagaaz ho raha hai…

fir us pehchane se anjaam se darr lag raha hai…

dil main kuch aur hai dimaag kuch aur keh raha hai…

chalo jo ho raha hai shayad achcha hi ho raha hai…

shayad mujhe fir pyar ho raha hai…

182.

lehrate hain hawa main patte aise…

sarsarahat hai dil main yadon ki jaise…

intezaar hai dil main bhi patzad ka…

kabhi to yaden bhi jhad jayengi mere mann se waise…

patzhad ke baad fir basant ajata hai…

bhool bhool kar bhi teri yaden tazaa hai…

kitna bhi door jaun tere khayalon se…

fir hari bhari yadoon se tera khayal aajata hai…

183.

bheed main achanak akela ho jata hun main…

tere khayalon main achanak kho jata hun main…

haar chuka hun tujhe bhulanme ki koshish kar kar ke…

ab to har koshish main naakaam ho jata hun main…

184.

tujhse door rehkar sambhalna asaan ho jata hai…

tere pass jaakar sambhalna jaroorat ban jati hai…

185.

Jab mila to sab bin maange hi mil gaya…

jb choota to sab achanak se chin gaya..

kabhi to ek katre se bhi kush ho gaya…

kabhi poore samandar se bhi pyasa reh gaya…

186.

rasta to kat jata hai yun hi chalte chalte…

manjil bhi mil jaati hai yun hi chalte chalte…

tej chalun to humsafar bhi chhoot jaate peeche hain chalte chalte..

aaram karun to dost bhi age nikal jaate hain chalte chalte…

187.

jane neend in ankhon main kyun nahin hai…

kabhi khwabon main to tujhse mil liya karta tha…

tere saath nahin tere khayalon main ji liya karta tha…

ab to lagta hai ki khwabon ki bhi mujjhse dushmani hai…

188.

ek lambi kahani ka chhoota hua kirdaar jaisa hun…

khench lao to ek ateet jaisa hun…

ab to kisi ke khayalon main bhi nahin …

ek bhooli hui yaad jaisa hun…

189.

Pyar to hai par ikrar-e-mohabbat se darte hain…

ikrar bhi hai par Anjaam-e-Mobbat se darte hain…

Har Agaaz ka anjaam ho ye bhi to jaroori nahin…

bas tera saath na choot jaye is baat se darte hain…

190.

Teri bahon main anne ko dil chahta hain…

Teri panaho main samane ko dil chahta hain…

Teri ankhon mai kho jao main…

Tujhme samaane ko dil chahta hai…

191

Tu mujhe yaad ati hain…

Jaise sanse dil main atak jatti hain…

Jeena thoda asaan ho jata hai…

bus jo tera chehra nazar ata hai…

192

ek jhalak panne ko taras jate hain…

teri nazaro main anne ko taras jate hain…

pata nahi kiase kategi yeh zindagi meri…

ab to har saans main jeene ko taras jaate hain…

(Har hansi main khushi ko taras jaate hain…

har saans main jeene ko taras jaate hain…)

193

subah meri subah nahi hoti…

raat bhi ab utni sukun bhari nahi hoti…

mausam judai ka mushkil hai har lamha …

tere bina zindagi ,zindagi nahi hoti…

194.

Wo  mausam dard ka bhi  meetha hoga  

Har karwa sach khushi se kubul hoga  

Agar tu  sath agar tu  paaas hoga  

195

Abhi socha ki  koi shayeri  likhun 

Fir socha koi ghazal likh dun 

Tujhe pyar bhara dil-e-nazrana likhun 

Phir socha ki tujhe ek aina bhej dun 

  196

Tere pehlu main sone ko jee chahta hain  

Teri bahon main anne ko  ji  chahte hain  

Hawa bhi  na ho  darmiya hamare 

Teri sanson se dhadakna hi  mera dil chahta hain  

 197

Pyar hain tera jo sanse lene ka ek aur bahana mil gaya

Jo mila tujhse to khush rehna ka ek aur bahana mil gaya  

198

Bus ek nazar ki  baat  hain aur kuch nhi  

Bus ek awaz ki baat  hain aur kuch nahi  

Ji lenge zindagi  kaise bhi  kahin bhi  

Bus ek tere sath ki  baat hain aur kuch nahi  

199

Main ji  raha hu  ek zindagi  hain teri…

Har pal har sans sab dhadkane hain teri…

Chura lu  ek pal tanhai ka bhi kabi…

Har lamha hain tanhayi ka khoya khayalon main teri…

  200

Rasta hain mushkil par manzil utni  bhi  duur nahi  

Jab hum hain sath to tujhe khone ka darr dur tak nahi 

201

bas ek aur din yun hi chala gaya…

fir kuch kehna tha.. fir wahi mann main reh gaya…

ek ansun in ankhon se nikal jaye to rok leta hun…

kisi apne ka khayal kar leta khush ho leta hun…

ek nigah main ane ko kisi ki machal jaate hain armaan…

ek nigah bhar ke to koi dekhe… fir maange to khushi se dedun apni jaan…

bahaot dino baad fir udas hua hai mann..

baat ye nahin ki kuch bura hua hai fir aaj…

bas dukhi hun kyunki ane wale kal se hun anjaan…

jo kal bitaye hain maine.. main hi janata hun unka chehra kitna bhayanak tha…

bas har baar khush ho jaya karta tha…

yahi soch kar ki ye mera kal hi to tha…

aaaj main kushi dhoondhne chala hun..kal ka kya bharosa…

aaj to khuda bhi mere saath hai… kal main khuda ke pass chala jaun to kya bharosa…

kisi ne na samjha ki main wo nahin jo dikhta hun…

wo hi dekha hamesha jo main nahin dikhta hun…

har kisi ko mere khushi bhare chehre ko dekhne ki adat hai…

mujhe bhi ab to har ansun khushi ke dikhane ki adata hai…

kya manga tha khuda se bas apno ka sath.. ek khushi sabke anchal main…

mujhe hi bana diya unke rone ka karan bhi… jod diya unke har dukh ke karan main…

ek kahani dil main chupaye baitha hun.. darta hun koi sunega bhi ki nahin…

sun bhi leta hai to bas humdardi mil jaati hai…

aur badnaseeb hue to shayari samajh kar wah wahi mil jati hai…

ab to dard ko bantne ka ek naya sadhan mil gaya hai…

fir chahe shayari se kyun na mera dard aur badh gaya hai..

pehle to bejubaan tha dard …..

ab to use shabdon se baat karne ka jariya mil gaya hai….

sunane ko to suna dun ek haseen dastaan..

par sabhi ko mera dard sunne main hi maza aagaya hai…

aur muhe shayad sunane ka mauka mil gaya hai….

nahin kehta ki main hun sabse achcha is jahan main….

par kisi ka bura bhi nai chaha jaagte ya khabon main….

202.

aaj bhi jaane kyun uska intezaar rehta hai…

aaj bhi jaane kyun dil usse milne ko bekarar hai…

ek nazar bhar ke bhi nahin dekhte wo ab…

meri nazren jane kyun ek deedaar ko betaab hai…

203.

Unka chehra hai ya koi aine main chaand ka aks hai…

humain to Har ada chaand ki tumhi se lagti hai…

Kabhi poonam to jaise khushi aur arjoo se bhara noor…

Kabhi aadhaa to thoda sa gumgeen thoda sa udaas majmoon…

204.

Wo kehte hain pyar main tumne aisa kya kar diya…

unka Ek baar kahna tha, aur humne unhe chor diya…

hum khushi se jaan dedete agar kehte…

aur unhone humain jinda hi “chor” diya…

205.

ye kaali raat ke andhere main bhi apna pan hai..

din ke ujaale main to log paraye nazar ate hain…

mana kiski se na milne ka dukh to kam nahin hota hai…

par usse mil ke bichad jaane ka gum bardasht nahin hota hai…

206.

har roz dil ka haal lafzon main utaar ke rakh deta hun….

har lafz par ek ansun ka katra kho deta hun…

na jaane kyun in ankhon main fir se nami hai….

jab roj teri yadon ko apne ashkon se baha deta hun…

ab to main bhi sawan ka sataya lagta hun…

207.

koi parwana bhi meri jindagi ko nahin badlega…

wo to ek baar jalta hai main to har lamha jala karta hun…

208.

Duniya ko nahin fark padta koi…

main jeeta hun ya marta hun…

tumse umeed lagayi thi…

tum bhi duniya waale hi nikle…

209.

Itna to pata tha mera sath chor jaoge…

par ye andaaza na tha ki itna door chale jaoge…

sab nishaniya pyar ki fanah kar jaoge…

par is dil se khud ko kaise nikal paoge…

210.

kahiye kya jaroorat hai charagon ki humain…

jalne ko to humara dil bhi khak hua hai…

iska andaaz bhi nahin tumhain…

kitna khauf hai roshni se ab humain…

211.

Khudaya ve…mera ishq bhi kitna ajeeb…

na hi mera koi raqeeb ….

na hi wo mere kareeb…

fir bhi Jinda hun main bad naseeb…

jaane kaunsi hai ek umeed…

212.

bas ek khwab main jiya… haqikat main to jindagi kahan thi…

har khushi ko khwab main hi dekha… haqikat to khushi ke kareeb kahan thi…

khwabon main dekha hai sab behtareen… haqikat main to kamchalau bhi kahan thi…

haqikat to haqikat hi thi… mera khwab kahan thi…

213.

har baat aahon main reh jaati hai…

har bol sanson main atak jaate hain…

main khud se kahun na kahun ek bhi raaj…

meri nigahon main chupe khayalat bayan kar jate hain…

bas jee lete hain ye meri jindagi jo hai…

nahin to haqiqat main jindagi bas naam ki reh gayi hai…

jiye hain jo jakhm, unke nasoor to nahin…

bas unki yaden tanhai main tadpaane ko reh jati hain…

(har baat ahon main reh jati hai…

har bol sanson main atak jaate hain…

main kahun na kahun ek raaj…

meri shayari bayan kar jaati hain…

bas jeete hain jindagi hai…

nahin to haqiqat main jindagi bas naam ki reh gayi hai….

jiye jakhmo ke naasoor to nahin…

bas unki yaden tadpane ko reh jaati hain…)

214.

nikle to phool ki talaash main the…

kanton se daman bhar gaya…

aur wo jo kichad main rehte the….

unhe kamal ka phool mil gaya….

215.

jise bhi humane chaha wo humain chor chale…

jisse bhi umeed lagai wahi na umeed kar chale…

humain jindagi ki  chah kahan thi…

aur maut ke saye bhi humain jinda hi chor chale…

bharosa kya karen begano ka…

humain to apne hi daga de chale…

har baar kismat se samjhota kiya humnain…

aur waqt ke har lamhe bina samjhote ke chalte chale…

jinke bharose jeete the wahi jete ji humain maar chale…

216.

Kisse kahaniyan nahin…haqiqat hai jindagi ye meri….

kabhi pariyan ya jadugar nahin…bas zara si khushi ki chahat hai meri…

217.

tujhe dil se nikalna asan nahin…

teri yadon ko bhulana mumkin hi nahin….

asia lagtahai hai dil main teri yaden hain, meri dhadkan nahin…

sason main bas teri khushboo hai aur kuch bhi nahin…

218.

bhool jaane ko to bhool jayen tumhen..

bas shuruwat khud ko mitane se karni hai…

kehne ko to dil hai mera apna, kaise dedun tumhen…

bas is dard ka ant tere ashiyane ko dil se mitane se karni hai…

219.

naina nihaare re tere neele naina….

mera mann na maane re mera kehna….

deedon main mere chilka hai tere noor ka…

bas akhri jalwa tere naksh ho naseeb aur koi nazara nahin dekhna…

dard –e-dil hi kafi jivan main kuch aur nahin sehna…

220.

humain aisa bhi kya kar diya aaj kal …

 ki sab ne bheed main alag sa kar rakkha hai…

humne to fir bhi nakaab odha hai…

logon ne to chehron pe chehra laga rakkha hai…

humari samajh ka nazariya hi kuch aisa hai…

jab dil hi kaale hain to chehron main kya rakhkha hai…

221.

yun to ghante din aur tareekh kab se badalte hain..aur badalte rahenge…

bas un haseen palon ka aagaaz nahin hota…

hum to kabse palke bichaye baithe hain..

bas ye intezaar hai ki khatam nahin hota…

222.

jama kar rakkha hai paon main chubhte kanton ko bhi …

kabhi phoolon ne to kahan humari taraf dekha hai…

rah main phool mil jaate to jaane kya kar jaate…

yahan to kanton ko bhi lahu dekar daman main saza rakkha hai…

223.

karte na dard-e-jindagi ko bayan yun khule-aam…

na darr hai ansuon pe jag hansai ka…

na koi takat-e-sehne hi jatani hai…

chup hain to bas isliye…

intezaar hai uska jo seene main chupe dard ko pehchaane…

jasbaat mere alfazon se nahin…

meri dhakan ko sun kar pehchane….

224.

hum to kitna bhi nibhayen vafadari…

wo to dhoka de hi jaate hain…

hum to kitna bhi yaad karen unhe…

wo to ek pal main hi bhool jaate hain…

har lamha bitaye saath main unke, the humare hamesha…

unke liye to bas lamhe the, gujarte hain, gujar jaate hain…

225.

poori din khada raha chhat par raat ko neend bhi na ayi…

kambakht intezaar ki hadd hai na wo aye, na unki koi khabar ayi…

kitna bhi dard dedo bas ye intezaar saha nahin jata…

na ane ki khabar hi dedo yun umeed ke sahare jiya nahin jata…

226.

khud ko koste rahe par karte bhi kya…

socha bas hum hi pyar karte hain to tera tadapna kya…

humain to waise bhi dhoke ke siwa usnain kya diya…

kismat unki kharab thi jo sacha pyar thukra diya…

227.

baton ko meri kabhi jaroori na samjha…

uska kya kasoor jo kabhi usnain apna na samjha…

hum to wo beemaar hain jise…

khud maut nain bhi begana sa samjha….

228.

ab kahan jayen ke musibat peecha nahin chorti…

jitna roshni main jao utna hi parchayi saath nahin chorti…

log kehte hain kuda har jagah maujood hai….

baag kar jeyen bhi kahan jab khudayi hi dushmani nahin chorti…

sab chor chale hain na apne na begane nazar ate hain…

bas ye rooh hi humara jism nahin chorti…

humari rooh main koi pyar ka afsana nahin, ek khushi ki talash hai…

bas humari kashti hi kuch aisi hai jo tufano kaa saath nahin chorti…

229.

maine kahan dost ko paya kahan khoya hai…

duniya ke liye to main ghira hun chahne walon se…

dil to mera bas akele main roya hai…

jo koi mehsus na kar saka hai mujh main…

aisa hi kuch akela pan maine paya hai…

ek ehsaan bhi gina jata hai…

jo humain sahare diye use kabhi nahin jataya hai….

230.

kabhi pyar ne to kabhi judayi ne sone na diya…

kabhi meri khushi nain to kabhi teri khushi ne rone na diya..

har lamha jindagi ka khusi ki umeed main hi guzaar diya..

umeed hi umeed main jaane kitne ummren gum main guzaar diya…

na to is jindagi ne kabhi chain se jeene diya…

aur kabhi kismat nain humain marne na diya…

231.

jab se tere ane ki umeed tut gayi hai…

dil main dhadkano ki lay tut gayi hai…

jivan ki kahani lamha lamha jodi thi kabhi…

ab to jindagi ki har kadi tut gayi hai…

232.

woh poochte hain humse apni mohabbat ko kaise bhula diya…

hum bhi kya batayen so baat ko hi taal diya…

ab kya batate ke yaden to aaj bhi hai seene main unki…

jinhe dil ke veeraane main kahin bade patthar ke neeche daba diya…

dard to reh reh ke aaj bhi uthta hai jab unka khayal ata hai…

par ansun bhi nahin aate ab to ke sagar to kab ka baha diya…

233.

aisi to koi bhool na hui thi humse…

aisi to kisi ka dil na tuta tha humse…

jiski kushi ki talash main dar-b-dar bhatakte rahe…

ek din keh ke awaara muh mod liya usi ne humse…

234.

bewajah si jindagi jeene laga hun…

besabab se har manzilen hain…

ek ajeeb si  kashmaksh main hun…

itna chal kar bhi manjeelen koson door hain…

235.

Chalte chalte raste kat jaate hain…manzilen nahin milti…

Akhri lamhon main maut to ajati hai….jeete ji jindagi nahin milti….

236.

ek kahani ankahi si sunane ja raha hun…

ek khoya sa kirdaar, bhooli hui kahani ke jaisa ho raha hun…

koshish thi dil ko choo lene ki alfazon se…

kahani sunate sunate kahin dil apna hi kho raha hun….

237.

Khwab sone ke baad hi ate hain…

jyadatar to yaad bhi nahin rehte hain…

unhe banaya hi aisa hai…

kitna bhi toote dard nahin hota hain…

238.

khabar kya rakhte ho humari…

humain kya samajhna chahate ho…

tum ek saans bhi kam lo to humain pata chal jata hai…

akhir dil to humara hi apne seene main chupaye baithe ho…

239.

kabhi khud hum hi apne malik the…

ab to koi bhi hukum chala jata hai…

pehle apni bhi nahin sunte the….

ab to kisi bhi gair ka kehna sunna padta hai…

240.

ek sachchai se rubaru karane ki koshish hai…

 tujhse kitna pyar karta hun bas ek baar batane ki koshish hai…

shayad tujhe bhi humari haal-e-dil ka hai andaza…

par tere kadmo main apne dil to bichhane ki koshish hai…

241.

humain to gila hai ki saamne ake bhi haal e jindagi nahin poocha unse…

par kami to unki bhi thi ki ek nazar bhi na milayi gayi unki humse…. 

242.

maine socha tha jise ek soch thi…

tujhe chaha tha tu hi meri chahat thi…

tu bhi mere soch ke rango ki jeeti jagti tasveer thi…

tera patthar dil ke hone ki kya shikayat karun…

akhir taveer tasveer hoti hai aur tasveer kabhi bolti nahin…

243.

Pehle marne ki fursat nahin thi …aaj kal marne ki wazah nahin hai…

244.

Aaj kuch jyada hi deedar hua unka…

shayad dil ke kisi kone mai abi bi ghar hai unka…

bas ye kuch amanat aur bachi hai…

ek ek ansu karke karj utar hi dunga unka…

245.

Sirf ek ehsaas hai baki…

bas ek yaad hai baki…

akela aya akela jaunga…

thoda aur jeena hai bas kuch aur saanse hai baki…

246.

Pata to hai tujhe bhi mai kitna toota hun…

Bas tukda tukda jindagi ki saanse jodta hun…

Ab jo bachi hai akhri atki si khwaish-e-jaan…

tere bina har lamha tadap tadap ke guzar raha hun…

247.

Chor jeena aur marna,in baton mai kya rakha hai…

pyar kya hai,aise jajsbaton mai kya rakha hai…

char din ki jindagi,marne se darne main kya rakha hai…

hansne hai nafa, rone mai kya rakha hai…

(vaibhav to baniya hai… jasbaton ko bhi taraju main tol rakkha hai…)

248.

tere ane se mere kamre ke chiragon ka noor kahin kho jata hai…

ye to sirf tere deedar-e-rukhsaar ka asar hai…

jaane kahan mera mann kho jaate hain…

agar jindagi main tera saath hota to bi manzilen kya khaak milti…

tera humsafar hona tha aur main manzil ke raaste hi bhool jata…

249.

Hum par hanste hai gair… koi shikwa nai,

yahan to apne hi mazzak kar jaate hain,

koi galti unki bi nai… jo na pehchane hai humai,

barso beet gaye ye sochte hi… main kaun hun.

250.

Aaj fir kisi dost ne tera jikr kiya,tera naam kya aya fir se dil ne dhadakna yaad kiya,

dil ke  kone mai hi sahi teri yaado ne pakka ghar hai kiya,

bas teri yaad taaja ho gai aur ye socha maine… tujhe bhulane mai fir yunhi waqt jaya kiya

251.

Ab tujhe kya kahun… Kaise samjhaun…

raaten to kya khaak kat rahi hai tere bin…

aaj kal to din bhi begaane se hue rehte hain…

bas har ghadi teri yadon main khoya…

khuli aankhon se bhi tere ane ke khwab dekhta hun…

bas yunhi mere jindagi ke har lamhe pagal se hue rehte hain…

main jaanta hun us darwaze se kabhi tu ayegi nahin…

fir bhi jaane kis intezaar hum sadak par aakhen bichaye rehte hain…

252.

khilafat ya nafarmani nahin karte tere khayalon ki,

bas ek bhi sach ho jaye to yakin ho jata…

kabhi khwabon se umeed lagayi hi nahin,

jo ek bhi poora hota to haqiqat na ban jata…

nafrat bhi nahin par kabhi tere bare main socha bhi nahin,

agar aur dekhta rehta to pyar ho jata…

tujhse pyar ka izhaar kya karun,

tu na kehti ti ji nahin pata aur haan kehti to khushi se mar na jata…

253.

apne kahe ko lazmi kehna to hum bhi nahin chahate…

bas tera sitamgar na ho yahi khwabon main hain chahate…

kehne ko to hum bhi tere ashiqon main shumaar rakhte hain..

apne izhaar se teri masumiyat ke dayre ko kam nahin karna chahte…

254

ab to marr marr ke jeena bhi seekh gaye hain…

bas aur battar jindagi nahin chahate…

koi to humain bhi thikaane laga dega shayad…

nakara nalayak kehlana to hum bhi nahin chahate…

255.

khayal to kam nahin bas kuch hi kalam se nikal paate hain…

kuch ko wah wah mil jaati hai kuch kagaz par hi dum tod jaate hain…

For Ghalib – (ye nahin ki khayal humari kalam se kam nikle…

kuch ko wah wah mili to kuch ka kagaz par hi dum nikle…

manzil se tarruf na hone ka taghaful to nahin…

na reh jaaye ye khalish ki unke naksh-e-kadam par na hum nikle….)

256.

aaj mausam kuch mere dil sa hua hai..

Thodi nami andar thodi bahar hai…

hawaon main teri khushboo mehek rahi hai…

kuch kami andar kuch bahar hai…

257.

hum to apni kahani apni jubaani bayan kar rahe the…

yun lahma lamha kisi ki nazron ke naam kar the….

udhar wo chilman se parda nasheen ho rahe the…

idhar dil pe khalal-e-deedaar-e-rukhsaar se teer chal rahe the..

258.

gar to dil dukhta hai kisi apne ka dil tod kar…

ban jaate hain bagane bhi apne dil khol kar…

mushkil ye nahin ki mera koi humdard nahin…

bas roj kisi apne ke karan kisi apne ka dil tod jata hun…

kaash ke mujhe khuda fana kar de hawaon main…

kam se kam har dost ke pass rehjaun sanse bankar …

259.

main kahun na kahun…ye baat ankahi na reh jaaye…

tu sune na sune…ye daastan ansuni na reh jaaye…

hum tujhse mohabbat poore dil karte hain ab tak…

tu mujhe pyar kar na kar…chahe tu mujhe kitna bhi bhool jaaye…

260.

ateet se bhaagne ki kitni koshish karlo…

ateek peecha nahin chorta…

pata ho to koi rasta hi badal le…

par achanak se ake koi rasta hi nahin chorta…

dard dhere se aye to sambhal sakta hun…

yun bin kahe samne ake dil ke tukde hazaar karke bhi nahin chorta…

261.

hum dil ki baat jaban se kah nahin paate hain…

aur wo jaan kar bhi anjaan ban jaate hain…

jaane kab ye kashmakash kahatam hogi humari…

jaane kab hum izhaar-e-mohabbat kar paate hain…

262.

pyar kar liya koi gunah nahin…

bas mujhe tere dil main hi panah nahin…

yun mera mitna bhi kya mitna jahan se…

jo toot kar hum teri bahon main fanah nahin…

263.

itna bhi na mil mujhse, ki tere bina reh na sakun…

itni bhi na jaan de mujh par, ki tere bina ji na sakun…

itna bhi kareeb na aa, ki teri khushboo bina saanse le na sakun…

itna hi kafi hai, mujhe basa le apni bahon main, ki kahin aur ja hi na sakun…

264.

kehte hain ishq karna koi gunah nahin…

fir bhi har baar jaane kyun hum hi gunahgaar ban jaate hain…

aisa nahin ki ishq bas humain hi kiya…

bas kisi ko khud bhi pata nain chalta…

aur hum hai ki jag main badnaam ho jaate hain…

265.

hamne dekhi kahan abhi duniya..ki humara safar tu abhi shuru hua hai…

Abhi nikle hain bina soche samjhe.. jane mazil ka thikana kahan hai…

Par thaam lo gar tum mera haath humsafar banke…

humare kadmo ko pata chal jayega kub-b-khud jana kahan hai…

264.

tere saath tha to kuch aur tha..

tu nahin to dil koi aur sa hai aaj kal..

kuch bhujha bhujha kuch jala to kuch raakh sa hai aaj kal…

kuch apna tha, begana sa hai aaj kal…

kuch paya tha, sab khoya khoya sa hai aaj kal…

bhool gaya hun apna chera,aine main bhi tera chehra hai aaj kal…

265.

ab tak hai jindagi jee lun thoda aur…

Jab tak hai khushi muskura lun thoda aur…

thoda sa ghum hai bhool jaun thoda aur…

Raste abhi baki hain manjil ke chal lun thoda aur..

abhi ruka hun to susta lun thoda aur…

Jab tak hai jindagi jee lun thoda aur..

Maut abhi door hai jeelun thoda aur..

kehte hain na ghum n a khushi rehti hai kahin tik kar

mila hai ye lamha is lamhe ko jeelun thoda aur…

266.

Hum kufr farmate hai ki ye marj hua hai…

Hum kufr ban jaate hain ki humain dard hai..

Hum Yun to dava hi nosh farmate hai…

fir bhi kufr hain, ye keh ke, ki nasha hai…

267

kehlo india, bharat, hind, hindustaan..

sab ke jubhan pe fir bhi rahega, mera bharat mahan..

kehne ko yahan hai jaane kitni bhashayen…

har bhasha main likha hai ye paigaam, mera bharat mahan…

kehne ko kitni jatiyan, dharm, riti rivaaj hain…

sab yahi sikhate hain dete hain gyan, mera bharat mahan…

itna vishal, virat, vividhtaon wala desh humara..

fir bhi har chote se dil main basta hai,Mera bharat mahan…

268.

mil jaye to bas ek pal jeene ki tammana hai…

ho sake to khushi se jeene ki tammana hai…

ho sake to tere sang jeene ki tammana hai…

ho sake to mohabbat se jeete ki tammana hai…

ho sake to is lanhe main sari umr guzaarne ki tammana hai…

mil jaye to bas ek pal jeene ki tammana hai…

269.

bhatak raha hun is gali us nagar

jaane lagi hai kiski nazar..

na manjil ka thikana hai na raste ki khabar…

jaane lagi hai kiski nazar..

koi shiddat se, kiye wade ko nibhaye jata hai..

kisi ko wadon main li, jaan ki kasam, ki bhi nain hai kadar…

jaane lagi hai kiski nazar…

270.

kushmizaaj rehna mushkil nahin…

ek khushi ki jaroorat hoti hai…

Jindagi jeena mushkil nahin…

ek jindadili ki jaroorat hoti hai…

jindadil hona bhi mushkil nahin…

ek mohabbat bhare dil ki jaroorat hoti hai…

mohabbat karna mushkil nahin..

ek mehboob ki jaroorat hoti hai…

yun to mehboob milna bhi mushkil nahin…

ek baar nigahen milne ki jaroorat hoti hai…

nigahe bhi takrana mushkil nahin…

sahi raston pe chalne ki jaroorat hoti hai…

rahon pe chalna mushkil nahin…

manzil ke thikane ki jaroorat hoti hai…

mazil ka thikana hi Mohabbat ho ye jaroori nahin…

par mohabbat ki manjil ko pane main mushkil hoti hai…

271.

do diwane in ajaan raahon main…

ek raste par ajaan logon main….

bas yu hi bematlab sa kuch dhoondhte rehte hain…

kabhi doosron par to kabhi khud par hi hanste hain…

mazaak bhi na kaho apni kahani kuch aisi hi hai…

kitna bhi ho dard-O-gham bas yun hi sehte hain…

kabhi fizool ki dher sari baten hain…

to kabhi thode main bhi bohot kuch keh jaate hain…

ek diwana in ajaan raahon main…

kisi raste par ajaan logon main….

bas yu hi bematlab sa kuch dhoondhta hai…

kabhi doosron par to kabhi khud par hi hansta hai…

kabhi fizool ki dher sari baten hain…

to kabhi thode main bhi bohot kuch keh jaata hain…

mazaak bhi na kaho apni kahani kuch aisi hi hai…

kitna bhi ho dard-O-gham bas yun hi sehta hai…

272.

humain to adat thi tanha rehne ki…

kyun dikhaya khwab rangeen ake jindagi main humari…

koi aur hota to hum mana kar bhi dete…

par jaan usi ne maang li jo jindagi hai humari…

273.

yun to humain kai khoosurat chehro ko bhi machalte hue dekha…

kabhi pyar ko pyar ke ehsaas ke liye bhi taraste hue dekha…

kabhi yun bhi hua ki shama ko parwane ke liye tadapte hue dekha…

hamesha badli ko akash ki bahon main toot ke baraste hue dekha…

274.

armamo ko kwabon ki bahon main dam todte dekha hai..

kwabon ko raton ki kalish main khote hue dekha hai..

raton main ujala to sirf unki yadon se hi dekha hai..

kab se maut ki khwaishon main apne darwajon ko dekha hai..

intezaar main waqt ke hathon har lamhe ko guzarte hua dekha hai..

tere bas ka nahin ye khel deewane ye ishq kuch alag marj hai..

kitna bhi dard ho par chahne walon ko marj badhaate hue dekha hai…

275.

dil se tujhe bhulane ki khoshihen jari hai..

magar in nakaam koshishon main..

tu yaad ati hai…

khwabon ke sagar main armano ke suraj ko dubte dekha hai..

us pal ke shitiz ki khoobsurti main…

tu yaad ati hai..

gum ke patjhad main pedon ke patton se josh ko tut kar bikharte dekha hai..

un lal palash ke bache kuch pholon ki rangat main..

tu yaad ati hai..

tanha raton me umeed ke chand ko mayusi ke badlom main chupte dekha hai..

kuch fir bhi timtimate taron ki sangat main…

tu yaad ati hai…

276.

unke kehne ka intezaar nahin karte, ishare bhi samajhlete hain…

unki ankho main bheega pan hai, kabhi khushi bhi sambhallete hain…

hoti hai ruswayi ki barish bohot, tumhare hisse ka bhi hun hi bheeglete hain…

sab pata hai pyar tumhe bohot hai,kabhi ikraar hum bhi karlete hain…

277.

mauf karna kahin kho jaun to.. abhi naya hun is sheher main…

mauf karna kisi se takra jaun to.. dhundh bohot hai is sheher main…

mauf karna kisi ko na pehchanu to.. abhi ajnabi sa hun is sheher main…

mauf karna bharosa nahin kisi par.. abhi khud pe bharosa nahin is sheher main…

mauf karna agar rishte na bana sakun.. bas kuch hi din hun main is sheher main…

278.

bas yun hi khayalon ke samunder main dubki laga leta hun main…

bas yun hi kabhi khwabon ke asmaan main udleta hun main..

yun to awkaat nahin khuli hawa main saans leni ki humari…

bas yun hi kabhi ye gunah bhi kar hi leta hun main…

khuda kabhi mil jaye to ye jaroor usse poochunga..

kya sirf main hi hun is duniya main kush reh leta hun main…

sunwayi agar hoti is darbaar main humari to kya bat…

kambakht jamane ki nafrat ko mohabbat bana leta hun main…

279.

kabhi kal sa kabhi aaj sa lagta hai..

kabhi naya sa kabhi poorana sa lagat hai…

kabhi haqikat kabhi khwab sa lagta hai…

wo lamha pyar ka tere saath…

kabhi ek pal to kabhi sadiyon sa lagta hai…

280.

kabhi khush to kabhi dhukhi bhi hota hun…

halaat kaho ya majboori main yahin rehta hun…

haan main ek swatantra bharat ka nagrik hun…

kabhi neki thi jahan ab koi nek nahin..

kabhi dost aur dushman the alag surat ke …

ab lagta hai dono main koi fark nahin…

kabhi sharafat ghomti thi sadko par…

jaga karti thi yun hi raat bhar…

ab usse bhi aram chahiye keh kar so rahi hai jee bhar..

kabhi dil main baste the bhagwan…

hoti thi puja insaniyat ki bhaichare ki…

aaj wo mandir, masjid, gurudwara, girjaghar main badal gaye…

sajaye hain gandhi ke teen bandar maine bhi aale main.

shikaya gaya tha banchpan main bura na dekho na suno aur na bolo…

ab bada ho gaya hun.. sahi arth seekh gaya hun… ab main bhi ek aam bandar ban gaya hun…

281.

bhool jata hun…

kabhi bhool se kabhi jaan kar bhool jata hun…

uski wo aankhen wo muskurahat…

wo masoom chehre pe padte kale baalon ki wo lat…

kabhi uska naam bhi bhool jata hun…

wo thi saamne to palke jhapkana bhoool jata tha…

ab teri tasveer ki pehchaan bhi bhool jata hun…

use dekh duniya bhool jata tha..

ab uski banayi duniya hi bhool jata hun…

roj sochta hun mar jao,ek din saanse lena bhool jata hun…

bas ek tere khayal se saare khayal bhool jata hun…

282.

main nahin janta wo kya tha…

jindagi main ek chota sa waqt ya chote se waqt main zindagi..

yun to sab sathi choot gaye jeene ki daud main…

silsaly rishton ke jo jode the kabhi doston se…

abhi baaki hai dil-o-dimaag main yadoon ki tarah…

main nahin janta wo kya tha…

chote se waqt main zindagi thi ya jindagi main ek chota sa waqt tha..

yun to sab sathi choot gaye zindagi ki rahon mai daudna tha…

silsala rishton ke jo kabhi doston se jode tha …

guzar jaane par laga waqt khushi ka kuch kam tha…

main nahin janta wo kya tha…

bas jo bhi tha kaash thoda aur hota…

283.

suni ansuni… na suni… na sahi

kahi na kahi…na kahi… na sahi

ek tu hi sahi… sahi na sahi… na sahi

suni ansuni… na suni… na sahi

meri kahi unkahi baten tune suni ya na suni to koi baat nahin

kahi na kahi…na kahi… na sahi

tune mujhe kuch kaha nahin ya jataya nahin to koi baat nain

ek tu hi sahi… sahi na sahi… na sahi

tu har baat main sahi hai bhale wo sahi ho ya na ho koi baat nahin…

284.

aaj bayan-e-haal-e-dil likhne ko alfaaj nahin hai..

kabhi kehete kehte lafz kam reh jaate the..

lagta hai kahani main naya mod chahiye..

lagta hai mujhe shayad ek saathi chaiye…

bohot intezaar kiya uska jo nazar bhi nahin ata …

abhi to bas aur intezaar hi nazar ata hai…

bas ek asra hai umeed ka meri ankho ko…

bas dil ko dhadakna aur sapne dekhna hi to ata hai..

285.

dil ke in virano main bhatakte mere khayal hain…

na ummeed ki roshni na hoslon ke sahare hain.

akelepan ki ghabrahat or tanhayi ki khamoshiyan hain..

anjaan manjil ki talaash main firte hain maikhano main..

in andheri kismat ke rahon main sirf mayusi ke saye hain..

286.

dard ye nahin ki hum mile nahin…

dard ye hai ki hum mile hi kyun…

buri mujhe teri adat nahin…

bura ye ki mujhe teri adat hi kyun…

bura tumhara chor jana nahin…

bara ye ki tum kuch der saath chale hi kyun..

mujhe darr pyar se nahin…

darr ye hai ki pyar main bichadna kyun…

287.

ye nazar yun bhi nazarandaaz nahin tere nazaaron ki…

khata baksh do humari is nacheez si jaan ki…

na alfaj hai na aukaat teri khoobsoorti bayan karne ki…

mayassar nahin humain nazrana tere naskh-o-noor-e-deedar bhi…

magar fir bhi namumkin si zidd hai teri tasveer ko tujhsa haseen banane ki…

288.

tere intezaar mein hum, tere khayalon main hi kho gaye…

tujhe milne ko hum do ganta pehle hi pohunch gaye…

abhi to tere ane ka wqat bhi nahin hua…

hum to abhi se bewajah besabre se ho gaye…

na jane tujhse milne par kya alam hoga…

hum to mulakaat se pehle hi itna ghabra gaye….

wo pehli mulakat ka asar ab tak hai mujhpar…

tere sang mere kimti saman bhi tere saath ho gaye…

289.

be-karar dil be-karar dhadkan…

bechain nazar bechain se nazaare…

bheegi palke bheegi ankhen…

betaab yaaden betaab sa intezaar…

is bedum si yadoon ke bojhil se intezaar main…

bheegi hai pakle bheegi hai ankhen…

tere bechain nazaare ko ye nazar bechain..

na bas mere dil pe na bas main meri dhadkane…

290.

unche udaan ke unche unche armaan…

khayalon ke pankh sapno ka aasmaan…

kisi ke dil par raaj karne ki tammana

to kisi pe mar mit jaane ki khawaishen…

sapno ka bada sa mahal umeed ki kirno se roshan…

jahan har khidki se taza khushi ki fiza behti hai…

jahan har darwaja se ek khushnuma safar shuru hota hai…

jannat kise kehte hain ye nahin janta…

kuch aisa hi hoga gar yun mukkammal ho mera jahan…

291.

sambhal sambhal ke chalo kahin thokar na lag jaye…

sirf phool hi uthao hathon main kahin moch na ajaye…

mujhe ab dard nahin hota gar khanzar bhi seene main utar jaye…

par jaan nikal jaati hai gar tere munh se aah bhi nikal jaye…

292.

usnain mujjhe nazarandaaz kar diya ye gum nahin…

gum ye hai ki is berukhi ke fizool bahane bana diye…

humain to sirf do baat ki arjoo thi…

unhone do baton main alvida keh diya…

293.

fir wahi… fir yun hi…

un hi rahon main fir…

purane dost… purani chaddar…

puare ghar se bhag aya tha sheher main…

aaj wahin laut aya hun fir ussi bad-o-dar par….

294.

ye meri khata nahin… jo tujhse nazar hat ti hi nahin…

koosoor is dil ka hai.. iski hasrat poori hoti hi nahin…

295.

har khushi har fiza har sabaa tumhe sehlati rahe…

har ada har leher har gulshan tujhpe meherbaan rahe…

pyar ke mehal main sadaa ek rani tu rahe…

gum se juda teri jindagani rahe…

bas yahi hai dua meri tu jahan bhi rahe muskurati rahe…

296.

khelte hain khilona samajh kar…

todte hain aina samajh kar…

jab jee main aye to ate hain jab chahe chale jaate hain…

yun maza karte hain dharamshaala samajh kar….

ye dil dil hai mera pyar ka mara hai…

isse beijjat na karo patthar samajh kar…

297.

lamha lamha wo mere lamhe chura raha hai…

abhi yahin kahin thi udasi tere noor se ye dhukh door ja raha hai…

kisi akelepan ka mara.. ab har khayal main sirf tu a raha hai..

bas teri har dua kabool ho mera dil yahi dua kar raha hai

298.

na kaho kabhi tere dil ko ghar bana rakkha hai…….

mera dil ka har kona jindahai.. pyar se bhara hai…

ye koi ghar nahin….

ghar to lakadi mitti aur patthar ka bana hota hai…

299.

un rahon pe padi mitti pe kadmo ke nishann chod aye the….

ab na wo dhool hai na dhool pe mere nishaan…

kabhi ehsaas tha unhe humare eh taram ka…

ab har ehsaas unka lagta hai mujhe ehsaan…

300.

hum jo jaan diye baithe hain uska khayal nahin….

mere tadapte lamhon ke karhane ki sunwayi nahin…

bas ek dil ek jaan liye baite ye jindagi ka koi thikana nahin…

marne ko na ek mutthi jameen hai aur jeene ko ek saans ki hawa nahin…

301.

Fezool kya hai.. jaroori kya hai…

galtiyan kahan hai.. sajayen kahan hai…

gar guanh bhi kar diye… sunwayi kaahan hai…

abhi to bas shuru kiya tha…wo batane lage hain ant kahan hai….

302.

abhi khula hai aasmaan.. thoda suraz bhi dikha hai aaj…

thoda ujala hua hai yahan… thodi dhoop bhi khili hai aaj…

khushnuma hua mausam yahan…dil bhi khush hua hai aaj….

asaaman bohot bada hai yahan…par panchi udraha akele hai aaj…

303.

Gaye the maikhane thoda ghum bantne ko…

laut aye ghar, char logon ka ghum baantkar…

Gaye the mandir,kuch khayal-e-sawal poochne ko…

laut aye ghar, ek bezubaan boott dekhkar…

Gaye the mehboob ke yahan thoda pyar dekhne ko…

laut aye ghar, uski ankhon main kisi aur ka pyar dekhkar…

304.

wo bekadar bedardi par bemisaal hai..

dekho to judai main kaisa mera haal hai…

ye beinteha bekarar par beparwah intejaar hai…

tujhe milne to ajaunga ek din main maut bhi taal ke…

305.

kabhi kisi ka ghar dekhkar mera ghar chota laga…

kabhi kisi ka ghar dekhkar mera ghar saada sa laga…

kabhi kisi ka ghar dekhkar mera ghar kamjor sa laga…

fir mera pariwaar dekhkar mera ghar ek ghar sa laga…

306.

aisa nahin ki humain koshish nahin ki…

bas kadam teri aur hi chal padte hain…

aisa nahin ki humaine aane jaane ke raaste nahin badle…

na jaane kyun har raste tere ghar se hokar hi guzarte hain…

bas ek hum hi nahin jo tere nazron ke mare hain..
zara khidki se bahar dekho…is bhaagh main kite bhawre madrate hain…

307.

nikal pade the akele anjaan rahon main…

bada junoon tha bada josh tha hoslon main…

uchaiyan talashte utar gaye gherayiyon main…

sath chodaye apno ke, humare tez kadmon nain…

jaane kitne pal gawa diye age badhne ki chahat main…

galat sahi bhool gaya mauka parasti main…

har raaste le jaate rahe aur kaale veerano main…

308.

Uneende se banjar main, neend ki ek boond ko tarasta hun…

Uski yadoon si viraan raaton main, main akela jaga karta hun…

tujhe dukhi na kardu main,  hamesha dard main bhi muskurata hun…

teri muskurahat pe ek sal bhi na padne dun main,

is koshish main ek ansun ankho se bahane ko tarasta hun…

309.

jab hum 50-60 saal ke honge…

shayad kisi mod pe milenge…

kuch badle se tum kuch badle se hum honge…

Wada hai jaise muskurake tum chod gaye ho… waise hi muskurate hum milenge…

pehli nazar me tujhse pyar hua… hamesha karte rahenge…

g310.

Dekh Chubhte kanton se ungli pe khoon nikalta hua,

uske dupattte ka wo tukda yaad ata hai…

Dekh adhi raat ko meri mej pe khana thanda hota hua,

uske haathon se khilaya hua wo niwala yaad ata hai…

Dekh kisi ko pyar main jhoomta hua,

meri ankhon main jo ek ansun utar ata hai…

unke seene main choota hua,

mere dil ka wo tukda yaad ata hai…

311.

hum sochte hi reh gaye ki baaton ka agaaz kaise karen…

aur wo mulakaat ko anjaame khamoshi de gaye….

abhi to bas jeena shuru kiya tha wisal e umeed main…

wo fir kabhi na milne ka paigaam de gaye…..

312.

bas ek hathon main tera haath hota…

koi dukh na itna rooh ko tadpata…

na kisi raat ka rang itna kala hota…

bas ek hathon main tera haath hota…

na apni manzil se yun begana hota…

na main rastom main aise bhatka hota…

bas ek hathon main tera haath hota

na phoolon ka rang yun bemana hota…

na khushiyon pe koi paimana hota…

bas ek hathon main tera haath hota…

na ankho se ansun sookha hota…

na muskaan se mera nata tuta hota…

bas ek hathon main tera haath hota…

313.

tujhse door jaane ke darr se mann mere paas nahin rehta hai..

tujhe bhoolane ko .. ab aur kuch yaad nahin rehta hai…

tere seene main hi kabhi mere dil kahin choota hai…

tu hosh…tu behoshi.. tu hi madhoshi hai…

tu dil.. dil ki dhadkan.. tu hi saanson ka sislsila hai…

tu sach.. ya jhooth.. tu hi mera bharosa hai…

tu jingadi…tu maut..tujhe hi ye din raat jeeta hai…

314.

kya sunayen apne asunon ka afsana …

purani jaan pehchaan hai, na ek bhi begana…

laga rehta hai inka mere ghar ana jana…

kabhi khushi ke sang to kabhi dukhon se tang….

yun to, na pata, na inka koi thikana…

mere ansunon ko bas, chaiye behne ka bahana…

315.

Kitna bhi dhundho gali gali nagar nagar …

na milunga dharti par na asman na sagar…

koshish bohot ki,  tu na  jane mera thikana magar…

mil jata tumhe wahin dekho to apne dil ka ashiyana agar….

316.

chalte raston pe koi milta rehta hai…

har mod par naya afsana banta rehta hai…

sadak ki oonchayi neechayi naapne main…

mann manzil ke thikane se bhatakta rehta hai…

apne ya begano main, dost ya dushmano main…

rishton ke carvan ka banana bigadna chalta rehta hai…

ye dil bekaar ke len den, tutne judne main…

kabhi ghar to kabhi beghar hota rehta hai…

317.

apna banane ki koshish main ek ajnabi se mil rah hun main…

neend ki parchayi main khwab bun raha hun main….

raat ki tanhayi mein humsaya dhoondh raha hun main…

asmaan ki kali chadar mein tare se moti lakhon….

lakhon main ek tera chaand sa chehra khoj raha hun main….

apna banane ki koshish main ek ajnabi se mil rah hun main…

thandi hava ki siharan sa tera khayal mehsus kar raha hun main…

khamoshi ko todti surili awaaj sa tujhe hi soch raha hun main…

do bahon ke dayre sa sukoon tere baton main dekh raha hun main…

kabhi na mila hun, na jane kab milunga tujhse aye ajnabi…

ye janta hun har ek lamha main tere aur nazdeek aa raha hun main…..

318.

ek kaali raat…

tanha veerana..

udaas khamoshi…

bechain sar-sara-hat…

darre se kadmo ki chaal…

thand main paseene ki mathe se sarakti boond…

kahin kho jaane ka kauf…

dhundhli jeene ki chahat ….

waqt katne ki nakam koshish…

mayus si umeeden….

ye bas ek pal ki judai ka alam hai….

tumhe andaza bhi nahin ye deewana kaise…

tere bina maut se bhi battar jeeta hai…..

319.

Ek barish ki boond bahar ek boond dill ke andar reh gayi….

ek mann jala gayi ek muskaan banjar kar gayi…

abhi dhhoondh hi rahe the noor-e-jannnat ke darwaaze..

dekha jahan bhi naummeedi ki dewaar nazar agayi…

ek bahana jeene ka mil jaye to jeelun thoda aur…

bas idhar udhar se maanga to thodi si zindagi hisse main agayi…

320.

bade dino baad poocha usnian bade dino baad nazar aye ho

hum wahin the tere saye main ji rahe the…

bade dino baad humain dekhne ko nazar jhukaye ho…

mana hum kisi khushi main nahin shareek tumhari…

bade dino se kisi aur ki dunia main mashroof ho gaye ho…

bade dino main humari yaad ayi hai achanak tumhe…

bade dino baad akele pan ke maare hue ho…

bade dino baad lagta hai fir gham ke sataye hue ho…

bade dino se aarju thi tum humain sun lo ek baar…

bade dino baad gham batne ko sahi mujhe dhondh to rahe ho…

321.

dekho dekho wahan dhuan uth raha hai…

kahin koi to chingari hai…

dekho dekho kya pak raha hai….

kahi aaj fir kisi ki bari hai…

dekho dekho kahin aag bhadak na uthe…

kahin koi bechara naya ashiyana bana raha hai…

322.

Aisa nahin ki tu mujhe mil nahin sakti

Mere pyar main sacchayi ki kami reh gayi

Kuch teri shaitani main nadani jyada thi

Khuch mere hoslon main kami reh gayi

Tune mujhe nahin bheja door khud se

Kahin tujhe pane ki chahat main kami reh gayi

Abhi to char din hue tujhse bichde hue

Fir bhi dil nahin rota ab, shayad gum-e-dil main ansunon ki kami reh gayi

Tujhse koi shikwa koi gila nahin

Yahan to khud se hi mohabbat main kuch kami reh gayi

323.

ek din wo pooch baithi yun roj roj chand kyun dekhte ho…

ab kaise batata usko kya samjhata usko

ab roj roj uska deedar bhi to nahin hota..

en din pooch baithi wo mujhse ye mandir kabhi kabhi hi kyun jaate ho….

ab kya khun usse jab mandir main butt main rab dekhna hai

so to main rojana teri tasveer dekh liya karta hun…

324.

Yun hi ashiqana mizaj kar gaye ho…

bas ek nazar se hi dil ka beemar kar gaye ho…

325.

agar tu sajaa hai

to koi bhi gunah karne ko tayyar hun…

agar tu gunah hai

to koi saja pane ko tayyar hun…

paap hi sahi tere pyar main

koi hadd ki parwah kyun karun…

nark hi sahi tere sang,

tere bina to swarg ki tamanna bhi kyun karun…

darr ke pyar nahin karta hun

to pyar ke anjaam se kya darna…

patthar hi sahi mera mehboob dil pe rakhlunga

to patthar ke pighalne ka intezaar kya karna…

agar tu dard hai to bata

kaunse rag dabane se mere sabse kareeb hogi…

agar tu maut hai to bata

kaunse bahana ajmane se teri bahon main meri akhri sanse hogi…

326.

Aur usse pata bhi nahin….

yahan hum bematlab ka intezaar karte hain…

aur usse pata bhi nahin…

yahan hum ab bhi usse beinteha pyar karte hain…

aur usse pata bhi nahin….

327.

roj ek boond jindagi ki khareed kar apni jeb main rakh leta hun…

roj ek aur nishaan apni jindagi ki kitaab main likh leta hun…

din par din kimatain badh rahi hai ab khareedari aasaan nahin hai…

bas ghatati umeed se lakeeron ki lambayi kam kar deta hun….

yun bhi kitaab ka har panna koi nayi kahani bayan nahin kar raha…

bas yun hi har lakeer se kore kagazon ko ginti poori kar leta hun…

328.

aaj kal bewajaz akhon main namee kuch jyada hai

kai dino se uski yaad ka ana jana kuch jyada hai

sona muhaal hai aaj kal raton ki tadap kuch jyada hai…

log kehte hain aaj kal meri ankhen surkh kuch jyada hai…

bewaqt ki dhamakna yadon ka mano mere paas waqt kuch jyada hai…

kitna bachke chup ke chalun lagta hai yadon ke hosle kuch jyada hai…

door kahin jungle ki tanhayi main chor ata hun tere khayal…

beete lamhon ko mere dil main ane ko chor raste kuch jyada hai….

usse khwab smajh kar roj bhula ke sota hun

magar aaj kal raat ko neend mein khwab kuch jyada hai…

bahaar pholon ko khila kar chali gayi…

magar patjhad se humari yarri kuch jyada hai…

hum bhook se tadapte hain magar nivala gale se utarta nahin…

dil bhara hai lagta hai dil ka rishta dimaag se aaj kal kuch jyada hai…

log kehte hain mera chehra utra utra kuch jyada hai…

kya kahen aaj kal usse doriyan ka ehsaash kuch jyada hai

yun to mayassar humain naye rishte kuch jyada hai…

magar tujhse wisal ka bhoot mere zehen main savar kuch jyada hai…

yun to din bhi kuch kam mushkil se nahin guzarta….

magar teri yadon se bhari raaton ki lambayi kuch jyada hai…

teri bina jeene ko lagti ye jindagi kuch jyada hai….

bas mujhe to aaj kal maut ki aarjoo kuch jyada hai….

329

lautne ko panchi betaab hai…

bas savera hone ka intezaar hai…

socha to bada ajeeb lagta hai…

par poorana pinzra hi apna ghar lagta hai…

330.

udhari abhi teri nigahon ki mujh par aur baki hai…

chukate chukate kuch waqt to lagta hai…

upper se waqt tham sa jata hai tere saath…

kuch janam aur dede mujhe apne saath…

331.

tere intezaar ka hi har waqt kaam to hai mujhko…

na jaane log nikamma kyun kehte hai mujhko…

sara dhyan tujhe pyar karne mai laga rehat hai…

fir kyun kehte hai kaam main dhyan nahin mujhko…

332.

dil ke kitne tukde hue usse ky fark padta hai…

dard to ek daraar se bhi beinteha hai…

toot kar bikhar jayen to nazar ata hai…

ek tadak to nazar andaaz hoti beinteha hai…

333.

un khoobsoorat aankhon pe kaale pehredaar mujhe gawara nahin…

koi hume in main doobhne se roke ye mujhe gawara nahin…

334.

unhe dekhne ki tamanna yun sawar humpe…

pehle icha thi fir jaroorat ab junoon sawar humpe…

koi dekhe ki kya milega humein jo tum mil gaye to…

abhi bhi theek hai magar aur khubsurat hoga jeena jo tum mil gaye to…

335.

kar li dosti to kya gunah kiya…

ban gaye saathi to kya bura hua…

anjaam ki parwah wo karte hain jo ant hone ki raah dekhte hain…

hum to raho main kho rahe hain aye mere humsafar abhi to safar bas shurua hi hua…

336.

Karvaton se salvaton ko padte dekha hai chaddaron par…

wo neend nahin jiski kami khalti hai, jisse dhoondhte hue dekhen hai bistar ke kone raat bhar…

ye tum ho jo mujhe sone nahin deti, sapno main bhi satati ho…

fir bhi na jaane kyun tumhe hi dhoondhti hai ye nigahen yun hi raat bhar..

337.

Unhe dekhne ki tamnna kai baar ki hai….

Unki awaaj main sargam sunai kayi baar di hai…

kya batlaye unki khoobsoorti ki inteha…

Bas unhe chahne ki khwaish kai baar ki hai…

338.

Unki awaaj ki sargam ko sunte hi badal jati hai hawaon ki adayen…

unki saanso ki khusboo se badal jaati hai meri neeyaten…

Unka choona yun lagta hai jaise makhmal pe kai pankh hai failen…

Unka choomna mano dharti par swarg ka alam main laga hun behne…

339.

Bohot khoobsurat hai ye khayal bhi…

Tera neend main mera humsafar hona…

Intezaar hai us lamhe ka jab khushi ki inteha hogi..

 Aur meri zindagi main tera humsafar hona….

340.

Aur koi kaam nahi ata …

Aaj kar tere siva koi naan nahin ata…

Bas tere baare mein sochta hun har pal,..

Aajj kal jehen mein tere siva koi khayal nahin ata….

341

Bas ab aur kya kahun kya bataun apna haal…tere bin tere bin….

na jeene ko lagti hai zindagi na khush hone ko koi wazah… Tere bin tyere bin…

342.

wo dekhte hain humain is andaaz se…

pyar ho jata hai bas ek nigah se…

kaun kehta hai nasa karo hisaab se….

roj behisaab pemane toot jaate hain unki bas ek nazar bhar se…

343.

dekh kar chaand aaj raat fir hua ehsaas… mere chaand ki baat kuch aur hai…

dekh kar baagh mein khilta gulabh fir hua ehsaas… mere gulab ki baat kuch aur hai…

dekh kar chilman se pardedar shama fir hua ehsaas… meri shama ki baat kuch aur hai…

dekh kar uski kaynat aaj fir hua ehsaas… meri kaynat ki baat kuch aur hai…

dekh kar asmaan ke chaand ko aaj raat fir hua ehsaas… teri chaand si surat ki baat kuch aur hai…

dekh kar baagh mein khilte gulab ko fir hua ehsaas… tere hoton ki gulabi pankhudiyon ki baat kuch aur hai…

dekh kar chilman se pardedar shama fir hua ehsaas… meri bahon mein machalti shama ki baat kuch aur hai…

dekh kar uski kaynat aaj fir hua ehsaas… tu hi meri kaynat-e-jindagi hai aur teri baat kuch aur hai…

344.

Kis tarah dil toote ab kya kahun..

Mera dost kab piche chhoote ab kya kahun..

Wo dil ki baat kehke…munh mod ke kho gaya ab kya kahun..

Usse yaad meri ati to hogi aaj bhi… mujhe bhi dukhta hai dil mein thoda thoda… Ab kya kahun…

345.

Wo is tarah rehte hain mere dil mein…

Ki koi sagar mein pani ho jaise..

Itna pyar karte wo humse magar..

Fir bhi pyas re jaati hai thode aur ki is dil mein…

346.

Unke hansne mein koi surag to tha..

Warna hum jindagi dhoondhte unke pass kyun jaate..

Unke chehre mein kuch khaas to tha…

Warna hum unhe yun hi dekhte kyun reh jaate..

Unki baton mein koi swad to jaroor tha..

Warna hum yun pani ko sharbat samajh ke na pi jaate…

Unki ankho mein kuch gulabi to tha..

Warna hun unke pyar mein yun giraftar na ho jaaate…

347.

Tere khayalo mei uljha sa hun..

Abhi adha soya adha jaga sa hun…

Teri yaad sone nai deti ek pal..

Tere sapne dekhne ko ankhen sona chahti hai har pal…

Fir lamho ke moti ki mala ferte hue raat tera naam rat te hue kat jayegi…

Magar mala ke bandhe siro ki tarah fir na khatam hone wali tanhayi laut kar ati jayegi…

Abhi kya kahun ye raat kuch ajnabi si ho gayi hai….

Ye dar or deewaren bhi ajnabi si ho rahi hai…

Kuch neend begani si ho gayi hai…

Kuch ye chaddar ki narmi ki kami si ho rahi hai…

Ye nayi jagah naya kamre ki wazah se nai…

Aaj tujhse door hone ka ye asar hai ki aine mein meri parchayi bhi mujhe parayi si ho rahi hai

348.

Aaj Kal koi naya sher nahi Likh raha hun..

Aaj Kal ek khoobsoorat si nazm padh raha hun..

Kabhi khayalo se lafz churakar kagaz pe utar deta tha…

Aaj Kal khud ek khoobsoorat ghazal ke saath reh raha hun

349.

kaisa ye jahan hai…

ismein mera wajood kahan hai…

fursaton ke khoj mein…

mashroof har koi yahan hai…

jinhe talasta hun yahan…

wo fursaten ab kahan hai…

din savarne ke khatir…

ek daud si yahan hai…

din ko sukoon choota..

raat ankho mein neend ab kahan hai…

shikayten to mere pas bhi hazar hai…

shikayten meri samajhne wale ab kahan hai…

350.

kuch ajeeb dhadkano ki taal hai aaj kal…

kuch ajeeb khayalon ke sawal hai aaj kal…

kuch ajeeb hai har cheej ko mehsoos karne ka tareeka…

kuch ajeeb hai har cheeze ko dekhne ka nazariya aaj kal….

yun to pata nai kaunsa mahina chal raha hai aaj kal…

bas ek unke ate hi mausam badal jaate hain aaj kal…

351.

bas yahi musibat hai waqt ki wo kahin theherta hi nahin..

kabhi kam padjaye to kabhi guzare guzarta hi nahin…

saath daudne ki koshish mein bohot kuch chhoot jata hai…

kitna bhi chaho samjhana magar ye waqt kisi ki sunta hi nahin…

bohot koshi karta hun manane ki magar ye waaqt kisi ki manta hi nahin…

352.

Roj lagta hai baat adhura reh gayi…

Fir aaj raat thodi choti reh gayi…

Jaane kya kya keh daala yun to unse…

Magar lagta hai dil ki baat dil mein hi reh gayi….

353.

suna hai waqt ke saath har jakhm bhar jata hai…

guzarte hue waqt ke saath har koi sambhal jata hai…

par ye kahan socha tha ki waqt bhi kabhi laut ata hai…

fir wahi gir ke tutna aur fir wahi ghaav ban jata hai…

354.

Dooriyan tabdeel ho rahi nazdeekiyon mein..

Khul rahi khidkiyan haseen vadiyon mein…

Khabar ho rahi hai dheere dheere zarre zarre ko…

Hone ko hai barsaat in vadiyon mein….

Khilne ko hai ek phool is baag mein..

Kuch aisi hi charche hain aaj kal kaliyon mein…

355.

ek mulakat hui aaj…

jannat ki zhalak dekhi hai aaj…uski ankhon mein chor aya adha dil…

uske labo pe rakh aya bacha hua dil…

mehsoos hua kaise bas choone se nazare badal jaate hai…

kis kadar be khabar besabar unke agosh mein hum kho jaate hain….

jindagi to thi magar aaj khoobsurat ho gayi… aaj yakin aya ki tu bas meri, meri jindagi ho gayi…

356.

dost kuch kaise bhi mile humko…

jaise dostana ho bas do din ka unko…

ek ummed abhi baaki hi mujh mein….

kaam padega jab to yaad karenge hi wo humko…

357.

agar mein mala nahin japtaa to kya, mein usse yaad nahin karta…

agar mein arti nahin janta to kya, mujhe uska samman karna nahin ata…

agar mein mandir nahin jata to kya, wo mere dil mein nahin rehta…

mein bhi wahi hun… wo bhi mein… kuch wo mujhmein.. kuch usmein bhi mera hai..

jaane meine usse banaya… ya usnein banaya mujhe…

agar mein usse nahin pukarta  to kya wo mera dhyan nahin rakhta..

na kosna… na ilzaam.. na shikayat krunga…

Khuda hai… khud mein hai … khud ko kya bura bhala kahunga..

agar mein mujhme hi bhara hai to kya khaak kisi aur ki pooja karunga…

358.

Jindagi ek slate si lagne lagi hai…

jitna  jyada saaf karo utni jyada kali hai..

Subah uthkar kal ka likha mitata hun…

Pura din fir slate bharne mein lag jata hun..

Kitna bhi sochun sundar aqshar likhne ki…

fir jaldi bazi mein kaat chaant lakeete kar jata hun…

Jindagi ek slate si lagne lagi hai…

jitna  jyada saaf karo utni jyada kali hai…

24 ghante chawdi is slate par kone nahin hain..

na tedhi medhi hai par ek dum gol hai..

aksar koi aqshar doosre shabd mein chala jata hai…

fir ek chota sa shabd dhhondhne mein samay zaya hojata hai…

Jindagi ek slate si lagne lagi hai…

jitna  jyada saaf karo utni jyada kali hai..

yun to khud se likhta hun roj apni kahani…

par lagta hai jaise koi likhwata hai,…

kahin meri slate bhi hissa hai kisi badi kahani ka…

kahin kisi ki slate meri kahani ka hissa hogi..

tukde tukde aqshar se bante shabdo ke vakya mera har din hai…

ye slate pe pade tukde jodna hi meri jindagi hai…

fir ye Jindagi ek slate si lagne lagi hai…

jitna  jyada saaf karo utni jyada kali hai..

359

samay ke jaal mein uljha sa mera ek pal hai…

Suljhane ki koshish mein zaya kiya ek pal hai..

ration si jindagi mein mile hisaab se ek ek pal hai…

kharch ho samajh se, is samajh mein zaya ek pal hai…

jitna bachaho utne barbaad hota ek pal hai…

mutthi ki ret sa atheli se fisalta mera har ek pal hai..

360.

Lutakar khud ko bhi hue badnam.. Chalo naam to hua..

Warna apne saye bhi nai pehchante the.. is kadar ye vaibhav gumnaam tha hua…

361.

Dheemi aanch pe pak raha tha..

Ek galti thi.. Gunah ban raha tha..

Baat ek mulakat ki thi…Baat ek shaam ki thi…

Mulakaton ka silsila ban raha tha..

Naram garam khatti meethi baante hain… bekhabar sa ek afsana bun raha tha..

Dheemi aanch pe pak raha tha..

Ek galti thi.. Gunah ban raha tha…

Laakh Chupte chupate bhi.. ye sath ek khabar ban raha tha…

Pyar hai.. mohabbat hai…naam to waise …

magar mein teri lat ka shikaar ban raha tha…

  Dheemi aanch pe pak raha tha..

Ek galti thi.. Gunah ban raha tha…

362.

Kaash mein bhi bas kala safed hi dekh pata…

to in lakhon rang ke her pher mein na kho jata….

khush hain wo jo seedhi lakeer hi khenchna jante hain…

na seekhta agar tedhi lakeer khenchan to… yu chauraho ko sambhalta hua na reh jata…

.

363.

Kyun lag rahe ho khoobsurat ye na poocho..

ye kaho ke aaj ye chehre pe noor-e-sheroz kaisa hai

kyun jhoom raha hun ye na poocho

ye kaho ke baton mein ye mausiqi kaisi hai….

kyun behak raha hun ye na poocho…

ye kaho ke aaj ye ada kyun itni madhosh hai.

364.

Raste ka patthar bhi bano to itna bada.. koi yun hi tumhe mehaz khel ke liye… paon se thokar na maare.

365.

Bohot nazarandaz karte hain takat ko meri..

Meri khamoshi ko meri kamzori na samjho…

Kya hua jo bhanwar mein yunhi kood nahi jata..

Akhir kuch jimmedariya hai ye to samjho…

366.

haan mohabbat hai tabi to jinda hun… nafrat to kab ka jala ke raakh kar deti…

367

Usse door hokar hi uski Kami hoti hai..

Use saath rehkar bhi hasrat poori nahi hoti..

Ek adat hai Meri, ek jaroorat hai Meri..

Har kadam saath rehkar bhi lagta hai uske mohabbat Kam nahi hoti…

Roj roj har roj pyar har badhta rehta hai is kadar…

Kitna bhi koshish Karo .. magar doori bardasht nahi hoti..

368

Aankhe khuli hai magar so raha hun mein…

Sab dekha hai magar andekha Kar raha hun mein..

Sab sun raha hai magar ansuna Kar raha hun mein…

Jag gaya hun neend se… Magar zameer se so raha hun mein…

Hqeeqat ko khwab samajh… Kwabon ko haqeeqat maan Kar…

Maut se battar magar jee raha hun mein…

369.

agar mauka mile to fir us din ko jina chahta hun…
tera haathon mein haath leke fir anguthi pehnana chahta hun…
wo teri chehre mein zalakte pyar mein ghuli khushi yaad ati hai..
wo rokne ki koshish ko bekar karti teri muskurahat yaad ati hai…
Tab se ab tak badla hai jo, wo bas pyar ki inteha aur badh gayi hai…
Teri mohabbat, teri khushbu, teri adat ab behad badh gayi hai…
Bas har lamha tere saath bitana chahta hun..
yun to koi doori nahin darmiya.. fir bhi jaane kyun aur kareeb hona chata hun… 
agar mauka mile to fir us din ko jina chahta hun…
tera haathon mein haath leke fir anguthi pehnana chahta hun

370.

Purane dard ko purana kar do, naye dard ko bhi kuch jagah chahiye…

Ek hi dil hai , kuch choti jagah hai, thoda khushiyon ko bhi jagah chaiye…

Lambi jagti raaton ko araam do.. In akhon ko neend ki ijazat chaiye..

Neend ki sadak mein yun akele na raho.. Sang sang kuch khwabon ko bhi jagah chahiye…

371.

mana kabhi aage aur kabhi peche bhi… magar kabhi kabhi mere saath bhi chalna…

mana saath ho dukh mein aur kushi mein bhi… magar kabhi bas yun hi saath bhi chalna…

mana rishtey hain kuch jimmedariyan bhi saath nibhane ko… magar kabhi bas pyar mein bhi saath chalna…

mana tumhe dekhkar bhool jata hun chalna bhi, magar kabhi haath thaam ke mujhe saath le chalna….

372.

Taqadeer aur tadabeer mein fark yun samajh ata hai mujhe…ki taqadeer jindagi ka wo kagaz hai jinpe khuda ne chitra bana rakkha hai..

Aur tadabeer humari us chtrakari pe rang bhar ke khoobsoorat banane ki koshish hai…

Ab kaunsa rang chunna hai aur kaisa chitra banega bas yahi samajhdaari hai…

373.

Doston ne sikhaadi fir ek baat hai.. dosti bas ek kitabi baat hai..mashroof to hum bhi hai par dosti ke agay to nahin.. tumhare liye to dosti nibhana sahuliyat ki baat hai…

374.

toote foote loote sa ye aaj ye sach  hai..

unnees bees ikkees ka nahin ..

kwabo ka haqeekat se fark kuch jyda hai..