Posts tagged vaibhav

Sab se Milta Hun

sab se milta hun , wohi karte hain jo unko hai pasand bhale hi galat kyun na ho…wohi soch lete hain jo unki soch hai bhale hi galat kyun na ho…

121. sab se milta hun…bahot hansta bhi hun…
par jab bhi tujhse milta hun…
aankh main ek ansun hota hai…jise tujhse hi chupata hun…
jise jindagi samajhta hun… usse hi jhooth bolta hun…
jaane in aansuon ko kiska intezaar hai… par uske saamne nahin ro sakta hun…
kabhi to samajh jao mere armano ko… waise to main bhi inhe samjhaata hun… bas yu hi main sab se milta hun

122. pyar to kar liya yun hi maine…
na socha na samjjha ek pal bhi maine…
ab samajh aya hai pyar sirf kiya tha maine…
kiya bhi to kisse kiya pyar maine…
bewafa hi hoti to samjhaleta khud ko…
yahan to wafa main bhi dhoka khaya hai maine…
par abhi bhi umeed nahin chori hai maine…
shayad galti hi koi ki hogi maine…

123. baton ka silsila to abhi shuru hi hua tha…
wo fir chale gaye baat adhoori chor kar…
abhi to mujhe apna haale dil bayan karna tha…
bas chor gaye tadapte hue mujhe apne haal par…

124. chalo ek aur raat gujri.. lo fir naya savera hai…
chalo ek aur ansun bahaya hai maine.. lo fir mera dil muskuraya hai…
chalo ek aur baar thukraya hai tune.. lo fir maine tujhe apnaya hai…
chalo ek baar fir mera saath diya tune.. lo fir ada kiya shukriya hai…

125.lo mujhe koi apna sa mil gaya…
mera har sapna sa khil gaya…
ab fir se jaagna nahin chahata…
maut main bhi jindagi ka ehsaas sa mil gaya…

126.intezaar unko bhi hai meri dhadkano se nikalte unke naam ko sunne ka…
betab wo bhi hai mere khayalon main unke ehsaas ko janne ka…
bas dikhate nahin hain kabhi apne chehre pe…
par intezaar unko bhi hamare paigamo main chupa unke like hamare pyar ko jaan ne ka…

127.sunkar teri meethi meethi baten, kano main mishri si ghul rahi hai…
pyar main teri saare jahan ki khusiyan bhi mil rahi hai..
bas yunhi jindagi bhar saath dene ka wada karo…
bas yahi soch kar mere dil ki har kali khil rahi hai…

128.chah kar bhi wo raat nahin bhool pata…
wo haathon main haath, tera saath nahin bhool pata…
saansen lena bhale hi bhool jaun…
par teri sanson ki khusboo nahin bhool pata…

129.bahot pyar dekar bhi dekha…
bahot saath dekar bhi dekha…
duniya se tere liye ladkar bhi dekha…
tere sath sabke liye bura bankar bhi dekha…
bas na dekha to teri ankhon ek pyar ka lamha nahin dekha…
teri ankhon main pyar ka ek sapna bhi dekha….
bas us sapne main kahin mera saya bhi nahin dekha…

130.chal chor diya tujhe bhi apne haal par..
chal choot gaya main bhi apne hi haal par…
ab is haal main bhi behaal sa hun…
par fir bhi hansta hun har haal par…

131.jaane kis hosh main tha main jo madhosh ho baitha…
jaane tu kis madhoshi main tha jo apne hosh kho baitha…
ab na chahata hun ki hosh main aun, na ane dun…
bas ab har pal rahun beshosh sa baitha…

132.har pal chaha hai tujhe, har pal chaunga main tujhe…
har pal na chahun, to koi bahana nahin hai…
har pal hi chahun tujhe, itni deewangi nahin hai…
khud bhi uljhan main hun…har pal chahun na chahun tujhe…

133. jo kat gaya wo majil ka rasta nahin tha…
jo mil gayi wo manjil ka thikana nahin tha…
nikle the jiski ki talash hum akele in rahon main…
wo to kya milna tha uska saya bhi nahin tha…

134. begano main itna kho gaya hun…ki apno ko bhool gaya hun…
begano ki nafrat kahakar bhi unke saath hun…apno ka to pyaar bhi bhool gaya hun…

135.karte hain ansuna par sunna bhi mazboori hai…
sunte hain jo na suna par sunna bhi jaroori hai…
ab chahata hun wo sunna jo reh gaya ansuna…
ab chahata hun kehna jo reh gaya ansuna…

136. wohi karte hain jo unko hai pasand bhale hi galat kyun na ho…
wohi soch lete hain jo unki soch hai bhale hi galat kyun na ho…
har koi galat samajhta tha to seh gaye tera naam lekar bhale hi galat kyun na ho…
aaj tune hi galat keh diya humko, bhale hi har karam tera hi kyun na ho…

137.tere ane par dukhi rehta hun…
tere jaane par khush rehata hun…
tere ane par bichadne ka dukh hota hai…
tujhse bichad kar ek bar fir milna hai ye soch kar khush rehta hun…

138.ek baar fir suna kuch bura..
wo ek baar fir bhool gaye hum…
fir ek baar jo suna bura to…
na fir bol paoge bura tum…

139.Kabhi ankhon dekha bhi sach nahin hota…
kabhi andekha bhi sachcha hota hai…
Jo ankhon se nahin ankhon main dikhe…
wahi pyar sachcha hota hai….

140.Vichaar – Pyar aur Pani
pyar aur pani ka ek hi haal hota hai…
na pani aakaar hai aur Pyar bhi nirakaar hota hai…
ek jeene ke liye jaroori hai to ek jindagi ke liye…
dono ka na rang hai na roop par.. ek jaroorat hai..
dono ki pyas hai… ek baar bhuj bhi jaye to kya fir agle din jaroori hai…
suddha ho to vardaan hai milavat ho to jeher bhi hai…
jis tarah dhalo dhal jate hain rakhne waale ka aakar lelete hain…

vaibhav agarwal mere likhe hue sher bhag-3 sabkuch lut gaya

Pata Nahi Mujhe

Pata nahi mujhe kyun galat samajhne laga hai tujhse dosti karne ki saza hai ….Mere likhe hue sher (bhag-2)

21. har dost ab mujhpar shaq karne laga hai..
pata nahi mujhe kyun galat samajhne laga hai…
tujhse dosti karne ki saza hai…
par is saza main bhi ata ek alag hi maza hai… pata nahi mujhe

22. KYUN…
ye shabd mujhe har waqt satata hai kyun…
har baat ke ant main bach jata hai kyun…
iska jawab nahin dhoondh pata main kyun..
khud-b-khud jawaab nahin mil jata hai kyun…
jiska jawaab nahin uska sawaal hai kyun…
kisi sawaal ka jawaab bhi hai kyun…
khud sawaal ban gaya hoon main kyun…
ye har sitam mujhe hi ata hai kyun…
sabse bada dukh mera hi lagta hai kyun..
doosron ko bhi dard hai kyun…
dard bhi jaroori hai kyun…
dard ke baad hi dawa hai kyun…
har dard mere liye hi hai kyun…
har dard ko chupata hoon main kyun…
har gum main hansta hoon main kyun…
jane kis kis se darta hoon main kyun..
ye darr sa hai kyun…
ye andhera hai hai kyun…
koi roshni nazar ati nahin hai kyun…
is roshni ka intezaar hai kyun…
intezaar ke khatam hone ka intezaar hai kyun…
jo mil nahin sakta uski ichcha hai kyun…
jo mil jata hai uski, nahin hai kadr kyun..
tere liye kuch chaoon main kyun..
apna banana chahoon main kyun…
tujhe har baar, har raaj bata na chahoon main kyun…
tu meri nahin hai kyun..
mujhe chahti nahin hai kyun…
nahin theherta hai waqt kabhi mere liye kyun..
nahin kar pata har kaam waqt par main kyun…
tune mujhe thukraya hai kyun …
tujhe samajh nahin paya main kyun…
koi mere liye bhi hai is duniya main, ye sooch ta hoon kyun…
jeene ki tammna nahin hai kyun…
marna main chahata hoon kyun…
jeene ki mazboori hai kyun…
jeena main chahat hoon sukh se kyun…
dard main jeena mushkil hai kyun….

23. jo milta hai tera hi pata pooch ta hai..
ab apna pata bhi yaad nahin.. jane wo kya pooch ta hai…
par fir bhi tera pata bata deta hoon …
jaane  wo yaad kaise rehta hai…

24. tere jane ke baad teri yadoon ke galiyare main gumm sa ho gaya hoon…
jane kyun jindagi ki seedhi sadak par bhool bhulayya sa bhatak gaya hoon…
registaan si jindagi main pani ka miraaz sa hota hai… har jagah ruk kar tere pyar ki boond dhoondhta hoon…
mujhe to har rah main tere hone ka miraz hota hai… har waqt tere jaisa pyar karne waala dhoondhta hoon…

25. shama main aag to hoti hai par… parwane ke milne ke baad… parwane ki wo aakhri raat hoti hai
jane kis gum main shama jalti hai ke us aag main parwana bhi jal uthta hai..

26. muskurahat bane aisi kismat nahin.. ashk bankar bahe aisi hesiyat nahin…
tum jaisa dost mil gaya .. ab aur koi chahat bhi nahin…

27. teri pyar ke kabil hoon ye to pata nahin…par teri nafrat ka haqdaar to main nahin…
tu mera pyar kabul kare ya na kare par… main tujhse pyar karna chor dun… kabhi nahin…

28. mat rok mere dost mujhe rone se…
ke meri yadoon ke jungle ka har patta mere aansuon ki nadi ke kinare jinda hai…
mat soch meri aankhon ke baare main ki…
inke band hone par hi unka deedar hota hai…

29. bahot din hue roya nahin hoon…
kuch dino se kuch khoya nahin…
ye bhi tera hi suroor lagta hai…
ki jaam to hai par kai dino se piya hi nahin hoon…

30. sawan sa tera pyar…
garmiyon si teri takraar…
patjhad si teri judai…
basant si teri saadgi…
sardiyoun sa tera saath…
hai aisa kaunsa mausan…
jo na dilaye teri yaad…
hain sabhi mausam teri hi yaden…

31. kabhi soochta hoon shayad…
jab akela tha tab khush tha shayad…
par tere ane ke baad… wo sabse achcha waqt tha shayad…
ab tu nahin hai…par jee lunga shayad…

32. har dard  se sambhal jata hoon jab tu ati hai..
har gum se ubar jata hoon jab tu nazar ati hai…
par tere jane ke baad…
issi gum or dard se bhari tanhaiyan reh jati hai…
jo fir se tere ane ke intezaar main lag jati hain…

33. tere jehen main ate hue khayal main jiska saya hai…
us saye main bhi mera aks dhoondhta hoon…
jane kyun itni si ummeeden hai…
ki us kali parchayi main hi apne pyar ke rang dhoondhta hoon…

34. is bhagti daudti bheed mai main bhi duadta hoon…
fir kahin bhi ruk kar… kabhi kabhi sochta hoon…
kya ye sadak meri manjil ki aur jati hai…
har kisi ki manjil par ruk kar apni manjil ka pata poochta hoon…
har kisi ki manjil dekha kar.. apne ashiyane ko ek naya roop deta hoon…
fir kisi mod pe jake fir kuch naya sochta hoon…

35. har saans main teri khushbu ho… har dhakan main teri aawaaj…
har soch main tera khayal hai… har ant teri judai… har milan tera aagaaj…

36. khudi ki julfon ke saaye se usnaim humko yun dekha…
ki dil ki har hasrat poori ho gai…
bas ek hasrat unka chehra dekhne ki….
in aankhon ki manzil ban kar reh gayi…

37. bahot kosa duniya ne… par ek apno ka sahara tha…
ab kisko sahara samjun… jab apno ne hi nakara samjha…

38. har kisi ko pyar miljata to pyar hi kadr nahin hoti…
jinhe pyar ki kadr hai unki tanhaiyan bhi tanha nahi  hoti…
ke milne ka maza bhi tab hi hai jab beech main ek lambi judai hogi…

39. bada nakara tha tere milne se pehle…
tujhse mila to to ek kaam milgaya…
kaise sukriya karon tera…
ki tune mujhme ek shayar jaga diya…
tere jaane ke baad bhi khali nahin hoon…
tune jate jate mai khane ka rasta dikha diya…

40. kal tak besabri se us ek pal ka intezaar tha…
jis pal,  kuch akhri lamhon main tere saath rahunga…
par aaj ye darr hai ki wo lamha ek din aur kareeb hoga…
itni choti mulakat ke baad unse mulakaton ka ant hoga…
abhi intezar ke sahare to jee raha hoon…
un lamho ke guzar jaane par ye aasra bhi nahin hoga…

Pata nahi mujhe main kais likhne lga bas ab likhne lga hoon main sirf tere liye

Read this also : Pta Nahi Main, Dil Main Armaan, Sabkuch lut gaya,