Posts tagged dailythought

Restart

Fir se restart likhne ke liye kar raha hoon umeed karta hu ab main lagatar likhta rahunga aur dher saari aapse baat karunga aur kuch nayi baate btaunga, har roj kuch likhne ko yeh baat jaruri nahi hai lekin main likhne ki koshish karta rahunga bas isi umeed main likhta rahunga.

likhne se jo mann mei dba hua hota hai vo bahar nikal jata hai, bahut saari pareshaniya to likhne bhr se hi khatam ho jati hai, likhne se sukun milta hai, likhne se mann accha rehta hai, bahut jyada mood swing bhi nahi hota jab aap likhte hai, shabdo mei thehraav aata hai…

yadi aap kahi ruk gaye hai to usey restart kare vahi ruke na rahe, restart karna jaruri hai nahi toh jo sapne dekhe the vo adhure hi reh jayenge.

Saath hee aapse bhi umeed karta hu ki aap mere saath apne vicharo ko saanjha karenge

mujhe likhna pasand aapko kya aapko bhi likhna pasand hai yadi haa toh kuch likh kar aap mujhe email kar sakte hai ham use apni website par publish karenge

good night friends