ek ajnabi aagaaz Mere likhe hue sher part-10
181.
Ek ajnabi aagaaz ho raha hai…
fir use pehchane anjaam se darr lag raha hai…
dil main kuch aur hai dimaag kuch aur keh raha hai…
chalo jo ho raha hai shayad achcha hi ho raha hai…
shayad mujhe fir pyar ho raha hai…ek ajnabi ki tarah ehsaas
182.
lehrate hain hawa main patte aise…
sarsarahat hai dil main yadon ki jaise…
intezaar hai dil main bhi patzad ka…
kabhi to yaden bhi jhad jayengi mere mann se waise…
patzhad ke baad fir basant ajata hai…
bhool bhool kar bhi teri yaden tazaa hai…
kitna bhi door jaun tere khayalon se…
fir hari bhari yadoon se tera khayal aajata hai…
183.
bheed main achanak akela ho jata hun main…
tere khayalon main achanak kho jata hun main…
haar chuka hun tujhe bhulanme ki koshish kar kar ke…
ab to har koshish main naakaam ho jata hun main…
184.
tujhse door rehkar sambhalna asaan ho jata hai…
tere pass jaakar sambhalna jaroorat ban jati hai…
185.
Jab mila to sab bin maange hi mil gaya…
jb choota to sab achanak se chin gaya..
kabhi to ek katre se bhi kush ho gaya…
kabhi poore samandar se bhi pyasa reh gaya…
186.
rasta to kat jata hai yun hi chalte chalte…
manjil bhi mil jaati hai yun hi chalte chalte…
tej chalun to humsafar bhi chhoot jaate peeche hain chalte chalte..
aaram karun to dost bhi age nikal jaate hain chalte chalte…
187.
jane neend in ankhon main kyun nahin hai…
kabhi khwabon main to tujhse mil liya karta tha…
tere saath nahin tere khayalon main ji liya karta tha…
ab to lagta hai ki khwabon ki bhi mujjhse dushmani hai…
188.
ek lambi kahani ka chhoota hua kirdaar jaisa hun…
khench lao to ek ateet jaisa hun…
ab to kisi ke khayalon main bhi nahin …
ek bhooli hui yaad jaisa hun…
189.
Pyar to hai par ikrar-e-mohabbat se darte hain…
ikrar bhi hai par Anjaam-e-Mobbat se darte hain…
Har Agaaz ka anjaam ho ye bhi to jaroori nahin…
bas tera saath na choot jaye is baat se darte hain…
190.
Teri bahon main anne ko dil chahta hain…
Teri panaho main samane ko dil chahta hain…
Teri ankhon mai kho jao main…
Tujhme samaane ko dil chahta hai…
191
Tu mujhe yaad aati hain…
Jaise sanse dil main atak jatti hain…
Jeena thoda asaan ho jata hai…
bus jo tera chehra nazar ata hai…
192
ek jhalak panne ko taras jate hain…
teri nazaro main anne ko taras jate hain…
pata nahi kiase kategi yeh zindagi meri…
ab to har saans main jeene ko taras jaate hain…
(Har hansi main khushi ko taras jaate hain…
har saans main jeene ko taras jaate hain…)
193
subah meri subah nahi hoti…
raat bhi ab utni sukun bhari nahi hoti…
mausam judai ka mushkil hai har lamha …
tere bina zindagi ,zindagi nahi hoti…
194.
Wo mausam dard ka bhi meetha hoga
Har karwa sach khushi se kubul hoga
Agar tu sath agar tu paaas hoga
195
Abhi socha ki koi shayeri likhun
Fir socha koi ghazal likh dun
Tujhe pyar bhara dil-e-nazrana likhun
Phir socha ki tujhe ek aina bhej dun
196
Tere pehlu main sone ko jee chahta hain
Teri bahon main anne ko ji chahte hain
Hawa bhi na ho darmiya hamare
Teri sanson se dhadakna hi mera dil chahta hain
197
Pyar hain tera jo sanse lene ka ek aur bahana mil gaya
Jo mila tujhse to khush rehna ka ek aur bahana mil gaya
198
Bus ek nazar ki baat hain aur kuch nhi
Bus ek awaz ki baat hain aur kuch nahi
Ji lenge zindagi kaise bhi kahin bhi
Bus ek tere sath ki baat hain aur kuch nahi
199.
Main ji raha hu ek zindagi hain teri…
Har pal har sans sab dhadkane hain teri…
Chura lu ek pal tanhai ka bhi kabi…
Har lamha hain tanhayi ka khoya khayalon main teri…
200.
Rasta hain mushkil par manzil utni bhi duur nahi
Jab hum hain sath to tujhe khone ka darr dur tak nahi