Posts tagged vaibhav agarwal sher o shayri

Ek nigah

Pta nahi kaise likhne lga hoon ek nigah part 11

201. Ek Nigah
ek nigah bhar dekha bhi nahi aur bas ek aur din yun hi chala gaya…
fir kuch kehna tha.. fir wahi mann main reh gaya…
ek ansun in ankhon se nikal jaye to rok leta hun…
kisi apne ka khayal kar leta khush ho leta hun…
ek nigah main ane ko kisi ki machal jaate hain armaan…
ek nigah bhar ke to koi dekhe… fir maange to khushi se dedun apni jaan…
bahaot dino baad fir udas hua hai mann..
baat ye nahin ki kuch bura hua hai fir aaj…
bas dukhi hun kyunki ane wale kal se hun anjaan…
jo kal bitaye hain maine.. main hi janata hun unka chehra kitna bhayanak tha…
bas har baar khush ho jaya karta tha…
yahi soch kar ki ye mera kal hi to tha…
aaaj main kushi dhoondhne chala hun..kal ka kya bharosa…
aaj to khuda bhi mere saath hai… kal main khuda ke pass chala jaun to kya bharosa…
kisi ne na samjha ki main wo nahin jo dikhta hun…
wo hi dekha hamesha jo main nahin dikhta hun…
har kisi ko mere khushi bhare chehre ko dekhne ki adat hai…
mujhe bhi ab to har ansun khushi ke dikhane ki adata hai…
kya manga tha khuda se bas apno ka sath.. ek khushi sabke anchal main…
mujhe hi bana diya unke rone ka karan bhi… jod diya unke har dukh ke karan main…
ek kahani dil main chupaye baitha hun.. darta hun koi sunega bhi ki nahin…
sun bhi leta hai to bas humdardi mil jaati hai…
aur badnaseeb hue to shayari samajh kar wah wahi mil jati hai…
ab to dard ko bantne ka ek naya sadhan mil gaya hai…
fir chahe shayari se kyun na mera dard aur badh gaya hai..
pehle to bejubaan tha dard …..
ab to use shabdon se baat karne ka jariya mil gaya hai….
sunane ko to suna dun ek haseen dastaan..
par sabhi ko mera dard sunne main hi maza aagaya hai…
aur muhe shayad sunane ka mauka mil gaya hai….
nahin kehta ki main hun sabse achcha is jahan main….
par kisi ka bura bhi nai chaha jaagte ya khabon main….

Ek Nigah

202.
aaj bhi jaane kyun uska intezaar rehta hai…
aaj bhi jaane kyun dil usse milne ko bekarar hai…
ek nazar bhar ke bhi nahin dekhte wo ab…
meri nazren jane kyun ek deedaar ko betaab hai…

203.
Unka chehra hai ya koi aine main chaand ka aks hai…
humain to Har ada chaand ki tumhi se lagti hai…
Kabhi poonam to jaise khushi aur arjoo se bhara noor…
Kabhi aadhaa to thoda sa gumgeen thoda sa udaas majmoon…

204.
Wo kehte hain pyar main tumne aisa kya kar diya…
unka Ek baar kahna tha, aur humne unhe chor diya…
hum khushi se jaan dedete agar kehte…
aur unhone humain jinda hi “chor” diya…

205.
ye kaali raat ke andhere main bhi apna pan hai..
din ke ujaale main to log paraye nazar ate hain…
mana kiski se na milne ka dukh to kam nahin hota hai…
par usse mil ke bichad jaane ka gum bardasht nahin hota hai…

206.
har roz dil ka haal lafzon main utaar ke rakh deta hun….
har lafz par ek ansun ka katra kho deta hun…
na jaane kyun in ankhon main fir se nami hai….
jab roj teri yadon ko apne ashkon se baha deta hun…

ab to main bhi sawan ka sataya lagta hun…

207.
koi parwana bhi meri jindagi ko nahin badlega…
wo to ek baar jalta hai main to har lamha jala karta hun…

208.
Duniya ko nahin fark padta koi…
main jeeta hun ya marta hun…
tumse umeed lagayi thi…
tum bhi duniya waale hi nikle…

209.
Itna to pata tha mera sath chor jaoge…
par ye andaaza na tha ki itna door chale jaoge…
sab nishaniya pyar ki fanah kar jaoge…
par is dil se khud ko kaise nikal paoge…

210.
kahiye kya jaroorat hai charagon ki humain…
jalne ko to humara dil bhi khak hua hai…
iska andaaz bhi nahin tumhain…
kitna khauf hai roshni se ab humain…

211.
Khudaya ve…mera ishq bhi kitna ajeeb…
na hi mera koi raqeeb ….
na hi wo mere kareeb…
fir bhi Jinda hun main bad naseeb…
jaane kaunsi hai ek umeed…


212.
bas ek khwab main jiya… haqikat main to jindagi kahan thi…
har khushi ko khwab main hi dekha… haqikat to khushi ke kareeb kahan thi…
khwabon main dekha hai sab behtareen… haqikat main to kamchalau bhi kahan thi…
haqikat to haqikat hi thi… mera khwab kahan thi…

213.
har baat aahon main reh jaati hai…
har bol sanson main atak jaate hain…
main khud se kahun na kahun ek bhi raaj…
meri nigahon main chupe khayalat bayan kar jate hain…
bas jee lete hain ye meri jindagi jo hai…
nahin to haqiqat main jindagi bas naam ki reh gayi hai…
jiye hain jo jakhm, unke nasoor to nahin…
bas unki yaden tanhai main tadpaane ko reh jati hain…

(har baat ahon main reh jati hai…
har bol sanson main atak jaate hain…
main kahun na kahun ek raaj…
meri shayari bayan kar jaati hain…
bas jeete hain jindagi hai…
nahin to haqiqat main jindagi bas naam ki reh gayi hai….
jiye jakhmo ke naasoor to nahin…
bas unki yaden tadpane ko reh jaati hain…)

214.
nikle to phool ki talaash main the…
kanton se daman bhar gaya…
aur wo jo kichad main rehte the….
unhe kamal ka phool mil gaya….

215.
jise bhi humane chaha wo humain chor chale…
jisse bhi umeed lagai wahi na umeed kar chale…
humain jindagi ki  chah kahan thi…
aur maut ke saye bhi humain jinda hi chor chale…
bharosa kya karen begano ka…
humain to apne hi daga de chale…
har baar kismat se samjhota kiya humnain…
aur waqt ke har lamhe bina samjhote ke chalte chale…
jinke bharose jeete the wahi jete ji humain maar chale…

216.
Kisse kahaniyan nahin…haqiqat hai jindagi ye meri….
kabhi pariyan ya jadugar nahin…bas zara si khushi ki chahat hai meri…

217.
tujhe dil se nikalna asan nahin…
teri yadon ko bhulana mumkin hi nahin….
asia lagtahai hai dil main teri yaden hain, meri dhadkan nahin…
sason main bas teri khushboo hai aur kuch bhi nahin…

218.
bhool jaane ko to bhool jayen tumhen..
bas shuruwat khud ko mitane se karni hai…
kehne ko to dil hai mera apna, kaise dedun tumhen…
bas is dard ka ant tere ashiyane ko dil se mitane se karni hai…

219.
naina nihaare re tere neele naina….
mera mann na maane re mera kehna….
deedon main mere chilka hai tere noor ka…
bas akhri jalwa tere naksh ho naseeb aur koi nazara nahin dekhna…
dard –e-dil hi kafi jivan main kuch aur nahin sehna…

220.
humain aisa bhi kya kar diya aaj kal …
ki sab ne bheed main alag sa kar rakkha hai…
humne to fir bhi nakaab odha logon ne to chehron pe chehra laga rakkha hai… samajh ka nazariya hi kuch aisa hai…
jab dil hi kaale hain to chehron main kya rakhkha hai…

Yeh bhi padhe: ghazhab hota, chaho agar, sab se milta hun , PTA NAHI KAISE LIKHNE LGA HOON,

Chaho Agar

Mere likhe hue sher part-8 , chaho agar koi pyara sa insaan,chaho agar ek pyari si muskaan,chaho agar ek pyara sa dil,jis dil main ho tumhari pehchaan,to sahi chuna hai tune mujhe

141. kat rahi hai jindagi kaat raha hun…
kuch apne kuch paraye rishte apne kandhon par dho raha hun…
koi sochta hai kuch achcha bhi mera ..
to uski kya galti jo bura hi hota hai mera…
nikal lunga yun hi  hanste hue main jindagi ka safar…
jindagi ka pata nahin maut ko to bana lunga humsafar mera…

142. Mera dil todkar tune kuch bura toi nahin kiya…
ab har tukda ek seene main dhatakta hai…

143.mujhse na poocho unki nazron main jaake dekho ..
aj mere saath nahin par mujhe dhoondhti to hai…
haal mera nahin unka bhi dekho…
wo mere nahin hai.. par mera dil to unka hi hai…

144.Mat pooch mere dost meri maut ke nazaare hain hazaar…
Ek choti si maut se mera kya hoga…

145.Pyar
ek haseen lamha ya lamho ki kadi…
lamhon ki kadi ya janzeer…
mazboot janzeer ya kamzor kadiyan…
kamjor kadi ya dil ki lagi…
ye dil ki lagi ya dillagi…
dillagi hi  main dil kho gaya…
dil kho gaya ki mila naya thikana…
dil ka theekana mera ya uska bhi hai…
wo mera paraya hai aur main uska hi hai…

146.bas dhundhli si yaad hai baaki…
bas unka ek ehsaas hai baki…
Berukhi ka shikaar hua hun…
Bas shikaar ki maut hai baaki…

147.Is Tofano se bhari jindagi ke saagar main wo mera sathi tha…
wo mera majhi tha par humsafar nahin tha…
meri jindagi ki nav ko kinaare lagake use chor ke jaana hi tha…
wo chor gaya beech majhdaar main hi toofano main akela…
majhi main humsafar dhoondha to ye to hona hi tha…
chalo ab tairna bhi aagaya pehle to bas doobna hi ata tha…

148.humain bhi pata hai wo sahi nahin hai
unhe bhi pata hai ki hum galat nahin hain..
yuhi ek pal main chor diya unko…
dil tod diya mera ki sheesha nahin hain…

149.chalna to chahat hun par paon hi nahin hai…
udna main chahata hun par pankh hi nahin hai…
rona main chahata hun par ankhon main ansun hi nahin hai…
chal to lun bina paon ke bhi par koi sahara hi nahin hai…
ud to lun sapno main hi par ab koi sapna bhi nahin hai..
ro to lun kisi aur ke dukh par… na jaane kyun mere siwa koi ab dukhi bhi nahin hai…

150.Ye kaisa pyar hai ki jata nahin
Nafrat hai tumse ki pyar nahin…
Ladai bhi tumse baat bhi tumse
Bas ab teri yaad hai tera saath nahin…

151.Hogaya ab wahi jo hona nahin chahiye tha…
khogaya ab wohi jo khona nahin chahiye tha…
karna hai ab wahi jo karna nahin chahiye tha…
bas milta hi nahin jo mujhe chahiye tha…

152. tu bewafa hai ye to main nahin janta…
main galat tha ya tu galat ye bhi main nahin janta..
janta hun to bas itna ki tujhe bhoolna nahin janta…
meri jindagi tere bina ek pal bhi bitana nahin janta…

153.paas hi baithe hain par kitni dooriyan hai…
dekhte hain mujhko par nazren kahin aur hain…
pehle nazroon ka dayra bhi chota na tha…
ab to dil ke dayre main bhi koi aur hai…

154.hum to dhoondhte hain bahane mehkhane bhi jana tha…
kabhi khushi to kabhi gum bhi bahana tha…
kabhi main to kabhi koi aur bhi bahana tha…
bas peena tha mujhe tu to bas ek bahana tha…

155.Mujhe tu kya poochta hai pyar ke maane…
main to khud dhoondh raha hun mohabbat ke paimaane…
is saagar main na utarna tairne ke bahaane…
yahan to kood ke aana hai sirf doobjaane…

156.chaho agar koi pyara sa insaan,
chaho agar ek pyari si muskaan,
chaho agar ek pyara sa dil,
jis dil main ho tumhari pehchaan,
to sahi chuna hai tune mujhe,
Parchayi nazar ayegi usiki jo dekho meri ankhon main.

157.pyar karna bhi aasaan nahin tumse…
chor dena to mumkin hi nahin ek bar jo mil liya tumse…
lo Pyar to kar liya hai beshumar tumse…
par chorne ki choti si koshish bhi nahin ho pati humse…

158.Ek andaaj ye bhi hai humara….
kuch dard hai unka kuch saath hai humara…

159.
Maine kya khoya maine kya paya…
sochne biatha to bas itna paya…
ki sochta raha kya hai khona pana…
to kahin aisa na ho jaye…
wo bhi khodun jo badi mushkil se hai paya…

160.
Jo bhoolne layak tha…
wo to kisi layak hi nahin tha…
use bhooljana hi behtar hai..

Read This Also: Sabkuch lut Gaya, Dil Main Armaan, Ghazhab Hota,

Sabkuch lut gaya

sabkuch lut gaya sabkuch manga tha par kuch na mila…kuch na lutane ka socha tha par sabkuch lut gaya … baki mujhme kuch na raha sabkuch , likhe hue sher………..

101. tere har ashk par mujhe bhi rona aya…
jab tujhe gussa aya jane mujhe bhi kyun gussa aya…
har waqt teri khushi ka hi khayal aya…
in jajbaton ko tu kabhi samajh nahin paya…
tujhe bhi mujh par pyar aye…
bas yahi khwab har raat sone par aya…
ab tujhe bhulane ka waqt hai aya…
der se hi sahi par ye khayal bhi mujhe abhi aya…

102. tera haath thaam kar in ishq ki galiyon main kadam rakh liya hai…
beech rah main jaane kyun tune apna daaman chura liya hai…
hum to abhi bhi inhi galiyon main bhatak rahe hai…
shayad tujhe apni manjil ka thikana mil gaya hai…

103. har lamha teri yadon main guzaara hai…
har intezaar teri yadon se sajaya hai…
har yaad par tujhko hi pukara hai…
har pukaar ke baad fir intezaar hi sahara hai…

104.dhadhakte armano se dil to mera hi jalta hai…
har armaan par ek ansun to mera hi chalakta hai…
duniya ke liye to atishbazi ka sa tamasha hai…
ghar to yaron phir bhi mera hi jalta hai…

105.neend ye kambhakt kyun ati nahin…
jaan ye kambhakt kyun jati nahin…
roro ke dil mera kyun bharta nahin…
hansne ki baari bhi kambhakt ati nahin…

106.chooti jo unki gali…
veerano main bhatak raha hun..
choota jo unka saath to…
tanhaiyon main jee raha hun…
choota jo uska nazaara…
jindagi ki door dheeli kar raha hun…
talash to jari hai…
choota hua dhoondh raha hun…

107.jindagi khatam nahin hoti ek patthar se thokar khakar…
fir khade ho gaye hain rahon main tera saath paakar…

108. suraj to roj nikalta hai bas mera hi savera nahin hota…
main hamesha se tera hi tha tu hi ek pal ke liye mera nahin hota…

109. rooth ke wo mujhse baitha hai… shayad meri hi khata hai…
ab berukhi hi sehna hai mujhe… shayad yahi meri saja hai…

110.ab dil tut bhi jaye to kya, ab mera nahin hai…
wo chhoot bhi jaye to kya, ab mera nahin hai…
har lamha wo mera tha… tha, ab mera nahin hai…

waise bhi kya fark pad jayega, jab mera hi nahin hai…

111. jaane kya hua sab mere dukh main dukhi se nazar ate hain…
ab to hawa mai udte patte bhi chatpatate nazar ate hain…

112. rah ke patthar ko thokar na maar…
shayad ye unka dil bhi ho sakta hai…
un pattharon ko yun hata na rahon se…
ki banana hai ghar inhi pattharon se isi rah par…

113. humain to dhokon ki adat si ho gayi hai…
kabhi jindagi to kabhi maut bhi dhoka de jati hai…
jao ab na jindagi ki jaroorat hai na marna chahata hun…
bas ab ye kashmakash na ho ye khwaish hai dil main…

114. chal mere dil apne arman kahi dafn kar chal…
jab bhi nikla hai ek arman kisi nain kuchla hai har pal…
bas bahot hua ab na rona hai aur ek pal…
tu hi tera sahara hai tu hi khud sambhal…

115. Sabkuch manga tha par kuch na mila…
kuch na lutane ka socha tha par sabkuch lut gaya
baki mujhme kuch na raha sabkuch to mera usnain chura liya…
ab to bas kuch gum hain kuch yaden hain jise apna sabkuch bana liya…

116. unki yadon ke aane ka kya kahe kuch hisaab hi nahi…
kabhi puchega to kya jawaab dunga…khud mere paas hi jawaab nahin…
kya jindagi main sason aur dil main dhdkan ko ginne ka bhi tareeka hai kahin…

117. kaun kehta hai main tanha nahin rehna chahata…
main to teri yadon mai…
tere khayalon mai…
tere dil ki gehrayion mai…
tere din mai…
teri raaton mai…
tere khwabon mai…
tere baton mai…
teri nazaron mai..
teri pasand mai…
teri khwaishon mai…
teri ankhon ke samandar mai…
teri bahon mai…
tu jise chahe un naamo mai…
kuch khon ke darr mai…
teri khushiyon mai…
teri kamyabiyon mai…
tere junoon mai…
teri pagal pan mai…
teri masti mai…
tere dukh bantane walon mai…
tere nakhre uthane walon mai…
tere sang jindagi bitane walon mai…
tere saath jeene mai…
tere saath marne mai…
tujhse judi har cheeze mai har waqt, har lamha, har pal main tanha rehna chahta hun mai…

118. yun dhalte din ko dekh kar.. yun dhalte suraj ko dekh kar…
mera bhi dil bhuja bhuja sa hai…
par fir dil main ek ummeed bhi hai…
naye chadte din ur ugte suraj ko dekh kar…

119. Gum ke sahare ki talash thi tujhse takra gaya…
Mohabbat ki talash thi tujhse takra gaya…
Khud se bhagta raha jindagi bhar yu hi…
jab apno ki talash main nikla to tujhse takra gaya…
jab Jindagi ki talash main nikla to tujhse takra gaya…

(bahot tadpa hun dardon ke ghere main…
Gum ke sahare ki talash nikla to tujhse takra gaya…

rote rote ankhon ke ansun bhi peegaya main…
Jab khushi ki talash main nikla to tujhse takra gaya…

nafraton ki barish main bheegta raha main…
Mohabbat ki talash nikla to tujhse takra gaya…

Khud ke saye se bhi bhagta raha main…
jab apno ki talash main nikla to tujhse takra gaya…

kya jeena mera, bas jinda tha main…
jab Jindagi ki talash main nikla to tujhse takra gaya…)


120.
dil kehta hai unka pegam jaroor ayega…
par unhe apne pegam padhne se fursat hi kahan…
intezaar hai unke ek khat ka par…
shayad ye khat likhne ka waqt bhi unke pass kahan…
shayad ye khat bhi mere naseeb main kahan…

Vaibhav Agarwal Mere likhe hue sher part 6