Pta nahi kaise main likhne lga hoon part 15, bhool jata hun kabhi bhool se kabhi jaan kar bhool jata hun
281.
bhool jata hun…
kabhi bhool se kabhi jaan kar bhool jata hun…
uski wo aankhen wo muskurahat…
wo masoom chehre pe padte kale baalon ki wo lat…
kabhi uska naam bhi bhool jata hun…
wo thi saamne to palke jhapkana bhoool jata tha…
ab teri tasveer ki pehchaan bhi bhool jata hun…
use dekh duniya bhool jata tha..
ab uski banayi duniya hi bhool jata hun…
roj sochta hun mar jao,ek din saanse lena bhool jata hun…
bas ek tere khayal se saare khayal bhool jata hun…
282.
main nahin janta wo kya tha…
jindagi main ek chota sa waqt ya chote se waqt main zindagi..
yun to sab sathi choot gaye jeene ki daud main…
silsaly rishton ke jo jode the kabhi doston se…
abhi baaki hai dil-o-dimaag main yadoon ki tarah…
main nahin janta wo kya tha…
chote se waqt main zindagi thi ya jindagi main ek chota sa waqt tha..
yun to sab sathi choot gaye zindagi ki rahon mai daudna tha…
silsala rishton ke jo kabhi doston se jode tha …
guzar jaane par laga waqt khushi ka kuch kam tha…
main nahin janta wo kya tha…
bas jo bhi tha kaash thoda aur hota…
283.
suni ansuni… na suni… na sahi
kahi na kahi…na kahi… na sahi
ek tu hi sahi… sahi na sahi… na sahi
suni ansuni… na suni… na sahi
meri kahi unkahi baten tune suni ya na suni to koi baat nahin
kahi na kahi…na kahi… na sahi
tune mujhe kuch kaha nahin ya jataya nahin to koi baat nain
ek tu hi sahi… sahi na sahi… na sahi
tu har baat main sahi hai bhale wo sahi ho ya na ho koi baat nahin…
284.
aaj bayan-e-haal-e-dil likhne ko alfaaj nahin hai..
kabhi kehete kehte lafz kam reh jaate the..
lagta hai kahani main naya mod chahiye..
lagta hai mujhe shayad ek saathi chaiye…
bohot intezaar kiya uska jo nazar bhi nahin ata …
abhi to bas aur intezaar hi nazar ata hai…
bas ek asra hai umeed ka meri ankho ko…
bas dil ko dhadakna aur sapne dekhna hi to ata hai..
285.
dil ke in virano main bhatakte mere khayal hain…
na ummeed ki roshni na hoslon ke sahare hain.
akelepan ki ghabrahat or tanhayi ki khamoshiyan hain..
anjaan manjil ki talaash main firte hain maikhano main..
in andheri kismat ke rahon main sirf mayusi ke saye hain..
286.
dard ye nahin ki hum mile nahin…
dard ye hai ki hum mile hi kyun…
buri mujhe teri adat nahin…
bura ye ki mujhe teri adat hi kyun…
bura tumhara chor jana nahin…
bara ye ki tum kuch der saath chale hi kyun..
mujhe darr pyar se nahin…
darr ye hai ki pyar main bichadna kyun…
287.
ye nazar yun bhi nazarandaaz nahin tere nazaaron ki…
khata baksh do humari is nacheez si jaan ki…
na alfaj hai na aukaat teri khoobsoorti bayan karne ki…
mayassar nahin humain nazrana tere naskh-o-noor-e-deedar bhi…
magar fir bhi namumkin si zidd hai teri tasveer ko tujhsa haseen banane ki…
288.
tere intezaar mein hum, tere khayalon main hi kho gaye…
tujhe milne ko hum do ganta pehle hi pohunch gaye…
abhi to tere ane ka wqat bhi nahin hua…
hum to abhi se bewajah besabre se ho gaye…
na jane tujhse milne par kya alam hoga…
hum to mulakaat se pehle hi itna ghabra gaye….
wo pehli mulakat ka asar ab tak hai mujhpar…
tere sang mere kimti saman bhi tere saath ho gaye…
289.
be-karar dil be-karar dhadkan…
bechain nazar bechain se nazaare…
bheegi palke bheegi ankhen…
betaab yaaden betaab sa intezaar…
is bedum si yadoon ke bojhil se intezaar main…
bheegi hai pakle bheegi hai ankhen…
tere bechain nazaare ko ye nazar bechain..
na bas mere dil pe na bas main meri dhadkane…
290.
unche udaan ke unche unche armaan…
khayalon ke pankh sapno ka aasmaan…
kisi ke dil par raaj karne ki tammana
to kisi pe mar mit jaane ki khawaishen…
sapno ka bada sa mahal umeed ki kirno se roshan…
jahan har khidki se taza khushi ki fiza behti hai…
jahan har darwaja se ek khushnuma safar shuru hota hai…
jannat kise kehte hain ye nahin janta…
kuch aisa hi hoga gar yun mukkammal ho mera jahan…
291.
sambhal sambhal ke chalo kahin thokar na lag jaye…
sirf phool hi uthao hathon main kahin moch na ajaye…
mujhe ab dard nahin hota gar khanzar bhi seene main utar jaye…
par jaan nikal jaati hai gar tere munh se aah bhi nikal jaye…
292.
usnain mujjhe nazarandaaz kar diya ye gum nahin…
gum ye hai ki is berukhi ke fizool bahane bana diye…
humain to sirf do baat ki arjoo thi…
unhone do baton main alvida keh diya…
293.
fir wahi… fir yun hi…
un hi rahon main fir…
purane dost… purani chaddar…
puare ghar se bhag aya tha sheher main…
aaj wahin laut aya hun fir ussi bad-o-dar par….
294.
ye meri khata nahin… jo tujhse nazar hat ti hi nahin…
koosoor is dil ka hai.. iski hasrat poori hoti hi nahin…
295.
har khushi har fiza har sabaa tumhe sehlati rahe…
har ada har leher har gulshan tujhpe meherbaan rahe…
pyar ke mehal main sadaa ek rani tu rahe…
gum se juda teri jindagani rahe…
bas yahi hai dua meri tu jahan bhi rahe muskurati rahe…
296.
khelte hain khilona samajh kar…
todte hain aina samajh kar…
jab jee main aye to ate hain jab chahe chale jaate hain…
yun maza karte hain dharamshaala samajh kar….
ye dil dil hai mera pyar ka mara hai…
isse beijjat na karo patthar samajh kar…
297.
lamha lamha wo mere lamhe chura raha hai…
abhi yahin kahin thi udasi tere noor se ye dhukh door ja raha hai…
kisi akelepan ka mara.. ab har khayal main sirf tu a raha hai..
bas teri har dua kabool ho mera dil yahi dua kar raha hai
298.
na kaho kabhi tere dil ko ghar bana rakkha hai…….
mera dil ka har kona jindahai.. pyar se bhara hai…
ye koi ghar nahin….
ghar to lakadi mitti aur patthar ka bana hota hai…
299.
un rahon pe padi mitti pe kadmo ke nishann chod aye the….
ab na wo dhool hai na dhool pe mere nishaan…
kabhi ehsaas tha unhe humare eh taram ka…
ab har ehsaas unka lagta hai mujhe ehsaan…
300.
hum jo jaan diye baithe hain uska khayal nahin….
mere tadapte lamhon ke karhane ki sunwayi nahin…
bas ek dil ek jaan liye baite ye jindagi ka koi thikana nahin…
marne ko na ek mutthi jameen hai aur jeene ko ek saans ki hawa nahin…
Read this also: chaho agar, pta nahi mujhe, pta nahi main, ek nigah