Posts tagged vaibhav ki shayri

Ek nigah

Pta nahi kaise likhne lga hoon ek nigah part 11

201. Ek Nigah
ek nigah bhar dekha bhi nahi aur bas ek aur din yun hi chala gaya…
fir kuch kehna tha.. fir wahi mann main reh gaya…
ek ansun in ankhon se nikal jaye to rok leta hun…
kisi apne ka khayal kar leta khush ho leta hun…
ek nigah main ane ko kisi ki machal jaate hain armaan…
ek nigah bhar ke to koi dekhe… fir maange to khushi se dedun apni jaan…
bahaot dino baad fir udas hua hai mann..
baat ye nahin ki kuch bura hua hai fir aaj…
bas dukhi hun kyunki ane wale kal se hun anjaan…
jo kal bitaye hain maine.. main hi janata hun unka chehra kitna bhayanak tha…
bas har baar khush ho jaya karta tha…
yahi soch kar ki ye mera kal hi to tha…
aaaj main kushi dhoondhne chala hun..kal ka kya bharosa…
aaj to khuda bhi mere saath hai… kal main khuda ke pass chala jaun to kya bharosa…
kisi ne na samjha ki main wo nahin jo dikhta hun…
wo hi dekha hamesha jo main nahin dikhta hun…
har kisi ko mere khushi bhare chehre ko dekhne ki adat hai…
mujhe bhi ab to har ansun khushi ke dikhane ki adata hai…
kya manga tha khuda se bas apno ka sath.. ek khushi sabke anchal main…
mujhe hi bana diya unke rone ka karan bhi… jod diya unke har dukh ke karan main…
ek kahani dil main chupaye baitha hun.. darta hun koi sunega bhi ki nahin…
sun bhi leta hai to bas humdardi mil jaati hai…
aur badnaseeb hue to shayari samajh kar wah wahi mil jati hai…
ab to dard ko bantne ka ek naya sadhan mil gaya hai…
fir chahe shayari se kyun na mera dard aur badh gaya hai..
pehle to bejubaan tha dard …..
ab to use shabdon se baat karne ka jariya mil gaya hai….
sunane ko to suna dun ek haseen dastaan..
par sabhi ko mera dard sunne main hi maza aagaya hai…
aur muhe shayad sunane ka mauka mil gaya hai….
nahin kehta ki main hun sabse achcha is jahan main….
par kisi ka bura bhi nai chaha jaagte ya khabon main….

Ek Nigah

202.
aaj bhi jaane kyun uska intezaar rehta hai…
aaj bhi jaane kyun dil usse milne ko bekarar hai…
ek nazar bhar ke bhi nahin dekhte wo ab…
meri nazren jane kyun ek deedaar ko betaab hai…

203.
Unka chehra hai ya koi aine main chaand ka aks hai…
humain to Har ada chaand ki tumhi se lagti hai…
Kabhi poonam to jaise khushi aur arjoo se bhara noor…
Kabhi aadhaa to thoda sa gumgeen thoda sa udaas majmoon…

204.
Wo kehte hain pyar main tumne aisa kya kar diya…
unka Ek baar kahna tha, aur humne unhe chor diya…
hum khushi se jaan dedete agar kehte…
aur unhone humain jinda hi “chor” diya…

205.
ye kaali raat ke andhere main bhi apna pan hai..
din ke ujaale main to log paraye nazar ate hain…
mana kiski se na milne ka dukh to kam nahin hota hai…
par usse mil ke bichad jaane ka gum bardasht nahin hota hai…

206.
har roz dil ka haal lafzon main utaar ke rakh deta hun….
har lafz par ek ansun ka katra kho deta hun…
na jaane kyun in ankhon main fir se nami hai….
jab roj teri yadon ko apne ashkon se baha deta hun…

ab to main bhi sawan ka sataya lagta hun…

207.
koi parwana bhi meri jindagi ko nahin badlega…
wo to ek baar jalta hai main to har lamha jala karta hun…

208.
Duniya ko nahin fark padta koi…
main jeeta hun ya marta hun…
tumse umeed lagayi thi…
tum bhi duniya waale hi nikle…

209.
Itna to pata tha mera sath chor jaoge…
par ye andaaza na tha ki itna door chale jaoge…
sab nishaniya pyar ki fanah kar jaoge…
par is dil se khud ko kaise nikal paoge…

210.
kahiye kya jaroorat hai charagon ki humain…
jalne ko to humara dil bhi khak hua hai…
iska andaaz bhi nahin tumhain…
kitna khauf hai roshni se ab humain…

211.
Khudaya ve…mera ishq bhi kitna ajeeb…
na hi mera koi raqeeb ….
na hi wo mere kareeb…
fir bhi Jinda hun main bad naseeb…
jaane kaunsi hai ek umeed…


212.
bas ek khwab main jiya… haqikat main to jindagi kahan thi…
har khushi ko khwab main hi dekha… haqikat to khushi ke kareeb kahan thi…
khwabon main dekha hai sab behtareen… haqikat main to kamchalau bhi kahan thi…
haqikat to haqikat hi thi… mera khwab kahan thi…

213.
har baat aahon main reh jaati hai…
har bol sanson main atak jaate hain…
main khud se kahun na kahun ek bhi raaj…
meri nigahon main chupe khayalat bayan kar jate hain…
bas jee lete hain ye meri jindagi jo hai…
nahin to haqiqat main jindagi bas naam ki reh gayi hai…
jiye hain jo jakhm, unke nasoor to nahin…
bas unki yaden tanhai main tadpaane ko reh jati hain…

(har baat ahon main reh jati hai…
har bol sanson main atak jaate hain…
main kahun na kahun ek raaj…
meri shayari bayan kar jaati hain…
bas jeete hain jindagi hai…
nahin to haqiqat main jindagi bas naam ki reh gayi hai….
jiye jakhmo ke naasoor to nahin…
bas unki yaden tadpane ko reh jaati hain…)

214.
nikle to phool ki talaash main the…
kanton se daman bhar gaya…
aur wo jo kichad main rehte the….
unhe kamal ka phool mil gaya….

215.
jise bhi humane chaha wo humain chor chale…
jisse bhi umeed lagai wahi na umeed kar chale…
humain jindagi ki  chah kahan thi…
aur maut ke saye bhi humain jinda hi chor chale…
bharosa kya karen begano ka…
humain to apne hi daga de chale…
har baar kismat se samjhota kiya humnain…
aur waqt ke har lamhe bina samjhote ke chalte chale…
jinke bharose jeete the wahi jete ji humain maar chale…

216.
Kisse kahaniyan nahin…haqiqat hai jindagi ye meri….
kabhi pariyan ya jadugar nahin…bas zara si khushi ki chahat hai meri…

217.
tujhe dil se nikalna asan nahin…
teri yadon ko bhulana mumkin hi nahin….
asia lagtahai hai dil main teri yaden hain, meri dhadkan nahin…
sason main bas teri khushboo hai aur kuch bhi nahin…

218.
bhool jaane ko to bhool jayen tumhen..
bas shuruwat khud ko mitane se karni hai…
kehne ko to dil hai mera apna, kaise dedun tumhen…
bas is dard ka ant tere ashiyane ko dil se mitane se karni hai…

219.
naina nihaare re tere neele naina….
mera mann na maane re mera kehna….
deedon main mere chilka hai tere noor ka…
bas akhri jalwa tere naksh ho naseeb aur koi nazara nahin dekhna…
dard –e-dil hi kafi jivan main kuch aur nahin sehna…

220.
humain aisa bhi kya kar diya aaj kal …
ki sab ne bheed main alag sa kar rakkha hai…
humne to fir bhi nakaab odha logon ne to chehron pe chehra laga rakkha hai… samajh ka nazariya hi kuch aisa hai…
jab dil hi kaale hain to chehron main kya rakhkha hai…

Yeh bhi padhe: ghazhab hota, chaho agar, sab se milta hun , PTA NAHI KAISE LIKHNE LGA HOON,

Chaho Agar

Mere likhe hue sher part-8 , chaho agar koi pyara sa insaan,chaho agar ek pyari si muskaan,chaho agar ek pyara sa dil,jis dil main ho tumhari pehchaan,to sahi chuna hai tune mujhe

141. kat rahi hai jindagi kaat raha hun…
kuch apne kuch paraye rishte apne kandhon par dho raha hun…
koi sochta hai kuch achcha bhi mera ..
to uski kya galti jo bura hi hota hai mera…
nikal lunga yun hi  hanste hue main jindagi ka safar…
jindagi ka pata nahin maut ko to bana lunga humsafar mera…

142. Mera dil todkar tune kuch bura toi nahin kiya…
ab har tukda ek seene main dhatakta hai…

143.mujhse na poocho unki nazron main jaake dekho ..
aj mere saath nahin par mujhe dhoondhti to hai…
haal mera nahin unka bhi dekho…
wo mere nahin hai.. par mera dil to unka hi hai…

144.Mat pooch mere dost meri maut ke nazaare hain hazaar…
Ek choti si maut se mera kya hoga…

145.Pyar
ek haseen lamha ya lamho ki kadi…
lamhon ki kadi ya janzeer…
mazboot janzeer ya kamzor kadiyan…
kamjor kadi ya dil ki lagi…
ye dil ki lagi ya dillagi…
dillagi hi  main dil kho gaya…
dil kho gaya ki mila naya thikana…
dil ka theekana mera ya uska bhi hai…
wo mera paraya hai aur main uska hi hai…

146.bas dhundhli si yaad hai baaki…
bas unka ek ehsaas hai baki…
Berukhi ka shikaar hua hun…
Bas shikaar ki maut hai baaki…

147.Is Tofano se bhari jindagi ke saagar main wo mera sathi tha…
wo mera majhi tha par humsafar nahin tha…
meri jindagi ki nav ko kinaare lagake use chor ke jaana hi tha…
wo chor gaya beech majhdaar main hi toofano main akela…
majhi main humsafar dhoondha to ye to hona hi tha…
chalo ab tairna bhi aagaya pehle to bas doobna hi ata tha…

148.humain bhi pata hai wo sahi nahin hai
unhe bhi pata hai ki hum galat nahin hain..
yuhi ek pal main chor diya unko…
dil tod diya mera ki sheesha nahin hain…

149.chalna to chahat hun par paon hi nahin hai…
udna main chahata hun par pankh hi nahin hai…
rona main chahata hun par ankhon main ansun hi nahin hai…
chal to lun bina paon ke bhi par koi sahara hi nahin hai…
ud to lun sapno main hi par ab koi sapna bhi nahin hai..
ro to lun kisi aur ke dukh par… na jaane kyun mere siwa koi ab dukhi bhi nahin hai…

150.Ye kaisa pyar hai ki jata nahin
Nafrat hai tumse ki pyar nahin…
Ladai bhi tumse baat bhi tumse
Bas ab teri yaad hai tera saath nahin…

151.Hogaya ab wahi jo hona nahin chahiye tha…
khogaya ab wohi jo khona nahin chahiye tha…
karna hai ab wahi jo karna nahin chahiye tha…
bas milta hi nahin jo mujhe chahiye tha…

152. tu bewafa hai ye to main nahin janta…
main galat tha ya tu galat ye bhi main nahin janta..
janta hun to bas itna ki tujhe bhoolna nahin janta…
meri jindagi tere bina ek pal bhi bitana nahin janta…

153.paas hi baithe hain par kitni dooriyan hai…
dekhte hain mujhko par nazren kahin aur hain…
pehle nazroon ka dayra bhi chota na tha…
ab to dil ke dayre main bhi koi aur hai…

154.hum to dhoondhte hain bahane mehkhane bhi jana tha…
kabhi khushi to kabhi gum bhi bahana tha…
kabhi main to kabhi koi aur bhi bahana tha…
bas peena tha mujhe tu to bas ek bahana tha…

155.Mujhe tu kya poochta hai pyar ke maane…
main to khud dhoondh raha hun mohabbat ke paimaane…
is saagar main na utarna tairne ke bahaane…
yahan to kood ke aana hai sirf doobjaane…

156.chaho agar koi pyara sa insaan,
chaho agar ek pyari si muskaan,
chaho agar ek pyara sa dil,
jis dil main ho tumhari pehchaan,
to sahi chuna hai tune mujhe,
Parchayi nazar ayegi usiki jo dekho meri ankhon main.

157.pyar karna bhi aasaan nahin tumse…
chor dena to mumkin hi nahin ek bar jo mil liya tumse…
lo Pyar to kar liya hai beshumar tumse…
par chorne ki choti si koshish bhi nahin ho pati humse…

158.Ek andaaj ye bhi hai humara….
kuch dard hai unka kuch saath hai humara…

159.
Maine kya khoya maine kya paya…
sochne biatha to bas itna paya…
ki sochta raha kya hai khona pana…
to kahin aisa na ho jaye…
wo bhi khodun jo badi mushkil se hai paya…

160.
Jo bhoolne layak tha…
wo to kisi layak hi nahin tha…
use bhooljana hi behtar hai..

Read This Also: Sabkuch lut Gaya, Dil Main Armaan, Ghazhab Hota,

Sab se Milta Hun

sab se milta hun , wohi karte hain jo unko hai pasand bhale hi galat kyun na ho…wohi soch lete hain jo unki soch hai bhale hi galat kyun na ho…

121. sab se milta hun…bahot hansta bhi hun…
par jab bhi tujhse milta hun…
aankh main ek ansun hota hai…jise tujhse hi chupata hun…
jise jindagi samajhta hun… usse hi jhooth bolta hun…
jaane in aansuon ko kiska intezaar hai… par uske saamne nahin ro sakta hun…
kabhi to samajh jao mere armano ko… waise to main bhi inhe samjhaata hun… bas yu hi main sab se milta hun

122. pyar to kar liya yun hi maine…
na socha na samjjha ek pal bhi maine…
ab samajh aya hai pyar sirf kiya tha maine…
kiya bhi to kisse kiya pyar maine…
bewafa hi hoti to samjhaleta khud ko…
yahan to wafa main bhi dhoka khaya hai maine…
par abhi bhi umeed nahin chori hai maine…
shayad galti hi koi ki hogi maine…

123. baton ka silsila to abhi shuru hi hua tha…
wo fir chale gaye baat adhoori chor kar…
abhi to mujhe apna haale dil bayan karna tha…
bas chor gaye tadapte hue mujhe apne haal par…

124. chalo ek aur raat gujri.. lo fir naya savera hai…
chalo ek aur ansun bahaya hai maine.. lo fir mera dil muskuraya hai…
chalo ek aur baar thukraya hai tune.. lo fir maine tujhe apnaya hai…
chalo ek baar fir mera saath diya tune.. lo fir ada kiya shukriya hai…

125.lo mujhe koi apna sa mil gaya…
mera har sapna sa khil gaya…
ab fir se jaagna nahin chahata…
maut main bhi jindagi ka ehsaas sa mil gaya…

126.intezaar unko bhi hai meri dhadkano se nikalte unke naam ko sunne ka…
betab wo bhi hai mere khayalon main unke ehsaas ko janne ka…
bas dikhate nahin hain kabhi apne chehre pe…
par intezaar unko bhi hamare paigamo main chupa unke like hamare pyar ko jaan ne ka…

127.sunkar teri meethi meethi baten, kano main mishri si ghul rahi hai…
pyar main teri saare jahan ki khusiyan bhi mil rahi hai..
bas yunhi jindagi bhar saath dene ka wada karo…
bas yahi soch kar mere dil ki har kali khil rahi hai…

128.chah kar bhi wo raat nahin bhool pata…
wo haathon main haath, tera saath nahin bhool pata…
saansen lena bhale hi bhool jaun…
par teri sanson ki khusboo nahin bhool pata…

129.bahot pyar dekar bhi dekha…
bahot saath dekar bhi dekha…
duniya se tere liye ladkar bhi dekha…
tere sath sabke liye bura bankar bhi dekha…
bas na dekha to teri ankhon ek pyar ka lamha nahin dekha…
teri ankhon main pyar ka ek sapna bhi dekha….
bas us sapne main kahin mera saya bhi nahin dekha…

130.chal chor diya tujhe bhi apne haal par..
chal choot gaya main bhi apne hi haal par…
ab is haal main bhi behaal sa hun…
par fir bhi hansta hun har haal par…

131.jaane kis hosh main tha main jo madhosh ho baitha…
jaane tu kis madhoshi main tha jo apne hosh kho baitha…
ab na chahata hun ki hosh main aun, na ane dun…
bas ab har pal rahun beshosh sa baitha…

132.har pal chaha hai tujhe, har pal chaunga main tujhe…
har pal na chahun, to koi bahana nahin hai…
har pal hi chahun tujhe, itni deewangi nahin hai…
khud bhi uljhan main hun…har pal chahun na chahun tujhe…

133. jo kat gaya wo majil ka rasta nahin tha…
jo mil gayi wo manjil ka thikana nahin tha…
nikle the jiski ki talash hum akele in rahon main…
wo to kya milna tha uska saya bhi nahin tha…

134. begano main itna kho gaya hun…ki apno ko bhool gaya hun…
begano ki nafrat kahakar bhi unke saath hun…apno ka to pyaar bhi bhool gaya hun…

135.karte hain ansuna par sunna bhi mazboori hai…
sunte hain jo na suna par sunna bhi jaroori hai…
ab chahata hun wo sunna jo reh gaya ansuna…
ab chahata hun kehna jo reh gaya ansuna…

136. wohi karte hain jo unko hai pasand bhale hi galat kyun na ho…
wohi soch lete hain jo unki soch hai bhale hi galat kyun na ho…
har koi galat samajhta tha to seh gaye tera naam lekar bhale hi galat kyun na ho…
aaj tune hi galat keh diya humko, bhale hi har karam tera hi kyun na ho…

137.tere ane par dukhi rehta hun…
tere jaane par khush rehata hun…
tere ane par bichadne ka dukh hota hai…
tujhse bichad kar ek bar fir milna hai ye soch kar khush rehta hun…

138.ek baar fir suna kuch bura..
wo ek baar fir bhool gaye hum…
fir ek baar jo suna bura to…
na fir bol paoge bura tum…

139.Kabhi ankhon dekha bhi sach nahin hota…
kabhi andekha bhi sachcha hota hai…
Jo ankhon se nahin ankhon main dikhe…
wahi pyar sachcha hota hai….

140.Vichaar – Pyar aur Pani
pyar aur pani ka ek hi haal hota hai…
na pani aakaar hai aur Pyar bhi nirakaar hota hai…
ek jeene ke liye jaroori hai to ek jindagi ke liye…
dono ka na rang hai na roop par.. ek jaroorat hai..
dono ki pyas hai… ek baar bhuj bhi jaye to kya fir agle din jaroori hai…
suddha ho to vardaan hai milavat ho to jeher bhi hai…
jis tarah dhalo dhal jate hain rakhne waale ka aakar lelete hain…

vaibhav agarwal mere likhe hue sher bhag-3 sabkuch lut gaya

Sabkuch lut gaya

sabkuch lut gaya sabkuch manga tha par kuch na mila…kuch na lutane ka socha tha par sabkuch lut gaya … baki mujhme kuch na raha sabkuch , likhe hue sher………..

101. tere har ashk par mujhe bhi rona aya…
jab tujhe gussa aya jane mujhe bhi kyun gussa aya…
har waqt teri khushi ka hi khayal aya…
in jajbaton ko tu kabhi samajh nahin paya…
tujhe bhi mujh par pyar aye…
bas yahi khwab har raat sone par aya…
ab tujhe bhulane ka waqt hai aya…
der se hi sahi par ye khayal bhi mujhe abhi aya…

102. tera haath thaam kar in ishq ki galiyon main kadam rakh liya hai…
beech rah main jaane kyun tune apna daaman chura liya hai…
hum to abhi bhi inhi galiyon main bhatak rahe hai…
shayad tujhe apni manjil ka thikana mil gaya hai…

103. har lamha teri yadon main guzaara hai…
har intezaar teri yadon se sajaya hai…
har yaad par tujhko hi pukara hai…
har pukaar ke baad fir intezaar hi sahara hai…

104.dhadhakte armano se dil to mera hi jalta hai…
har armaan par ek ansun to mera hi chalakta hai…
duniya ke liye to atishbazi ka sa tamasha hai…
ghar to yaron phir bhi mera hi jalta hai…

105.neend ye kambhakt kyun ati nahin…
jaan ye kambhakt kyun jati nahin…
roro ke dil mera kyun bharta nahin…
hansne ki baari bhi kambhakt ati nahin…

106.chooti jo unki gali…
veerano main bhatak raha hun..
choota jo unka saath to…
tanhaiyon main jee raha hun…
choota jo uska nazaara…
jindagi ki door dheeli kar raha hun…
talash to jari hai…
choota hua dhoondh raha hun…

107.jindagi khatam nahin hoti ek patthar se thokar khakar…
fir khade ho gaye hain rahon main tera saath paakar…

108. suraj to roj nikalta hai bas mera hi savera nahin hota…
main hamesha se tera hi tha tu hi ek pal ke liye mera nahin hota…

109. rooth ke wo mujhse baitha hai… shayad meri hi khata hai…
ab berukhi hi sehna hai mujhe… shayad yahi meri saja hai…

110.ab dil tut bhi jaye to kya, ab mera nahin hai…
wo chhoot bhi jaye to kya, ab mera nahin hai…
har lamha wo mera tha… tha, ab mera nahin hai…

waise bhi kya fark pad jayega, jab mera hi nahin hai…

111. jaane kya hua sab mere dukh main dukhi se nazar ate hain…
ab to hawa mai udte patte bhi chatpatate nazar ate hain…

112. rah ke patthar ko thokar na maar…
shayad ye unka dil bhi ho sakta hai…
un pattharon ko yun hata na rahon se…
ki banana hai ghar inhi pattharon se isi rah par…

113. humain to dhokon ki adat si ho gayi hai…
kabhi jindagi to kabhi maut bhi dhoka de jati hai…
jao ab na jindagi ki jaroorat hai na marna chahata hun…
bas ab ye kashmakash na ho ye khwaish hai dil main…

114. chal mere dil apne arman kahi dafn kar chal…
jab bhi nikla hai ek arman kisi nain kuchla hai har pal…
bas bahot hua ab na rona hai aur ek pal…
tu hi tera sahara hai tu hi khud sambhal…

115. Sabkuch manga tha par kuch na mila…
kuch na lutane ka socha tha par sabkuch lut gaya
baki mujhme kuch na raha sabkuch to mera usnain chura liya…
ab to bas kuch gum hain kuch yaden hain jise apna sabkuch bana liya…

116. unki yadon ke aane ka kya kahe kuch hisaab hi nahi…
kabhi puchega to kya jawaab dunga…khud mere paas hi jawaab nahin…
kya jindagi main sason aur dil main dhdkan ko ginne ka bhi tareeka hai kahin…

117. kaun kehta hai main tanha nahin rehna chahata…
main to teri yadon mai…
tere khayalon mai…
tere dil ki gehrayion mai…
tere din mai…
teri raaton mai…
tere khwabon mai…
tere baton mai…
teri nazaron mai..
teri pasand mai…
teri khwaishon mai…
teri ankhon ke samandar mai…
teri bahon mai…
tu jise chahe un naamo mai…
kuch khon ke darr mai…
teri khushiyon mai…
teri kamyabiyon mai…
tere junoon mai…
teri pagal pan mai…
teri masti mai…
tere dukh bantane walon mai…
tere nakhre uthane walon mai…
tere sang jindagi bitane walon mai…
tere saath jeene mai…
tere saath marne mai…
tujhse judi har cheeze mai har waqt, har lamha, har pal main tanha rehna chahta hun mai…

118. yun dhalte din ko dekh kar.. yun dhalte suraj ko dekh kar…
mera bhi dil bhuja bhuja sa hai…
par fir dil main ek ummeed bhi hai…
naye chadte din ur ugte suraj ko dekh kar…

119. Gum ke sahare ki talash thi tujhse takra gaya…
Mohabbat ki talash thi tujhse takra gaya…
Khud se bhagta raha jindagi bhar yu hi…
jab apno ki talash main nikla to tujhse takra gaya…
jab Jindagi ki talash main nikla to tujhse takra gaya…

(bahot tadpa hun dardon ke ghere main…
Gum ke sahare ki talash nikla to tujhse takra gaya…

rote rote ankhon ke ansun bhi peegaya main…
Jab khushi ki talash main nikla to tujhse takra gaya…

nafraton ki barish main bheegta raha main…
Mohabbat ki talash nikla to tujhse takra gaya…

Khud ke saye se bhi bhagta raha main…
jab apno ki talash main nikla to tujhse takra gaya…

kya jeena mera, bas jinda tha main…
jab Jindagi ki talash main nikla to tujhse takra gaya…)


120.
dil kehta hai unka pegam jaroor ayega…
par unhe apne pegam padhne se fursat hi kahan…
intezaar hai unke ek khat ka par…
shayad ye khat likhne ka waqt bhi unke pass kahan…
shayad ye khat bhi mere naseeb main kahan…

Vaibhav Agarwal Mere likhe hue sher part 6

Hamari Halat Kya

Mere likhe hue sher bhag-5

81. hamari halat kya koi unko jake ye bataye…
ki hamari halat kya hai…
wo to hamain thukra ke age badh gaye…
magar hum band ghadi ki suiyon ki tarah wahin reh gaye…hamari halat kya

samay to apni raftaar se age nikal chuka hai…
par mera waqt us akhri mulakaat par tham sa gaya hai…

82. yun waqt ke saath chalne ki chahat main…
har apne ko peeche chor chala hun…
ek khud ka to bharosa tha…
ab har pal khud ko bhi dhoka deta hun…
jaane kiski chahat hai mujhe..
jo mere dil ki aawaaj ko bhi ansuna karta hun…

83.aaj fir kisi apne ki ankhon main ansun dekha hai…
par jaane kyun mera mann bhi udas hua hai…
mera dil uska dukh bantna to chahata hai..
par use ye kehte hue bhi darta hai….

84. Aaj main khush hun…
ki mera janaza jo nikal raha hai… 
jindagi main koi saath na tha…
maut ke baad julus sa nazara hai…
mere saath to koi na roya…
par ab koi mere liye ansun baha raha hai…
aaj main khush hun…ki mera janaza jo nikal raha hai…

85. ye logon ki bheed ye sawaalon ke tufaan…
thak gaya hun main inke jawaab dede kar…
ab to thodi shanti mil jaye jindagi main kahin…
thak gaya hun dil ka sukoon dhundh dhundh kar…

86. ye wo aakhri raat hai jab main roya hun…
shayad akhri raat jab main khoya hun…
bas yahi samajh liya hai ab maine…
ab yahi soch kar har raat sota hun…

87. Tujhme itna kho gaya hun ki khud se jyada tujhe samajhne laga hun…
ab tu kuch kahe na kahe teri khamosh jabaan bhi samajhne laga hun…
tu bol ke apni dastan-e-dil bayan kare na kare…
ab to teri dhadkano ko sun kar tere khayal samajhne laga hun…

88.har arju khatam, har khwaish ko mil gaya anjaam…
tu jo khush hua hai, nahin meri duaaon ko bhi kuch kaam…

89. jindagi nahin chalti ek din bhi tujhse door hokar…
jaane kaise rahunga tujhse alvida kehkar…
naajaane tu samajh payega ki nahin…
koi mil gaya tha apna sa tujhse milkar…

90. suna hai apni taqdeer apne haathon se baadalti hai..
yahan to jis gali se nikalte hain, wahan se to maut bhi apna rasta badalti hai…

91 wo karte hain waar anjaam-e-manzil ke aane par..
ke mud kar bhi nahin ja sakte…
sahi chodda hai jeevan ki majhdhaar par..

92.tu mera na ho saka iska gum nahin…
tune mujhe thukra diya iska bhi gum nahin…
gum to bas is baat ka hai ki…
tujhe meri mohabbat ki inteha ka andaja hi nahin…
kher ismain teri bhi koi khata nahin…
is pyar ki hadd ka to ab tak mujhe bhi pata nahin…

93. Na jaane kyun tere jaane ka gum hai..
na jaane kyun fir na milne ka darr hai…
tu na bhoolne ka waada to kar gaya..
par tera ye waada bhul jaane ka darr hai…

94. Haar tabhi maan jab haarne ko kuch baaki na bache…
jeet tabhi hai jab jeetne ko kuch baaki na bache…
patthar hote hain sabki rahon main…
har patthar ko chunkar bharle apne daaman main..
jab tak rahon main ek bhi patthar baaki na bache…
hum tere saath hain har haal main har raah main…
chahe tera koi aur saathi baki na bache…
एक कदम तुम चलो हमारी  तरफ, एक कदम हम चले तुम्हारी तरफ
यूँ ही चलते रहे जब तक कोई फैसला बाकि न रहे

95. Har koi hans leta hai haal sunkar mera…
fir dil kuchal deta hai,jab wah kehta hai sher sunkar mera…
use to meri shayari main dar-e-dil sunai padta hai…
har gum ko sehta to bechara dil mera….

96. Aaj fir tera haal poochne hi himmat ki hai…
fir se us dosti ko jodne ki koshish ki hai…
bas ye dostana fir purane jaisa ho jaye …
aaj fir is aitbaar main ye umeed ki hai…

97. Rooh-e-jindagi meri yun ghayal si ho gayi hai…
jane kis dukh main dukhi hokar gafil hi ho chuki hai…
ab aur na saha jata hai na jiya jata hai ek pal bhi..
jindagi meri khushgawar si nahin ek bojh main badal gayi hai….

98. jaane wo kis sapne se darr lagta hai..
ki ab ratoon ko sona bhi  nahin chahata hun…
jo sapna jagti ankhon se dekha tha…
ab use toot te hue nahin dekhna chahata hun…
jo mujhse ek dill ka rishta banaya hai tune..
koi naam dekhar use badnaam nahin karna chahata hun…
har baat tujhse shuru ho jindagi ki…
aur tujhpar hi khatam bhi karna chahata hun…

99. Seedhe chalte raston par bhatak jata hun…
sirf tere khayal se kahin kho jata hun…

tu ek nigah bhar ke dekh le kabhi yun hi…
bas teri taraf is khayal se dekhta jata hun…

kahin is baar tu aaya hoga shayad..
yahi soch kar darwaje par nigahen lagaye baith jata hun…

har aahat pe lagta hai tu aaya hai shayad…
halki si aawaaj se adhi raat ko bhi jaag jaata hun…

shayad tu sapno main hi aajaye…
yahi sochkar fir sone ki  koshish main lag jaata hun…

100. nigahen baar baar unhe dhundhti hain jo kabhi humse milte hi nahin…
wo rehte hain pass pass hamesha par kabhi apne se hue hi nahin..

Read This Also: Chaho Agar, Sab Se Milta Hun, Pta Nahi Main,

Meri Khushiyo

Mere likhe hue sher (bhag-3) meri khushiyo ne bahot kiya, pta nahi kaise likhne lga hoon, jab maut ne gale laga liya to jindagi ki kise fiqr hai…jab gummo main bhi hansna seekh liya to khushi ki

1. meri khushiyon ne bahot kiya mere gamo ke janaze ka intezaar…
aaj to mera hi janaza hai doston…
shayad ye intezaar khatam ho jaye jindagi ke us paar…

2. har burai ko chorne ki koshish karta hoon ..
main bura insaan nahin hoon… bas burai chor nahin sakta hoon…
har khushi ne mujhe chor diya hai… ab gumo ko chor nahin sakta hoon…
khushiyon ne to dhoka diya… dard ko khafa chor nahin sakta hoon…

3. bas aaj ye ehsaas hai kaun mera kaun paraya hai…
jo dekh le nigah bharke wo apna lagta hai…
jo ankhe churaye  wo begana…
kabhi nahin mushkil thi log pehchanne main…
ab to dhoka khata hoon rojana…

4. salon se sukhe banzar is dil ko bas ek khushiyon ki barish ka intezaar hai…
han dil nam to hua hai or hara bhara bhi…
bas nami gummo ke samandar ki hawaon se hai…
jo mere dil ke nasooron ko hara bhara rakhti hai…

5. Main aine ke rubaru…
ye aks mujhse hairaan hai kyun…

6. tujhse bichadne ka dukh nahin.. tere milne ke intezaar de darr lagta hai…
ki us ummeed ki lau se mere dil ke har dard ka diya jalta hai…

7.har dard se ubarna chahata hoon…
in tanhayion se nikalna chahata hoon…
shayad tere pyar main hui nakamayabi ka asar hai…
ab kabhi pyar ke us masoom chehre ko padhna nahin chahata hoon…

8.maza to bahot aata hai dastane mohabbat sunane main…
par yun achcha nahin lagta kisika berukhi ke sath sunna…
thak k ek thikana bach jata hai dard e dil sunane ko…
bura hai jaiasa bhi hai par ye kabakht saki hi sunta hai maikhane main…

9.DOST + I = DOSTI…
‘I’ will alwaz b there for ‘DOST’…
b my ‘DOST’ forever to complete ‘DOSTI’…

10.DUSHMAN+ I=DUSHMANI…
‘I’ will alwaz b there for ‘DUSHMAN’…
b my ‘DUSHMAN’ forever to complete ‘DUSHMANI’…

11. raat bahot ho chuki hai…
par ankhon main need nahin hai…
bahar sukha hai par akhon main nami hai…
Registaan sa banzarapan ab is dil main baki hai..

12 shabdon ke jaal bunna hi shayar ki shayari nahin…
wo shayar hi kya jo apne gummo ke jaal main uljha nahin…
wo shayar hi kya jo apni shayari jiya hai nahin..
wo shayri hi kya jo sachchi kahani hi nahin…
wo shayar hi kya jo apni jindagi ke ehsason ke jaal main uljha nahin…

13. jab maut ne gale laga liya to jindagi ki kise fiqr hai…
jab gummo main bhi hansna seekh liya to khushi ki kise fiqr hai…

14. sab log apna samajhte hain par abhi bhi apno ki kami si hai…
tu dil ke paas hai par fir bhi teri kami si hai…

wo kehte hain main bhoola nahin hoon fir bhi mujhe hitchkiyon ki kami si hai…
aur to kuch jyada nahin bas tere jane ke baad dil main dhadkano ki kami si hai…

sab kuch samajhta hoon mujhe samajhne walon ki kami si hai…
har kisi ko samjhata hoon mujhe samajhane walon ki kami si hai…

ya to wo mujhe bhool gaya hai…
ya meri pukaron main kami si hai…

bahot khuch kehna hai par shabdon ki kami si hai…
bahot kuch sunna hai par aawajon ki kami si hai…

dost to bahot mile par nibhane wallon ki kami si hai…
pyar to bahot kiya par humse pyar karne walon ki kami si hai…

ji raha hoon par jindagi ki kami si hai…
hans raha hoon par khushiyon ki kami si hai…

jindagi bahot jeeli hai ab to maut ki kami si hai…

(Yun to bahut kuch hai mere pass phir bhi kuch kami si hai
Ghira hun charon taraf muskurate chehron se
phir bhi zindagi me ujale bharne wali us muskrahat ki kami si hai
Dikh rahi hai pahchan apni or udte har nazar me
phir bhi dil ko chu lene wali us nigaah ki kami si ha
gunjata hai har din naye kisson , kohlahal aur dhahakon se
phir bhi kaanon me gungunaati us khamoshi ki kami si hai
bad rahe hai kadam mere pane ko nayi manjeel
phir bhi in haathon me chut chuke un naram haathon ki kami se hai…………….)

15.uski yadon main yun gumm sa ho gaya hoon…
usse dhoondhne nikla par kahin main hi kho gaya hoon…
jo kabhi mil jao kahin raaste main tum humse…
ye na kehna bhool ke bhi kabhi tumhe bhool gaya hoon…

16. hum tere shahar main aye the musafir ki tarah…( this line by Ghulaam ali)
kya kiya tune is dil-e-nadaan ke saath…
ki chala ja raha hoon tere sheher se kaafiroon ki tarah…

17. jate hue main un rasto ke purane darakhton par…
jo ek nigah bharkar sochta hoon…
to khayal ata hai ki unpe pade samay ki dhaaraon ke nishaan…
shayad  yaad dilate hain mujhe…
aine main nazar ate mere aks ki…

18. wo lete hain wahin abhi bhi chadar odhe hue…
jane kyun , wo nahin hai ab, hum ye bhi bhool gaye…
bas itna saa kehna hai…

wo soye itna ki uthna hi bhool gaye…
hum jaage itna ki sona hi bhool gaye…
saath jeene ka wada tha par saath marne ki kasam wo bhool gaye…

jane kahan chale gaye ki humare ghar ka rasta wo bhol gaye…

19. jab nikalta hoon main kisi raste par..
har raston pe mod mil jate hain..
jo mudta hoon har mod par…
to har mod ke baad  dorahe nazar ate hain…
chunta to hoon unmain se ek rasta par…
fir milte to wahi mod aur dorahe hain…

20. kyun jalaye rakkha hai gam e dil ka diya yun
ki ansuon ko behne ka mauka mil gaya hai..
in ansuon se jalta hai ye gum e dil…
jo band kardo ek baar yun ansun bahana…
nahi padega kabhi fir dard e dil sehna…

vaibhav agarwal  mere likhe hue sher bhaag 3